Bearish Thrusting Line Candlesticks Pattren...
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Thrusting Line Candlesticks Pattren...
    Bearish Thrusting Line Candlesticks Pattren...
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum dear for AX member I hope of sub khairiyat se honge aur Forex trading business Mein Apne targets acche tarike se pure kar rahi hun. TS Jab aap is business Mein kam karte hain to aapko hamesha Kuchh important factors ko samne rakhne hue apna Kam karna Hota Hai Kyunki ISI Tarah aapko maximum advantages available hote hain isiliye maximum advantages hasil karne ke liye aapko market ko acchi tarike se karna hota hai aur iske sath sath entry Lene Se pahle Kisi bhi pattern ko identify karna aur uski confirmation karna important Hota Hai ine chijon ke bagair agar aap market mein jaldbaji se kam Lete Hain To Is Tarah aapko lash ka samna karna pad sakta hai Bearish Thrusting Line Candlesticks Pattren: Definition: Dear bearish thrusting line candles take pattern two days candles ka pattern Hota Hai jismein Ek bearish trend continuation pattern hai jo ki lower Trend ke bad banta hai pattern bearish trend Mein use time Banta Hai Jab market Mein Ek bullish candle phli bearish candles sy down gap mein open hokar Bullish real body banane ke bad Pahli candles ke close price se thoda sa Upar close Ho Jaati Hai pattern Mein Shamil donon candles ka close price sem To Nahin hota hai but ek dusre ke bahut Kareeb hota hai jisse donon candles ke closeing area Ek dusre ke real body ko overlap karte hain pattern ke mutabik bullesh market ke control ko Hasil karne mein nakam Hoti Hai jisse price trend ko hi follow Karti Hai pattern ki donon candles ke closeing price Ke Darmiyan gap Nahin Hona chahie Kyunki Agar pattern ki donon candles Ke darmiyan gap hota hai to Is Tarah pattern invalid ho jata hai aur uske mutabik aap trading karte hue loss ka samna ho sakta hai. Explaination of Pattern: Dear Bearish thrusting line candlestick pattern ki second candle ke bullish hone ke bavjud bhi market mein invester jyada mutasir Nahin hote hain jisse price sem sabka Trend ke mutabik bear is hi follow ki Jata Hai pattern Mein Shamil donon candles different pattern ki Hoti Hai jismein first candle bearish aur second Bullish Hotihai donon candles ki detail niche di g Bearish Thrusting line Candlestick pattern ki 1st Candlesticks bearish candle Hoti Hai yah candle price ke down trend ko show kar rahi hoti hai jo ki black ya red color ki candle Hoti Hai yah candle Lake strong real body Mein banti hai.Is pattern ki second candle Ek Bullish candle hoti hai jo ki open to Pahli candles ke bottom per gap Mein hoti hai but close Pehli candles ke real body se thoda sa Upar Hoti Hai yah candle color Mein white ya green hoti hai jo ki bearish trend ke Khatam karne ki nakami koshish Mein bearish trend continuation ka kaam Karti hai. Advantages and Limitations: Dear Forex trading market Mein Barish thirstein line candlestick pattern ke mutabik trading karne se aapko yah advantages available hote Hain. Pattern sport or resistance level ki easily identification karwata hai. Is pattern ki madad se stop loss place karne ke liye easily aapko price points available ho sakte hain. Dear is pattern ke mutabik apni trading activities agar aap karte hain to uske liye following limitations hoti hain. Yeh ek proper consistent continuation indicator nahi hota. Isko price chart per spot karna aasan nahi Hota dusre pattern ya dusre parts of pattern ki madad se ya unki maujudgi se aap is pattern ki identification Mein confuse ho sakte hain. Trading Strategy: Dear bearish thrusting line candlestick pattern price ky bullish trend ki nakam koshish ko Zahir Karti Hai jisse price same barish trend ko follow Karti Hai pattern ki donon candles ke closeing price Ke Darmiyan gap Hona zarori hai Kyunki yah to market Mein buyers ke control ka nakam koshish Hoti Hai pattern per trading se pahle Ek confirmation candles Ka Hona important hai jo ki real body Mein bearish honi chahie aur second Bullet candles ke bottom per close honi chahie pattern ke bad police candles ke banne se yah pattern ine valid ho jaega pattern ki confirmation CCI RSI indicator aur oscillator per value 50 zone se kam honi chahie stop loss pattern ke sabse top position ya first candles ke open price se two pips above set kia jaa sakta hai.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Bearish Thrusting Line Candlestick Pattern
      Bearish thrusting line candlestick pattern two days candles par mushtamil aik bearish trend continuation pattern hai, jo k lower trend k baad banta hai. Pattern aik bearish trend main uss waqat banta hai, jab market main aik bullish candle pechli bearish candle k nechay gap main open ho kar bullish real body banane k baad pehli candle k close price se thora sa ooper close ho jati hai. Pattern main shamil dono candles ka close price same to nahi hota hai, lekin aik dosre k bohut qareeb hota hai, jiss se dono candles k closing area aik dosre k real body ko overlape karti hai. Pattern k mutabiq bulls market k control ko hasil karne main nakam hote hen, jiss se prices same bearish trend ko hi follow karti hai. Pattern k dono candles k closing price k darmeyan gap nahi hona chaheye, basorat degar ye pattern on-neck line pattern ban sakta hai.
      Candles Formation
      Bearish thrusting line candlestick pattern ki dosri candle k bullish hone k bawajood bhi market main investor ziada mutasir nahi hote hen. Jiss se prices same sabeqa trend k mutabiq bearish hi follow kia jata hai. Pattern main shamil dono candles mukhtalif pattern ki hoti hai, jiss mein pehli candle bearish aur dosri bullish hoti hai, jiss ki tafseel darjazel tarah se hoti hai:
      1. First Candle: Bearish thrusting line candlestick pattern main pehli candle aik bearish candle hoti hai, ye candle price k downtrend ko show kar rahi hoti hai, jo k black ya red color ki candle hoti hai. Ye candle aik strong real body main banti hai, yanni candle ki real body shadow se ziada hoti hai.
      2. Second Candle: Bearish thrusting line candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k open to pehli candle k bottom par gap main hoti hai lekin close pehli candle k real body se thora sa ooper hoti hai. Ye candle color main white ya green hoti hai, jo k bearish trend ka khatam karne ki nakami ki sorat me bearish trend continuation ka sabab banti hai.
      Explanation
      Bearish thrusting line pattern ko bearish continuation patteren ke tor par istemal kia jata hai, jo market mein musalsal neechay ki janib harkat ka ishara karta hai. Pattern k dosre din ki candlestick prices main waqfa dekhata hai, jahan bulls market mein wapasi ki koshash karte hen, lekin trend ko bearish se bullish mein tabdeel karne mein nakam hote hai. Pattern ka ahem nuqta yeh hai, k pattern ki dosri candle pehli candle k close price se nechay gap main open ho kar bullish real body banane k baad bhi, pehli candle k close price k qareeb close hoti hai. Pattern ye zahir karne ki koshash karte hen, k bears market main control hasil karne main nakam rahe hen, jiss se bears market ka control dobara hasil karte hen. Pattern ki dono candles mukhtalif formate main hoti hai, jiss main pehli candle bearish aur dosri bullish hoti hai. Dono candles real body main lazmi honi chaheye jab k ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.
      Trading
      Bearish thrusting line candlestick pattern prices main bulls ki nakam koshash ko zahir karti hai, jiss se prices same bearish trend ko follow karti hai. Pattern ki dono candles k closing price k darmeyan lazmi gap banna chaheye, q k ye gap market main buyers k control ka nakam koshash hoti hai. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main bearish honi chaheye aur dosri bullish candle k bottom par close honi chaheye. Pattern k baad bullish candle k banne se ye pattern invalid ho jayega. Pattern ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value 50 zone se kam honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se top position ya pehli candle k open price se two pips above set karen.

      اب آن لائن

      Working...
      X