Trading with: Bearish Kicking Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with: Bearish Kicking Candlestick Pattern
    Trading with: Bearish Kicking Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bearish Kicking Candlestick Pattern
    Bearish kicking candlestick pattern aik bearish trend reversal pattern hai, jo price chart par do candles se mel kar banta hai. Pattern main shamil pehli candles bullish hoti hai, issi waja se pattern k leye prices ka pehle se high area ya bullish trend main hona zarori hai. Pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo prices k current bullish trend k bearish trend main change hone ka zarya banti hai. Two days candles ki accuracy single day pattern se behtar hota hai, q k iss main aik candle thori bohut confirmation bhi deti hai. Jab bhi market main buyers prices ko aik khas level tak ooper push karte hen, to yahan par trend reversal k imkanat ziada hote hen, ye trend confirmation aksar kuch pattern se confirm ho jati hai, jiss main bearish kicking pattern bhi shamil hai.
    Candles Formation
    Bearish kicking candlestick pattern prices k uptrend ya higher par low demand ki waja se banta hai, jahan par trend reversal k ziada imkanat hote hen. Pattern main shamil candles mukhtalif pattern ki yanni bearish aur bullish hoti hen, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
    1. First Candle: Bearish kicking candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices ko uptrend ya bullish trend ki akasi karti hai. Ye candle bullish trend ko mazeed ooper ki taraf push karti hai, aur market main high demand ko zahir karti hai. Ye candle aik normal real body wali candle hoti hai.
    2. Second Candle: Bearish kicking candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k bottom par gap main open hoti hai, aur close bearish real body banane k baad lower side par hoti hai. Pattern ki dono candles aik dosre k qareeb open hote hen, jab k close aik dosre k opposite direction main hote hen. Pattern ki dosri candle trend k opposite direction aur pehli candle k lower side par banne ki waja se prices k mojoda trend k khatme ka bahis banti hai.
    Explaination
    Bearish kicking candlestick pattern prices main bullish trend k dowran ban kar prices ko mazeed ooper jane se rok leti hai. Ye pattern aik strong trend reversal ka signal deti hai. Pattern two days candles par mushtamil hai, jiss ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jo k prices k bullish ya up trend ki alamat hoti hai. Pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, aur iss candle ka open price pehli candle open price se nechay gap main hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k prices ko ooper jane se rokh deti hai, jiss se prices ka mazeed up-rise stop ho jata hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k close price par open hone ki bajaye, open price se bhi nechay gap main open hoti hai, aur lower low banate howe nechay ki taraf close hoti hai.
    Trading
    Bearish kicking candlestick pattern prices k top main banne ki waja se aik bearish signal genrate karta hai, jiss par market main sell ki entry ki ja sakti hai. Pattern par trade enter karne se pattern ki dosri candle aik confirmation candle ki zarorat parti hai, jo k real body main aik bearish candle honi chaheye, aur dosri candle k bottom par close bhi honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss ki value overbought zone main honi chaheye. Pattern k baad bullish candle se pattern invalid tasawar kia jayega. Pattern ka Stop Loss sab se higher ya pehli candle k close price se two pips above par set karen.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X