Trading with : Gap Down Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with : Gap Down Candlestick Pattern
    Trading with : Gap Down Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bearish Gap Down Pattern
    Gap down or two black gap continuation pattern aik two days k bullish candles ka pattern hai, jo prices ko teezi k sath bearish le k jate hen. Ye pattern newly bearish breakout ya sideways market main bohut ba asar hota hai, jo prices ko bohut teezi k sath downward move karwate hen. Pattern ki dono candles same colour main hoti hai, jiss main pehli candle strong real body main black, red ya bearish candle hotti hai, jab k baad main banne wali candle bhi same black, red ya aik bearish candle hotti hai, jo k pehli candle se gap main downward side par open hotti hai, aur lower low banate howe low price par close ho jatti hai. Gap down pattern prices main ziada waqfay ane ki sorat main banta hai, jo aksar awqat weekend ya chuthi hone k baad hota hai.
    Candles Formation
    Bearish gap down main dono candles ka colour red ya black hota hai, jo k same bearish pattern main banta hai, aur bearish trend continuation pattern ka kaam karta hai. Bearish gap down pattern main shamil dono candles ki tafseel darjazzel hai;
    1. First Candle: Bearish gap down pattern main pehli candle aik strong real body wali bearish candle hotti hai, jiss ka colour aam tawar par black ya red hota hai. Ye candle pechle trend yanni bearish trend k market main maojoodgi ki alamat hotti hai.
    2. Second Candle: Bearish gap down pattern ki dosri candle bhi same pehli ki tarah se bearish candle ya color main black ya red hotti hai. Ye candle pehli candle se gap main below open aur low pe ja k close hoti hai.
    Explanation
    Price chart par aksar ye Gap down pattern weekend ya lambay waqfay k baad banta hai. Ye pattern two days ka bearish pattern hai, aur pattern ki dono candles aik dosre se gap main bearish banti hai. Ye pattern bearish trend ya newly prices ka bearish side par breakout k baad banta hai. Pattern ki pehli candle aik real body wali bearish hotti hai, jiss k baad banne wali bearish candle gap main below open ho kar low par close hoti hai. Pattern k dono candles k darmeyan aik wazih gap hotta hai, jiss main kisi bhi candle ki wick ya shadow nahi banta. Aksar awqaat dono candles k darmeyan main banne wala gap weekend ya market k closing k time par switching k waqat banta hai.
    Trading
    Gap down pattern main candles k darmeyan gap market main bearish pressure ki waja se hotta hai, jo aam tawar par kisi news ya events k release honne par banta hai. Bearish gap down pattern aggar newly bearish trend main banta hai, to ye market main aik strong bearish continuation ka signal deta hai. Aksar awqat market k weekend ya daily open close k waqat candles k darmeyan ye gap banta hai, jo k kisi events ya news k release honne k baad hotta hai. Gap down pattern pattern aik strong bearish continuation ka signal detta hai. Pattern par trading k leye zarorri nahi hai k confirmation candle lazmi ho, q k matket already bearish trend main hotta hai. Lekin aggar market ziada bearish trade kar rahi ho to uss sorat main confirmation candle ka intezar zaror karen. Dosra market main dosree candle k complete honne ka lazmi intezar karen aur candles ka timeframe long duration ka muntakhib karen. Pattern k dosri candle k baad market main buy ki entry karen aur tak profit k leye support and resistance indicator, Pivot point ya fabonacci retracement levels main se kisi ka intekhab karen. Stop Loss Pattern par zaroei hai, wese ye pattern reversal pattern se ziadda relaible hai lekin pher stop loss pattern k sab se top position par set karen.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Gap down candle stick patron kia hai


      company k poray sal k ntaij sy zahir hota hai k es ne muanfa ki ak lahor intabah sy gareez hai tajro k sth sth ahm opreational amor ko thk krny k comapny ki salahat pr atmad kia gia hai degar gabrain jesy product alanat tajzirya ke updrade or down grade or nay senior takeeriro sy khala paida hu skta hai es ki waja ye hai k Woh tijarti section k mabain jkiss b simt ko markeet ko nomaya taor pr muntakil kr skty hai stock ba mukabala gaib up stcok gaip down load krain


      ​​​​​​Gap down candlestick pattern ek technical analysis concept hai jo ek bearish reversal signal provide karta hai. Is pattern mein ek stock ya financial instrument ke price mein ek significant gap down (neeche ki taraf) hota hai compared to previous day's closing price. Yeh gap down price chart par ek empty space create karta hai jise gap kehte hain.
      Gap down candlestick pattern ka formation kuch is tarah hota hai:

      Gap Down Opening

      Ek gap down candlestick pattern ka formation tab hota hai jab current trading session ka opening price previous day's closing price se neeche hota hai aur ismein ek significant gap hota hai.

      Bearish Candlestick

      Gap down opening ke baad, ek bearish candlestick form hoti hai jismein price usually further downwards move karti hai. Yeh bearish candlestick previous day's closing price se neeche close hoti hai.


      Empty Space

      Price chart par gap down candlestick pattern ke formation ke baad ek empty space visible hota hai, jo indicate karta hai ke market sentiment bearish ho gaya hai aur sellers ki control mein hai.

      Gap down candlestick pattern ka arth hota hai ke market mein sudden selling pressure aayi hai aur bearish sentiment prevail kar raha hai. Traders ise ek potential bearish reversal signal ke roop mein dekhte hain, especially agar yeh gap down ek important support level ya trendline ke neeche ho. Is pattern ke baad traders bearish positions lete hain ya existing long positions ko close karte hain.

      Yeh pattern effective hone ke liye confirmatory signals ke saath dekha jana chahiye, jaise ke volume increase, doji ya hammer candlestick patterns, aur doosre technical indicators ka istemal. Iske alawa, traders ko always risk management ka dhyan rakhna chahiye jab bhi kisi trading decision par jate hain.
      Last edited by ; 04-03-2024, 11:08 AM.

      اب آن لائن

      Working...
      X