Trading with : Sideways Trend Line
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with : Sideways Trend Line
    Trading with : Sideways Trend Line
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Sideways Trend Line
    Price charts pattern main sideways trend wo hota hai, jiss main prices ka bullish ya bearish trend asani se samajh main nahi ata hai. Sideways markets se brokers wo market murad lete hen, jiss main qeematen aik horizontal line main trade kar rahi hoti hai. Ye trend main qeemtaen aik tang ya narrow range main assets movement karti hai, jiss se market kisi breakout k intezar main hoti hai. Sideways trend traders k leye mayuskun ho sakti hai, ye trend range bound ki tarah hi aik makhsos levels tak baraqarar rehti hai.
    Sideways Trend Banne ki Wajohaat
    Sideways trend main kisi bhi semat ka koi wazih pehlo nazar nahi ata hai, iss waja se aam tawar par market main qadam nahi rakhna chaheye, q k ye trend ziada waqfay ka nahi hota hai, aur prices ne lazmi kisi na kisi semat breakout hona hoti hai. Sideways trend main buyers prices k nechay a jane k baad trades lagane k intezar main hote hen, jab k sellers prices k bullish janne k baad ferokht k trades ka intezar karte hen. Jiss se market aik range main stuck ho jati hai, q k na buyers market main entry karne ki koshash kartte hen aur na hi sellers ye risk uthane ki koshash karte hen. Lekin market kisi aik side par mamoli harkat bhi aksar iss k opposite side par breakout ka sabab banti hai.
    Explaination
    Sideways trend baqi dono trend lines se mukhtalif hota hai, iss trend line k doaran prices seedhi movement karti hai, jiss main kisi assets k prices ko bare breakout ka intezar hota hai, q k ye trend line ziada relaib nahi hota hai, jiss main hamesha aik assets ki value same nahi rehta hai. Financial price charts pattern main kisi bhi assets ki movement hamesha aik tarteeb k hisab se hoti hai. Wese to humen normal small timeframes main in movement ka sahi tareeqay se andaz nahi hota hai lekin jab bhi hum in prices ko long term k timeframe main dekhte hen, to humen mukamal tawar par wazih ho jata hai, k prices aik tarteeb k hisab se aik semat main ja rahi rahi hoti hai. Trading
    Sideways trend main enter hona riski hai, khas kar jo retailer trader hote hen, wo aksar market main jaldi entre hone ki koshash main loss uthate hen. Jab tak market k trend ka koi semat wazih nahi ho jata, tab tak humen iss main entry karne se parhez karna chaheye. Sideways trend main entry k leye zarori hai, k market ki proper analysis karen, jab bhi analysis k mutabiq result ata hai, to uss result par bhi entry karne ki koshash na karen. Yahan par traders k sabar ka imtehan hota hai, k wo market k breakout hone k leye kitna sabar se kaam le sakte hen, uss k baad hi market main buy ya sell ki entry kare. Stop loss sideways trend k leye aik zarori ansar hai iss ko kabhi bhi nazar andaz na karen.
     
    • #3 Collapse

      TRADING WITH SIDEWAY TREND LINE DEFINITION Sideway ka Trend price ki horizontal movement hai jo use Waqt hoti hai Jo supply and demand ki forces takriban barabar hoti hain yah aamtaur per consolidation ki . Ke dauran Hota Hai isase pahle ke price pahle ke trend ko continue Rakh sake sideway price ke trends ko aamtaur per horizontal ke naam se bhi Jana jata hai sideways ke Trends am taurpar support and resistance ki strong levels ke Darmiyaan Safar karne wali price ka result Hote Hain Kyunki Itni Bari price ke liye long term tak kud ko barkrar Rakhna takriban impossible hai volume Jo ke Ek important trading indicator Hai zyada Tar sideway Trends ke dauran flat rahata hai Kyunki yah bull and bears Ke Darmiyan yaksa taur per mutawazn hai PROFITING FROM SIDEWAY TREND Sideway Trends ka analysis karte waqt traders ko dusre technical indicators aur chart ke pattern ko dekhna chahie yah Ek direction Mein Upar ya niche soots karta hai Jab break out ya expected occur ki Jaati Hai iN Ki kasusiyat ke lihaz se sideway trend se Profitt uthane ke bahut se different methods Hote Hain aamtaur per traders technical indicator break out ki confirmation Talaash Karenge ye different strategies ki ek types ka istemal karte hue Khud price ki movement se fayda uthane ki koshish Karenge bahut se traders price ke channel ki maloomat karne per focus Karte Hain Agar price regular se support and resistance level se barh rahi hai break out hone ki situation mein stop loss ki levels in level se bilkul Upar ya niche Rakhi Ja sakti hai jisse strategies stock ki buying and selling se riskier hoti hai SIDEWAY IS A EQUAL DEMAND AND SUPPLY Is situation mein traders 20 day ki moving average ki niche ki taraf ki slope ko Ek long term down trend ki maloomat ke Taur per biyan kar sakte hain invester ya financial services and advice provide nahi karta hai investor Mein risk Shamil Hai aur ismein investor ko emotional Nahin Hona chahie yah Bullish ke trans ko change hone ki taiyari kar raha hai
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        information of sideway trend


        Sideways trend, jo ki range-bound trend bhi kaha jata hai, ek market condition hai jahan prices kisi specific direction mein consistent movement nahi karte hain, balki ek range ke andar oscillate karte hain. Is condition mein, prices ke fluctuations hote hain lekin overall trend ko identify karna challenging hota hai.
        Neeche kuch key points hain jo sideways trend ke baare mein hai:

        Horizontal Price Movement

        Sideways trend mein prices horizontal range ke andar move karte hain, na ke kisi specific direction mein. Prices ke fluctuations hote hain lekin overall trend ko identify karna mushkil hota hai.

        Support aur Resistances

        Sideways trend mein support aur resistance levels ka importance zyada hota hai. Prices range ke andar move karte hain aur support level pe niche jaate hain jabke resistance level pe upar jaate hain.

        Consolidation Phas

        Sideways trend market mein consolidation phase ko represent karta hai, jahan prices ke beech mein balance bana rahta hai. Yeh phase typically ek trend ke reversal ya phir continuation ke pehle hota hai.

        Trading Strategies

        Sideways trend mein traders ko range trading strategies ka istemal karna hota hai. Ismein traders buy karte hain jab prices support level pe aate hain aur sell karte hain jab prices resistance level tak pahunchte hain.

        Volatility ka Kam Hona**: Sideways trend mein market volatility ka level kam hota hai compared to trending markets. Ismein prices ka movement stable hota hai aur sudden price spikes kam hote hain.

        Breakout aur Breakdown

        Sideways trend ke end mein, ek breakout ya breakdown hota hai jab prices range ke bahar move karte hain aur ek new trend shuru hota hai. Traders is breakout ya breakdown ka istemal karke trading opportunities dhundhte hain.

        Sideways trend trading ke liye traders ko patience aur discipline ki zaroorat hoti hai kyunki ismein trend ko accurately identify karna challenging ho sakta hai. Iske alawa, range-bound market mein trading karte waqt risk management ka dhyan rakhna bhi zaroori hai taake nuksan se bacha ja sake.

        Last edited by ; 06-03-2024, 09:18 AM.

        اب آن لائن

        Working...
        X