Bearish In-Neck Line Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish In-Neck Line Candlestick Pattern
    Bearish In-Neck Line Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bearish In-Neck Line Candlestick Pattern
    Bearish in-neck line candlestick pattern price chart par banne wala aik two days ka bearish trend continuation pattern hai, jo k low price area ya bearish trend k dowran banta hai. Pattern ki pehli candle bearish jab k dosri candle aik bullish candle hoti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle se nechay gap main open hoti hai, aur candles k darmeyan main banne wala ye gap dosri candle ki real body se cover ho jata hai. Pattern ki dosri candle ka close price pehli candle k close point same hona chahiye, yanni dosri bullish candle lazmi pehli candle k close price k in-line close honi chaheye. Pattern ki dono candles real body main lazmi honi chaheye, jab k candles k shadow ka hona ya na hona zarori nahi hai.
    Candles Formation
    Bearish in-neck line candlestick pattern k leye zarori hai, k prices ka bottom ya bearish trend main ho. Ye pattern newly breakout trend main ziada successful rehta hai. Bearish in-neck line candlestick pattern do mukhalif candles ka hota hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
    1. First Candle: Bearish in-neck line candlestick pattern ki pehli candle aik long real body main bearish candle banti hai. Ye candle prices k bottom par ya low prices area main sellers ki dilchaspi dekhati hai, jo prices ko lower side par push karti hai. Ye candle black ya red color main hoti hai, jo k beal body k sath hoti hai.
    2. Second Candle: Bearish in-neck line candlestick pattern ki dosri candle bullish trend wali candle hoti hai, jo k prices k direction ko badalne ki nakam koshash karti hai. Ye candle aik real body main banti hai, jiss ka open pehli candle k bottom par gap main hota hai, jab k close ussi candle k real body k same close price par hota hai.
    Explanation
    Bearish in-neck line candlestick pattern two days candles ka trend continuation pattern hai, jiss main pehli candle aik normal bearish candle hoti hai, jo prices main bearish trend aur selling pressure zahir karti hai. Ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, jab k pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k pehli candle k bottom gap main open ho kar pehli candle k close point se thora sa nechay close hoti hai. Ye candle market main buying control ko zahir karti hai, lekin low demand ki waja se ye prices k trend reversal karne main nakam rehti hai. Ye pattern dekhne main aur candles ki formation same piercing line candlestick pattern ki tarah hota hai, lekin ye pattern uss se iss waja se mukhtalef hota hai, q k aik to ye pattern bearish trend continuation k leye istemal hota hai, aur dosra iss pattern ki dosri candle pehli candle ki real body k same close pricek in-line close hoti hai.
    Trading
    Bearish in-neck line candlestick pattern prices k bottom par banne ki waja se market main buyers market main active hone ki nakam koshash karte hen. Pattern ki dosri candle prices ko mazeed nechay jane se rokne ki koshash karti hai, lekin supply ziada hone se aisa mumkin nahi ho pata hai. Pattern par trade enter karne se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jiss ka open price apne close price k ooper hona chaheye aur dosri candle k lower side par close honi chaheye. Lekin agar confirmation candle ki jagah agar bullish candle banti hai, to ye pattern invalid ho jayega, jiss par trade entry nahi karni chaheye. Indicators par value lazmi mid-zone se nechay hona chaheye, jiss ki confirmation lazmi hai. Stop Loss pattern k sab se top position jo k pehli candle ka high ya open price banta hai, se two pips above set karen.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X