How to bearish breakaway candlestick pattern,,,
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How to bearish breakaway candlestick pattern,,,
    How to bearish breakaway candlestick pattern,,,
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Introduction,, I hope all friend fine main umeed karta hon k AP sab dost khairiyat se hon gy or apna kam samjhdari k Sath camplet ker rahy hn gy,, What is bearish candlestick pattern,, Dosto hum aam tor par bearish break way ko sale signal ke tor par tijarat karte hain lekin blush break way ki terhan is ko karne ke mutadid mukhtalif tareeqay hain. sab se ziyada maqbool, yeh ke taizi ke rujhan ke ain ulat ka waqt nikalna, aam tor par sab se mushkil hota hai bail aur reechh ke bazaar aksar logon ki tawaqqa se kahin ziyada chal satke hain. agar aap ne kabhi koshish ki hai to aap ko maloom hoga ke market ke mourr ke ain mutabiq waqt muqarrar karna khaas tor par mushkil hai,, agar hum ghalat tor par market ko taap kehte hain aur farokht karte hain, to yeh position ko sangeen kami ki taraf le ja sakta hai kyunkay market musalsal barh rahi hai kam pur khatar taknik yeh hai ke neechay ke rujhan ki simt tijarat ki jaye jo pehlay se qaim hai misaal ke liye tasweer 3 dekhen . Down trained mein break way runner,, Aisa karne ke liye jo hum karne ki koshish karte hain woh yeh hai ke is isharay ka istemaal karte hue toot phoot ka shikaar rnrz par tijarat karen. yeh toot phoot ke namonon ka aik silsila hai jo down market mein zahir ho sakta hai. hum aam tor par yeh namoonay neechay ke rujhan mein lehron ke oopar bantay hue paate hain har lehar aik nakaam mandi really hai. yeh aam tor par taaqat ke lehaaz se mehdood hotay hain khaas tor par agar wahan mazboot aur qaim mandi ka rujhan mojood ho,grid system ka istemaal karte hue position ki raqam ko sirf is soorat mein badhaya ja sakta hai jab aur market matlooba simt mein agay barhay. yeh stap nuqsanaat ko ahthyat se control karne ke sath mil kar kya jata hai. agar market doosri simt mein tootna shuru kar deti hai to nuqsanaat is se bohat kam hotay hain jo hum ne aik hi waqt mein tijarat ka ehad kya tha lambay doraniye ke charts ke sath, jaisay rozana aur chaar ghantay ke charts, qeemat ki karwai ka jaiza lainay ke liye kam waqt ke feremo mein drill down karna aik madadgaar taknik hai neechay ka rujhan aksar is tareeqa ko istemaal karte hue munafe bakhash tijarat kar sakta hai,,
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Bearish Breakaway Candlestick Pattern
      Bearish Breakaway candlestick pattern prices k top par jahan par stock ki supply ziada aur demand kam hoti hai, banta hai, jo k aik bearish trend reversal ka kaam karta hai. Financial market main candlestick patterns ya chart patterns ko supply aur demand ke darmiyan tawazun ko zahir karti hai. Jab koi stock oopar jata hai to buyers matket par control mein hotay hain. Market ki iss situation main supply se ziyada demand hoti hai. Buyers stock haasil karne ke liye ziada active hote hen, jiss se wo ask price par buy karte hen. Jab koi stock fall kar raha hota hai to uss waqat market ki condition iss se mukhtalif hoti hai. Sellers market ko mojooda qeemat par sell karke uss ki qadar main kami karte hen, jiss wo nechay jata hai.
      Candles Formation
      Bearish Breakaway candlestick pattern prices k top main panch candles par mushtamil hota hai, jiss main shamil pehli aur akhari candles long real body main hoti hai, jab k darmeyan main teen small real body ki candles hoti hai, jo k prices k main pause peda karti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai ;
      1. First Candle: Bearish Breakaway candlestick pattern ki pehli candle aik strong real body wali bullish candle hoti hai, jiss ka close open se upper hota hai. Ye candle long real body majn hoti hai, jiss main pattern ki real body shadow k muqabele main ziada hoti hai. Ye candle prices k mojoda bullish trend ki akasi hoti hai.
      2. Second Candle: Bearish Breakaway candlestick pattern ki dosri candle aik small real body wali hoti hai, jo k pehli candle se above gap main banti hai. Ye candle wese to ziada tar bullish hi hoti hai, lekin zarori nahi hai, k aisa hi ho. Pattern ki dosri candle umoman pehli candle k top par banti hai.
      3. Third Candle: Bearish Breakaway candlestick pattern ki teesri candle bhi dosri candle ki tarah small real body main hoti hai. Ye candle bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai, lekin aksar ye dosri candle k inverse main banti hai. Ye candle dosri candle k top ya parallel main banti hai.
      4. Fourth Candle: Bearish Breakaway candlestick pattern ki fourth candle aik ziada tar dosri candle ki tarah hoti hai, jo k same small real body wali candle hoti hai. Ye candle teesri candle k top par banti hai, lekin aksar ye bullish candle hoti hai, jo k zarori nahi hai, q k ye bearish bhi ho sakti hai.
      5. Fifth Candle: Bearish Breakaway candlestick pattern ki akhari candle aik bearish candle hoti hai, jo k strong real body main banti hai. Ye candle prices main sellers ki mazboti ki akasi karti hai. Ye candle fourth k baad banti hai, jo k teeno small real body wali candles ko cover karne k baad pehli aur dosri candle k darmeyan wae gap main close hoti hai. Bearish candle ki strong real body se bullish ka trend khatam ho jata hai, aur market sellers k control main a jata hai.
      Explaination
      Bearish Breakaway candlestick pattern prices k bottom ya bullish trend main banta hai. Ye candle akhaz main market par buyers ka control, darmeyan main prices ka pause aur akher main market par sellers k dabao ko dekhaya jata hai. Ye pattern panch candlestick par muheet aik bearish trend reversal pattern hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo market par buyers ka control zahir kia jata hai. Pattern ki agli teen candles small real body main hoti hai, jab k ye bearish aur bullish dono ho sakti hai. Teeno small candles pehli candle k top par gap main banti hai. Pattern ki akhari candle aik bearish candle hoti hai, jo k strong real body main hoti hai. Ye candle teeno small candles ko cover karti hai, jo k open fourth small real body k upper par ho kar aur close pehli aur dosri candle k darmeyan gap main hoti hai.
      Trading
      Bearish Breakaway candlestick pattern majn strong bullish trend k baad prices sellers k control main a jati hai, jo traders ko sell ka signal deti hai. Ye pattern high prices area main hona chaheye, jab k last bearish candle k baad aik confirmation candle ka hona zarori hai. Confirmation candle real body main bearish honi chaheye. Pattern k baad bullish candle banne par pattern invalid ho jayega. Pattern ki confirmation CCI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jo k overbought area main hone chaheye. Pattern k leye stop loss ka istemal zarori hai. Stop Loss pattern k sab se upper par ya small candles k top se two pips above set karen.

      اب آن لائن

      Working...
      X