candlestick pattern aik bullish trend reversal pattern hai, jo price chart par do candles se mel kar banta hai. Pattern main shamil pehli candles bearish hoti hai, issi waja se pattern k leye prices ka pehle se low area ya bearish trend main hona zarori hai. Two days candles ki accuracy single day pattern se behtar hota hai, q k iss main aik candle thori bohut confirmation bhi deti hai. Jab bhi market main sellers prices ko aik khas level tak nechay push karte hen, to yahan par trend reversal k imkanat ziada hote hen, ye trend confirmation aksar kuch pattern se confirm ho jati hai, jiss main bullish harami pattern bhi shamil hai. EXPLANATION OF BULLISH HARAMI CANDLESTICK PATTERN: Bullish harami candlestick pattern prices main bearish trend k dowran ban kar prices ko mazeed nechay jane se rok leti hai. Ye candle aik strong trend reversal ka signal deti hai. Pattern two days candles par mushtamil hai, jiss ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jo k prices k bearish ya downward trend ki alamat hoti hai. Pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, aur ye candle pehli candle ki nisbat real body main kam bhi hoti hai aur ye pehli candle ki real body ki inside main bhi banti hai, jiss se prices ka mazeed down-fall ruk jata hai. Ye pattern dekhne main same to same homing pigeon pattern jaisa kagta hai, lekin dosri candle ka bullish banne se pattern main tabdeeli waqea ho jati hai. TRADING STRATEGY IN BULLISH HARAMI CANDLESTICK PATTERN: Bullish harami candlestick pattern prices k bottom main banne ki waja se aik bullish signal genrate karta hai, jiss par market main buy ki entry ki ja sakti hai. Pattern pat trade enter karne se pattern ki dosri candle aik confirmation candle ki zarorat parti hai, jo k real body main aik bullish candle honi chaheye, aur dosri candle k top par close bhi honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss ki value oversold zone main honi chaheye. Pattern k baad bearish candle se pattern invalid tasawar kia jayega. Pattern ka STOP LOSS sab se lower ya pehli candle k close price se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим