Bearish Belt-Hold Line Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Belt-Hold Line Candlestick Pattern
    Bearish Belt-Hold Line Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bullish Belt-Hold Pattern
    Bearish belt-hold pattern two days candlestick pattern par mushtamil hota hai, jo k prices k top par ya bullish trend k baad bearish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Ye pattern dekhne main same dark cloud cover candlestick pattern ya bullish thrusting line pattern jaisa dekhaye deta hai, lekin dosri Bearish candle ki shape thori si difference honne ki waja se ye uss mukhtalif ban jata hai. Iss pattern ki pehli candle bullish aur dosri Bearish candle hoti hai. Bearish candle ki haseyat ki waja se ye pattern bearish trend reversal ka kaam karta hai, dosra iss candle ki strongness ki waja se iss pattern ko single candle pattern bhi kaha jata hai. Second bearish candle ko bearish marubozu candle bhi kaha jata hai, q iss candlestick k upper side par koi shadow ya wick nahi banta hai.
    Candles Formation
    Bearish belt-hold line candlestick pattern prices k top ya upper prices par low demand ki waja se banta hai, jahan par do candles prices ki trend change ka aik positive signal deta hai. Pattern ki dono candles strong real body main banti hai, aur market ki current supply aur demand ki akasi karti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazel tarah se hoti hai;
    1. First Candle: Bearish belt-hold line candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k market main maojood current trend ki akasi karti hai. Ye candle prices ko higher side par push karti hai, jiss main candle ka close price open price se upper side par hota hai. Ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.
    2. Second Candle: Bearish belt-hold line candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jiss k upper side ya opening side par koi shadow nahi hota hai. Ye candle open pehli candle k top par gap main hoti hai, jab k close pehli candle k darmeyan se below hoti hai. Bearish candle market main current bullish trend ka khatma karti hai, aur prices ko aik new semat deti hai, jo k bearish trend reversal hota hai.
    Explaination
    Bearish belt-hold pattern ki pehchan dosre marubozu candle se hoti hai q k ye pattern dekhne main same dark cloud cover pattern hai, is waja se pattern ko kuch analyst single Bearish candle bhi tasawar karte hen, q k iss ki haseyat ki waja se hi pattern bearish trend reversal ka kaam karta hai, jab kuch trader pehli candle k mutabiq dosri candle ki reference banate hen, jiss se ye pattern two candles ka ban jata hai. Bearish Belt-Hold Pattern main pehli candle bullish trend k mutabiq hoti hai, iss waja se ye candle aik strong real body main aur white ya green color ki hoti hai. Ye candle buyers ka control zahir karti hai, jiss main prices upward move karne ki koshash karti hai. Bearish belt-hold pattern ki dosri candle aik strong real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka open bagher wick ya shadow k hota hai aur ye pehli candle k above gap main open hoti hai, jab k close pehli candle k midpoint ya fifty percent hissey se below hoti hai. Ye candle bearish trend reversal main aham kirdar ada karti hai.
    Trading
    Bearish belt-hold line pattern dekhne main kuch dosre trend reversal pattern ya trend continuation pattern se mushabihat rakhta hai, jiss tarah bullish thrusting line pattern aik bullish trend continuation pattern hai, aur dosri candle ka high pehle candle k darmeyan se kam hone ki waja se iss se difference ban jata hai. ki pehli candle normal bullish trend wali candle hoti hai, jo k prices k bullish trend ki alamat hoti hai, jab k dosri candle pehli candle k upper gap main open honne k bawajood close pehli candle k fifty percent se below area main hoti hai, jiss se dosri candle ki mazboti zaher hoti hai. Bearish belt-hold pattern par trading se pehle trend confirmation ka honna zarori hai. Trend confirmation price action se bhi ho sakti hai aur kisi reliable indicator se bhi ho sakti hai. Pattern k dosri candle k bad agar aik real body bearish candle banti hai, to yahan par market main entry ki ja sakti hai. Stop Loss pattern k sab se highest point jo umoman dosri candle ka upper ya open banta hai, se aik ya do pips top par set karen.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X