Trading with: Bullish Flag Chart Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with: Bullish Flag Chart Pattern
    Trading with: Bullish Flag Chart Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bullish Flag Pattern
    Bullish Flag chart pattern aik bullish continuation pattern hai, jiss main flag do (two) mutawazi bullish lines se bantta hai, jo appas main aik mustateel bannate hen. Ye mustateel trend k mukhalif semmat par bantta hai, jiss ko aam tawar par "consolidation" kaha jatta hai. Bullish channel ki nisbat ye mustateel bohut kam waqfay ka hotta hai, jiss main khareedar trading k dowran kuch sans lene k leye ruk jatte hen. Bullish flag ki formation bullish trend main hotti hai, qeematon main honne wala waqqfa trend k taqreeban darmeyyan main bantta hai. Taqreeban 37% bullish flag pattern main prices pattern k top k upper par exit hotti hai. Ye pattern taqreeban 90% tak continuation pattern ka kaam kartta hai. Chonkeh ye aik bullish trend main istemal hotta hai, jiss main taqreeban 62% tak ye pattern apnne target hasil kar jatta hai. Taqreeban 10% tak ye pattern trend reversal ka kaam kartta hai. Taqreeban 76% bullish flag annually pattern upper range main bantta hai.
    Important Information of Bullish Flag Pattern
    Bullish flag pattern se pehle qeematen jitnni teezi k sath lower jatti hai, pattern banne k baad bhi prices bullish bohut teezi se upper jatti hai. Flag ki karkardaggi uss waqat kam hotti hai, jab flag trend ki semmat main bantti ho. Tang (narrow) lines par mushtamil flag pattern uss flag pattern se ziadda qabele bharossa hotta hai, jiss ki lines wasee (broad) hon. Aggar koi false breaks nahi bantti hai to flag ziadda strong hotti hai. Pullback flag pattern k leye nuqsandeh hai.
    Explanation
    Bullish flag pattern do hiso par mushtamil hotta hai, jiss main pehla hissa flag ka dhanda hotta hai, jab k dosrra hissa flag hotta hai. Flag ka dhanda bullish trend candles par mushtamil hotti hai, jo bohut teezi k sath upper ki taraf jatti hai, jab k flag mustateel shakal main bantta hai, jiss main candles small size main bantti hai, aur ye aik tarrah se channel trend lines ki tarah hotta hai. Ye hissa buyers k waqfay ka hissa hotta hai, jiss main qeematen sideways harkat kartti hai. Flag hissey main traders ye deside karnne ki koshash kartte hen, k prices k mazzeed bullish janne chaheye ya wapis reversal honna chaheye. Lekin pattern k baad qeematen continuation par hi chal partti hai.
    Trading
    Bullish flag pattern par do tarah se trading ki jatti hai, aik rewayatti strategy se aur dossra aggressive ya bagher trend confirmation k tareeqay kar k mutabiq se. Rewayati trader entry karnne se pehle pattern ko complete honne k baad pattern k top par buy ki entry karen, lowest hise par stop loss put karen. Take profit ka andazza pattern k hight k mutabiq set karen, ye aik strong trend continuation trend ki mazzboti hai. Aggressive traders ko flag k last par buy ki entry karnni chaheye aur stop loss ko flag k down hissey par set karnna chaheye. Take profit flag k top par set karnna chaheye aur tak profit 2 ko flag k double k barabar laggana chaheye.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      TRADING WITH BULLISH FLAG CHART PATTERN DEFINITION Bullish flag pattern ek pattern hota hai jo use Waqt Banta Hai Jab Koi stock strong aap trend Mein Hota Hai usse Falg pattern Kaha jata hai bull flag Hamari momentum trading strategy ka Sab set hai Jo Kisi bhi time frame per istemal Kiya jata hai Ham two and five minute ke time frame per istemal Kiya ja sakta hai bahut se traders short term price ko scalp ke Taur per trades karna like karte hain wo daily chart per bhi utna hi good work Karte Hain swing trading ke liye behtaren hai is pattern ko trade karne ka sabse hardest part use real time mein Talash karna hai is pattern Mein Talash karne ke liye aham thing volume hai volume major Moves and potential hood ki confirm karta hai ke break out successful hoga BULLA FLAG AND BEAR FLAG Aap flag ke pattern ke nichle Hisse per khinchi Hui line dekh sakte hain yah vah point Hai Jahan aap yeah set up ab work nahin kar raha hai aur loss uthane aur aage barhane ka time hai dusra Tarika yah Hai Ke 20 day ki moving average ko stop the Taur per istemal kiya jaaye lihaza Agar prices is moving average se kam Ho Jaati Hai to aap apni position ko close kar denge bears ka flag bull se milta julta hai Jiske bad thora sa pull back hoga trading flag pattern ki key volume ki following karna hai ya mujhe eh Achcha risk reward ratio deta hai agar aap day ke wakfay per apni position ko dugna karna chahte hain to is Baat Ka Khyal Rakhna zaruri hai kya double top na khariden lihaza bull flag per pull back ki 3-2 red candle ke bad Ek high banane ke liye Pahli candle kharide BEARISH FLAG PATTERN Pattern mein three candles hoti hain second handle black hoti hai Jo Bearish Flag pattern ke liye bears ko control Mein Karte Hain aapko acchi trade karne ke liye Sal se pahle market ko analysis Karen aur ek apna real account banaen

      اب آن لائن

      Working...
      X