Pattern ek aisa chart pattern hai jo baaz dafa downtrend ki shuruwat mein nazar ata hai. Yeh pattern do candlesticks se bana hota hai jin mein se pehla candle bullish hota hai aur dusra candle bearish hota hai.Pehle candlestick ka rang sabz hota hai aur iska size bara hota hai. Is candlestick ko bull candle bhi kaha jata hai. Iske baad ek chota sa candlestick nazar ata hai jo doosre candlestick ka opposite rang rakhta hai. Yani agar pehla candlestick ka rang sabz tha tou dusra candlestick ka rang surkh hota hai. Aap ke chart mein ek Bearish Harami Candlestick Pattern nazar ata hai.Pehle candlestick ka size bara hai aur iska rang sabz hai. Yeh bullish candlestick hai aur iska open price neechay ki taraf hai aur close price oopar ki taraf. Dusra candlestick pehle candlestick se chota hai aur iska rang surkh hai. Iska open price pehle candlestick ke close price ke qareeb hai aur close price neechay ki taraf hai.Iska matlab hota hai ke pehle din bulls control mein thay aur prices oopar ki taraf jaa rahe thay. Lekin doosre din bears control mein aa gaye aur prices girne lage. Yeh pattern bearish trend ki continuation ka signal deta hai aur iska matlab hota hai ke prices aur neechay jaa sakte hain. Bearish Harami Candlestick Pattern ko samajhne ke liye, traders aur investors ko chart analysis aur technical analysis ka knowledge hona zaroori hai. market mein moujud tamam patterns ko samajhne ke badh hi trade lagate hain bearish Harami pattern shooting star pattern aur reverse Head and Shoulder pattern ki nisbat bohot hi achi information provide karta hai isil liye jo members per X mein kam karna chahte hain unke liye is patterns ke about information hasil karna zaruri hota hai. Best Information About Bearish Harami Pattern: Dear Sisters and Brothers Forex trading main Bearish Harami Pattern resistance level per banta hai is ko samajny ke liye humy botoh zyada practice karni hoti hai or apny knowledge or experience ko zyada karna ho ga jitna hum samaj ke trading kary gy to he behtar learning or practice kar ke kamyab ho sakty hain par jab tak hum is pattern ko seekty nahi hy or samajty nahi hain to hum achi trading ni kar sakty hain. Confirmation of Bearish Harami Pattern: Dear Students Aam tor per "Bearish Harami Pattern" ke sath zyada tar trader Relative Strength Index (RSI) ko use kerty hain. Trading ke liye agar RSI over-bought ka signal de aur uptrend ka momentum be khatam ho raha ho to trader ko RSI ke 70 line per wapis downward cross karny ka wait karna chahiye. Aur second candle ki length first candle ki lenght ke sirf 25 % tak he honi chahiye. Bearish Harami candlesticks Pattern ka new high pa banna downtrend ki confirmation deta hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим