Doji Star Candlestick Patterns

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Doji Star Candlestick Patterns
    Doji Star Candlestick Patterns
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalam o Alikum Dears Pakistan Forex Fourm Members Umeed karta hun ap sab loog khair Khariyat sy hungy oor enjoy kr rhy hungy apni training life ko dosto Japanese candlesticks baar chart ki nisbat iss waja se ziada pasand ki jati hai, q k ye candles un ki nisbat bohut ziada information reakhti hai. Baar chart aik timeframe ka open, close, low aur high prices dekhate hen, jab k candlestick open, close, low, high, bullish, bearish aur neutral values bhi dekhate hen. Candlesticks chahay single hon ya tadad main ziada hon, innki information ziada reliable hoti hai, jiss ko analyst ziada pasand karte hen. Doji star candle bhi aik single candle hoti hai, jo k umoman aik neutral candle tasawar ki jati hai. Ye candle bagher real body main hoti hai, jiss ka upper aur lower sides par small equal length k shadows hota hai. Doji Star Candlestick Formation Dosto Doji star candles umoman prices main ziada tar dekhaye dete hen, q k ye aik neutral candle shumar hoti hai. Ye candle aik hi waqat main market main buyers aur sellers ki equal taqat ki akasi karti hai, jo prices ko aik khas position par mustehkam rakhti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se hoti hai. Doji Star Candlestick Dosto Doji star candlestick prices k darmeyan main ziada tar neutral hoti hai, jab k bottom aur top prices par trend reversal ki salaheyat rakhti hai. Ye candle aik bagher real body main hoti hai, jab k ye candle single hone ki waja se bullish aur bearish dono tarah ka kaam kar sakti hai. Candle k upper aur lower sides par shadow hota hai, jo k dono sides par size main equal hota hai. Explanation Doji Star Candlestick Dosto Doji star candlestick aik bagher real body main upper aur lower sides par small shadow ki hoti hai. Ye candle bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai, jab k candle ki oper aur close price k upper aur lower sides par equally small shadows hote hen. Jab bhi stock ki prices par selected timeframe k mutabiq pehle aik side se ziada pressure par jata hai aur baad main dosri taraf se same pressure parta hai, to uss sorat main Doji star candle banti hai, lekin buyers aur sellers ki market main equal pressure ki waja se candle ki dono taraf shadow ban same ban jata hai. Doji star candle dekhne main same Long-legged candle jaise hoti hai, lekin iss k upper aur lower sides ka shadow length main kam hota hai, jiss se dono candles k darmeyan bohut wazih faraq a jata hai. How to get Trade Dosto single candle pattern honne ki waja se traders k leye wazih signal nahi deta hai, aur khas kar sideways market main to ye invalid ya neutral candle hoti hai. Ye candle prices k top ya bottom main main thori bohut moasar ho sakti hai, lekin uss k leye bhi confirmation ka hona zarori hai. Candle ki trading se pehle market main long term ki timeframe select karne k baad prices k top ya bottom position dekh len. Uss k baad kuch indicators jaise CCI indicator aur stochastic oscillator par value dekh len jo k overbought ya oversold zone main hona zarori hai. Candle par trading ziada riski hai, iss waja se Stop Loss candle k bottom ya top se two pips below ya above set karen.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X