Triangle chart patterns??

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Triangle chart patterns??
    Triangle chart patterns??
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalam alaikum dear members umeed ha ap sb thk hn gy.Dear members aj hum chart patterns ki list main agy barhty hovy triangle pattern ko discuss karny lagy hain hum dekhen gy k ye pattern kesy bnta ha or eski direction kia hoti ha or esy kesy trade kia jata ha. What is triangle pattern? Dear members triangel pattern 1 continuation chart pary pattern ha mtlb k price jis direction main move kar ri hoti ha ye us trend ya direction ki continuation ki indication ha. Jb price 2 convergin lines k darmiyan estrha highs kr lows bnati ha k highs upper line ko touch karty hain kr lows lower line ko touch karty hain to 1 triangle shape structure bnta ha. Commonly triangle pattern ki 3 different types hoti hain jo k hum aj bari bari discuss karen gy. 1) Ascending triangle: Ascending triangle 1 breakout pattern hota ha or ye tb bnt ha jb market opr ki trf 1 horizontal trendline se bar bar resist hoti ha estrha es triangel ki oper ki trend line horizontal hoti ha or nechy ki trend line upward direction main hoti ha mtlb k market higher lows bnati ha.q k buyer apni bids barhaty jaty hain jiski waja se higher lows bnty hain or 1 wqt ata ha k buyers momentum pakarty hain or triangle ka breakout hota ha. Es pattern main ap triangel ki lower trend line se trade le skty hain or stop loss lower trend line k nechy ho jb k take profit apka triangle ki length k equal ho. ya phr ap breakout py bhi trade le skty hain. 2) Descending triangle: Decending triangel inverted type ha ascending triangle ki. Es main triangle ki nechy wali trend line horizontal hoti ha jo k support k tor py kaam krti ha jb k oper wali trend line downward sloping hoti ha jiska mtlb ha market lower lows bnati ha or sellers dominate kye hoty hain market ko or at the end market breakdown ho k mazeed nechy jati ha. Es main ap breakdown py bhi trade le skty hain ya us se phly triangle ki upper trend line py trade le skty hain or stop loss trend line se thora opr rkh skty hain. 3) Symmetrical triangle: Symmetrical triangle ki upper trend line downward sloping hoti ha or lower trend line upward sloping hoti ha mtlb k market converge hoti jati ha or jesy hi range short hoti ha to market breakout ya bteakdown ho k bullish ya bearish ho jati ha. Es main sirf or sirf breakout ya breakdown py hi apko trade karni chahye.
     
    • #3 Collapse

      Triangle Chart Patterns Kya Hote Hain?" Triangle chart patterns, share market mein commonly dekhe jaane wale technical analysis patterns hote hain. Yeh patterns price movement ko represent karte hain jab stock price ek specific range mein consolidate hoti hai aur ek triangle-like structure banati hai. Triangle chart patterns, price ko indicate karne ke saath-saath future price movement ke liye bhi clues provide karte hain. Triangle chart patterns mein price consolidation ke kai prakar hote hain. Kuch pramukh triangle chart patterns niche diye gaye hain: 1.Ascending Triangle Pattern: Ascending triangle pattern mein, stock price higher highs aur higher lows ke beech consolidate hoti hai. Yeh pattern generally bullish trend ke signals deta hai. Jab stock price ascending triangle ke upper trend line ko cross karke upar jaata hai, toh yeh bullish breakout ka signal samjha jaata hai. 2.Descending Triangle Pattern: Descending triangle pattern mein, stock price lower highs aur lower lows ke beech consolidate hoti hai. Yeh pattern generally bearish trend ke signals deta hai. Jab stock price descending triangle ke lower trend line ko cross karke neeche jaata hai, toh yeh bearish breakout ka signal samjha jaata hai. 3.Symmetrical Triangle Pattern: Symmetrical triangle pattern mein, stock price higher highs aur lower lows ke beech consolidate hoti hai. Is pattern mein, stock price ki range gradually narrow hoti hai. Jab stock price symmetrical triangle ke upper trend line ko cross karke upar jaata hai ya lower trend line ko cross karke neeche jaata hai, toh yeh breakout ka signal samjha jaata hai, lekin ismein direction clear nahi hoti. Triangle chart patterns ke alawa bhi kuch variations hote hain, jaise ascending broadening triangle, descending broadening triangle, aur contracting triangle. Har pattern apne specific characteristics aur breakout rules ke saath aata hai. Triangle chart patterns ko analyze karne ke liye, traders aur investors price ke movement, volume, aur time ko closely observe karte hain. Breakout ke samay par, jaise hi price trend line ko cross karti hai, traders ko trading positions lena ya apne existing positions ko manage karna hota hai. Triangle chart patterns ki samajh Triangle chart patterns ki samajh, traders aur investors ko stock price movement aur potential breakout opportunities samajhne mein madad karte hain. Yeh patterns market mein trend reversal ya trend continuation ke signals provide karte hain. Hamesha yaad rakhein ki share market mein koi guarantee nahi hoti, aur chart patterns bhi 100% sahi nahi hote. Isliye, triangle chart patterns ko study karte waqt aur trading decisions lete waqt, traders aur investors ko proper risk management aur technical analysis ke saath cautious rehna chahiye.
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Triangle Chart Pattern: Dear Forex Members Triangle Chart Pattern ko bohot sary log channel pattern bhi kehty hain kyunke jab market is situation mein movement karti hai to usmein ek channel bhi banta hai sometime jab ismein bullet train hota hai to uska slopes upwords hota hai jisko aap ascending triangles ke naam se jante hain. aur jis trend mein iska slope downward hota hai usko aap descending triangles ka naam dete hain ismein aapko do different lines draw karni hoti hai jo aap high prices aur low prices per reh karte hain aur market ki total movement Iske darmiyaan hi hoti hai inko aap resistance line aur support level bhi Kaise sakte hain. Types of Triangle Chart Pattern: 1-Ascending Triangle 2-Descending Triangle 3-Symmetrical Triangle Ascending Triangle: Dear Friends Agar market ki movement is tarha sy ho ke first candle large size ki ho aur next her candle previous candle sy size main small ho rehi ho lekin in main her candle bullish trend ko show ker rehi ho aur last candle smallest ho tou aesy main ascending triangle pattern creat hota hai aur yahan sy market ka bullish trend hi expected hota hai ky wahan sy ham buy ki trade open ker sakty hain. Descending Triangle: Dear Students Agar market ki movement main first large candle ky badh tamam candles size main consecutively small hoti ja rehi hon lekin market main bearish trend ko show ker rehi hon tou aysi surat main market main jo triangle shape creat hoti hai woh descending triangle main hoti hai aur wahan sy market ki bearish trend main movement expected hoti hai ke yahan sy sell ki trade enter karny per hamain profit hasil ho sakta hai. Symmetrical Triangle: Dear Sisters and Brothers Jab market ki movement main first candle tou size main large ho lekin consective candles bhi size main decrease hoti ja rehi hon lekin triangle pattern istarha sy creat ho raha ho ke yeh market main na tou bearish trend ko show ker raha ho aur na hi bullish trend ko tou aysy triangle pattern ko symmetrical triangle pattern kehty hain jis main market ki movement ke maximum chance bhi uptrend main movement ky hoty hain ky wahan sy bhi hum buy ki trade enter ker sakty hain.

        اب آن لائن

        Working...
        X