What is Upside Tasuki Gap ?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Upside Tasuki Gap ?
    What is Upside Tasuki Gap ?
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Upside Tasuki Gap Candlestick Pattern
    Upside tasuki gap patteren aik bullish trend continuation pattern hai, lekin baaz dafa ye double market sentiment analysis k leye bhi jani jati hai, pehli aik bullish impulsive lehar hai, aur doosri bearish price ki trend reversal hai. Yeh pattern aam tawar par supply and demand mein bullish trend ka tasalsul pattern hai. Upside tasuki gap patteren main do bullish candlestick is baat ki numaindagi karte hen k buyers walay market k ooper mukammal control mein hen, jiss se price ki qader mein musalsal izzafa waqea ho raha hai. Prices ka wese bhi bhi basic trend bullish ka hota hai, jo higher high levels ko tashkeel deta hai. Upside tasuki gap patteren k leye prices ka bullish trend ka hona aham hai, q k ye prices ko mazeed ooper ki taraf push karta hen.
    Candles Formation
    Upside tasuki gap pattern k leye prices ko upward semat ka hona zarori hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli do candles bullish hoti hai, aur last wali candle bearish hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai; . First Candle: Upside tasuki gap pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k normal real body main banti hai. Ye candle prices ka bullish trend ko zahir karti hai. Ye candle shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, lekin lazmi bullish candle honi chaheye. 2. Second Candle: Upside tasuki gap pattern ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah aik bullish candle hoti hai, jo k pehli candle se ooper gap main banti hai. Candle ka close open price se lazmi ooper hona chaheye, jab k iss ka gap bhi pehli candle se wazih aur clear hona chaheye. 3. Third Candle: Upside tasuki gap pattern ki teesri candle aik bearish candle hoti hai, jo k dosri candle k close point se nechay open ho kar pehli aur dosri candles k gap main close hoti hai. Ye candle dono bullish candles k darmeyan banne wale gap ko mukamal cover nahi karti hai. Ye candle shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, lekin real body ka lazmi bearish honi chaheye.
    Explanation
    Upside tasuki gap pattern prices main buyers ki market main strong hold ki sorat main banta hai, jiss main prices bullish trend k tasalsul ko barqarar rakhti hai. Pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli do candles bullish aur akhari aik bearish candle hoti hai. Bullish candles k darmeyan downside par aik wazih gap hota hai, jo k aik qisam ka bullish candles ka kicking pattern dekhaye deta hai. Pattern ki dono bullish candles real body main lazmi honi chaheye, jab k candles k darmeyan banne waley gap ko koi candle (bashamole shadow) cover na kare. Pattern ki akahri candle aik bearish candle hoti hai, jo k dosri candle k closing point se thora sa below open ho kar pehli aur dosri candles k gap main close hoti hai.
    Trading
    Upside tasuki gap pattern prices ko mazeed ooper push karne k leye jana jata hai, q k ye aik bullish trend continuation pattern hai, jo trend reversal pattern se ziada reliable aur accurate signals deta hai. Pattern ki teesri bearish candle ziada strong nahi banti hai, jiss se market main trend reversal ki koshash nakam ho jati hai. Pattern par trade entry karne se pehle aik bullish confirmation candle ki zarorat hoti hai, jo k real body main bullish honi chaheye. Jab k pattern k baad bearish candle banne par pattern khatam tasar hoga. CCI indicator aur stochastic oscillator par reading 50% se above honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se lower position ya pehli candle k bottom se two pips below set karen. Thanks
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      1. Introduction: - Upside Tasuki Gap Candlestick Pattern ek mumkin chart pattern hai jo candlestick analysis mein istemaal kiya jata hai. - Is pattern mein kuchh candlesticks ka group hota hai jo ek particular market condition ko darshaate hain.2. Pattern Ka Formation: - Pattern ki shuruaat ek bullish (upward) trend ke baad hoti hai. - Pehla candlestick ek strong bullish candle hota hai, jiske baad gap (khula) hota hai, jo doosre candlestick ke saath juda hota hai. - Doosra candlestick pehle bullish candlestick ki upper range mein open hota hai aur neeche close hota hai. 3. Candlestick Analysis: - Pehla candlestick ek bullish trend ko darshaata hai aur positive market sentiment ko reflect karta hai. - Gap (khula) doosre candlestick ke saath ek important element hai. Ye gap bullish trend mein hota hai aur pehle candlestick ke upper range se shuru hota hai. - Doosra candlestick pehle candlestick ke upper range mein open hota hai, indicating a potential continuation of the bullish trend. - Doosra candlestick neeche close hota hai, par phir se gap ki upper range mein settle ho sakta hai. 4. Bullish Continuation Signal: - Upside Tasuki Gap Candlestick Pattern bullish continuation signal provide karta hai. - Pattern ke formation ke baad, traders bullish trend ke continuation ki ummeed rakhte hain. - Agar doosra candlestick pehle candlestick ki upper range mein open hota hai aur neeche close hota hai, to yeh ek continuation signal hai ki bullish trend jari reh sakti hai.5. Entry aur Exit Points: - Pattern ko confirm karne ke liye traders wait karte hain ki doosra candlestick pehle candlestick ki upper range mein open ho aur neeche close ho. - Agar ye confirm hota hai, to traders long position enter kar sakte hain. - Stop-loss order previous candlestick ke neeche rakh sakte hain, taaki losses ko limit mein rakha ja sake. - Traders target price set kar sakte hain, based on their risk-reward ratio aur chart analysis. Upside Tasuki Gap Candlestick Pattern ka istemaal karke traders price movements aur market sentiment ka analysis karte hain, taki unhe profitable trading opportunities ka pata chal sake. Is pattern ko achhe se samajhne ke liye practice aur practical market experience zaroori hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X