What is upside Tasuki Gap???

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is upside Tasuki Gap???
    What is upside Tasuki Gap???
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Upside Tasuki Gap : INTRODUCTION;;
    Upside Tasuki Gap three bars ki candle stick formation hai jo commonly current trend ko jari rakhny k signal k liye istemal hoti hai. 1= First bar aik large white green candlestick hai jo k aik oper waly trend k andar hai . 2= Dusri bar aik aur white green candlestick hai jis k opening price jo pehli bar k qareb sey oper hoti hai. 3= Third bar aik black red candlestick hai jo pehli two bars k darmeyan gap ko partially tor par band karti hai.
    IMPORTANCE
    Upside Tasuki Gap kisi bhi waqt bullish k trend k doran ho sakta ha. Bullish pattern commonly aik aisy chakar ko follow karta ha jo shuru hony waly gap k sath shuru hota ha jis sy reversal ki tasdiq hoti ha aur phir security k trend ki price zada ha , ye aksar aik ascending channel banata ha. Traders price k amal ki peak aur length level par two oper ki traf sloping lines draw karty hein aur oper wala tasuki gap aik ascending channel k andar ho sakta ha jis mein explain karda aik ya kafi gaps bhi shamil hein.
    EXPLANATION
    Upside tasuki gap pattern ki dusri candlestick k open gap k sath sath uski barhti hui price k zareye uptrend ki power ka mozahera Kerti ha. Pattern ki third candlestick trend mein rukny ki nishan dehi karti ha kyun k bear price kam kareny ki koshish karty hein liken pehli aur dusri candlestick k darmeyan gap ko close ni kar sakty. Bear k gap ko band Krny k liye nakami sey pata chalta ha k oper ka trend jari ha. Traders pattern ko bullish tasuki gap ya oper k gap tasuki k tor par bhi dekh sakty hein . Is ka negative counterpart jo k bearish ki market mein hota ha. Upside tasuki gap bht sy gap pattern mein sy aik hai jo k bullish trend mein form pa sakta ha. Supporting uptrend gap ko usually upside tasuki gap k sath mil kar use kea jata ha ta k bullish trading strategy mein confirmation shamil ho.
    KEY POINTS
    Upside tasuki gap three bars ki candlestick formation hai jo current uptrend k jari rehny ka ishara Karti ha. Oper ki taraf tasuki gap ki third candlestick partially pehli two bars k darmeyan gap ko close karti ha. Upside tasuki gap pattern prices ko mazeed ooper push karne k leye jana jata hai, q k ye aik bullish trend continuation pattern hai, jo trend reversal pattern se ziada reliable aur accurate signals deta hai. Pattern ki teesri bearish candle ziada strong nahi banti hai, jiss se market main trend reversal ki koshash nakam ho jati hai. Pattern par trade entry karne se pehle aik bullish confirmation candle ki zarorat hoti hai, jo k real body main bullish honi chaheye. Jab k pattern k baad bearish candle banne par pattern khatam tasar hoga. CCI indicator aur stochastic oscillator par reading 50% se above honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se lower position ya pehli candle k bottom se two pips below set karen.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X