Detail of hanging man pattern with important points .
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Detail of hanging man pattern with important points .
    Detail of hanging man pattern with important points .
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Aslam o alaikum. Dear members umeed karta hun k ap sab kheriat sy hon gey aur forex par bht achi learning hasil kar rahy houn gey. Dear members aj mein ap sab k sath aik bht important topic discuss karunga . Yeh topic apko trading mein bht zada help dy ga and is ko istemal karny k boht sary benefits hein. Umeed karta hun k ap sab is pattern ko zaroor seekhen gey aur faida hasil karen gey. * What is Hanging Man Candlestick Pattern ? Dear members jaisa k ap sab janty hein k trading k doran har candle ki apni aik alag pehchan hoti hai. Isi tarah hanging man candlestick ki apni aik pehchan hai. Is candle ki formation aik single candle sy hogi and is ki formation market k chart k andar uptrend ki side par hogi. Hanging man sey pehly market long term ki taraf jaty huye aik strong uptrend ko bana rai hoti hai. Is pattern k start mein aik gap up aye ga aur is gap k high sey hanging man candle bany gi . * Yeh candle aik small real body sey bany gi aur iski real body bullish aur bearish dono ho sakti hai. Yeh small real body wali candle kisi bhi colour ki ho sakti hai. Is small real body k lower par aik long shadow hoga jo size mein real body sey double hoga. Yeh market k down jany ka bta raha hoga and is k upper side par aik small shadow hota hai. Is hanging man ki yeh formation higher ki taraf resistance level k qareeb hogi. * Explanation of Hanging Man : Jab bhi hanging man pattern banta hai then is sey pehly market mein bullish ka trend hoga. Yeh bullish trend market ki prices ko high ki taraf ley ja raha hoga. Yeh bullish bht he strong hota hai aur yeh market ko bullish ki taraf ley jata hai taizi sey. Jaisy he formation hogi then market mein bullish end hoga aur bearish trend shuru ho jaye ga. Yeh market ka control sambhaly ga aur lower side aik long shadow banaye ga. Is pattern ki formation aik single candle sy hoti hai. Yeh aik boht he famous pattern hai and mostlt expert traders is pattern ko istemal karty hen. Aik long term chart ko samny rakh k uska achi tarah jaiza karny k baad market ko control karna seekh lety hein. * Conclusion : Yeh aik bearish reversal pattern hai aur market k andar bullish trend mein banta hai. Yeh bullish stock ko reverse kar k bearish ki taraf ley k ata hai. Yeh aik candle sey mil k banta hai aur iski upper side chota sa shadow hota ha jab k iski lower par aik long shadow hota hai. Yeh single candle aik specific sequence mein hoti hai. Hanging man candle top ko bana rahi hoti hai aur usi point sey market lower ki taraf reverse hoti hai. Is pattern ki pehchan karny k liye mehnat ki zarurat hai aur jab yeh pattern nazar ajsye then hum market k control ko handle kr lety hein. Umeed karta hun k ap sab is pattern ko achi tarah samjhy hongy aur is par zaroor working karen gey. Hanging man pattern traders ko trend k reverse hony ka bta raha hota hai. Jab hanging man candle bany gi then is k lower par aik long shadow hoga aur upper par small shadow hoga. Yeh hamen guide kar raha hota hai k market mein sellers k traders enter ho rahy hein aur market bearish trend mein jany lagi hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X