Bullish Engulfing Candlestick Pattern;

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish Engulfing Candlestick Pattern;
    Bullish Engulfing Candlestick Pattern;
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Bullish Engulfing Candlestick Pattern; Bullish Engulfing pattern do candlesticks se bana hota hai. Pehli candlestick bearish hoti hai, yaani ke uski closing price opening price se kam hoti hai, aur doosri candlestick bullish hoti hai, yaani ke uski closing price opening price se zyada hoti hai. Do candlesticks ki range ko dekh kar, yeh pattern jana jata hai ke market mein buyers ki taaqat hai aur agle dino mein market mein izafa hone wala hai. Confirmation: Es pattern ko samajhne ke liye, sabse pehle yeh samajhna zaroori hai ke candlesticks kia hotey hain. Candlestick ek charting technique hai jis se traders stock prices ko analyze karte hain. Yeh charting technique Japan se shuru hua tha aur ab dunya bhar mein istemal kiya jata hai. Har candlestick chart mein kuch information provide karta hai, jaise ke stock ki opening price, closing price, high price aur low price. Har candlestick ek rectangle aur wick se bana hota hai. Rectangle, candlestick ka body hota hai, jis se traders ko opening price aur closing price ka pata chalta hai, jab ke wick, candlestick ka tail hota hai, jis se traders ko high aur low price ka pata chalta hai. Trading Strategy: Dear *baat karte hain Bullish Engulfing candlestick pattern ki. Jab market mein yeh pattern ban jata hai, to yeh is baat ka indication deta hai ke bearish trend khatam ho chuka hai aur bullish trend shuru hone wala hai. Is pattern mein, pehli candlestick bearish hoti hai aur doosri candlestick bullish hoti hai. Pehli candlestick ki closing price, opening price se kam hoti hai, aur is ki range bullish candlestick se zyada hoti hai. Bullish candlestick ki closing price, opening price se zyada hoti hai aur is ki range pehli candlestick se zyada hoti hai.Agar hum is pattern ko graphically dekhain, to yeh ek long black candlestick ke baad ek long white candlestick banata hai. Black candlestick ki body mein, closing price, opening price se kam hoti hai, aur white candlestick ki body mein closing price, opening price se zyada hoti hai. White candlestick ki range black candlestick se zyada hoti hai. Isi wajah se, yeh pattern Bullish Engulfing ke naam se jana jata hai. Thanks
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Bullish Engulfing Pattern
      Bullish Engulfing candlestick pattern main aik bari bullish candle pechle din k candle se gap main nechay open ho kar uss k abive close hoti hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hota hai, jo k bearish trend k baad banta hai. Yanni iss pattern main bearish trend ki aik bearish small real body wali candle hoti hai, jiss ka baad aik long real boy bullish candle uss ko apne lapait main le leti hai. Ye candle pehlee candle se size main bohut baree candle hotti hai, jo pehlee bearish candle ko apnne andar lapait letti hai, jiss ko "Engulfing" kaha jatta hai. Jo dekhen main opposite "Bearish harami pattern" jaisa lagta hai.
      Candles Formation
      Bullish Engulfing candlestick pattern main do candles hotti hai, jiss main pehlee candle trend k mutabiq bearish candle hotti hai, jiss ko trend reversal Bullish candle follow kartti hai. Bullish Engulfing Candlestick Pattern main candles ki formation darjazzel hoggi;
      1. First Candle: Bullish Engulfing Candlestick Pattern main pehlee candle aik normal real body main bearish candle hotti hai, jiss ka open aur close aik point par nahi hotta hai. Ye candle color main black ya red bantti hai.
      2. Second Candle: Bullish Engulfing Candlestick Pattern ki dosre din ki candle aik long real body main Bullish candle bantti hai, jo k open to pehlee candle se below gap main hai, lekin close below hotti hai. Ye candle pehlee candle ko apne andar engulf karbletti hai, aur color main white ya green hotti hai.
      Explanation
      Bullish Engulfing candlestick pattern dosre din ki aik bari bullish candle pehle din ki bearish candle ko apne lapait main leti hai, jiss se bearish trend ka khatma hota hai. Agar bullish candle do ya do se ziada candles ko engulf karti hai to iss se bullish trend ki teezi main aur bhi izafa aur confirmation thek rehti hai. . Pattern prices k bottom trend ya low price area main bantta hai, jis main pehlee candle aik normal real body main bearish candle bantti hai, jab k dosre din ki candle aik long real body wali bullish candle hotti hai.
      Trading
      Bullish Engulfing candlestick pattern do candles hoti hai, jiss main dosre din ki candle bullish hoti hai aur uss ka open aur close pehle din ki bearish candle se ziada hota hai. Ye candle open bearish candle k below hoti hai aur close uss se abaove hoti hai,. Trend confirmation pattern ka indicator se bhi kia ja sakta hai aur price action se bhi ho sakta hai. Agar bullish candle ziada candles ko engulf karti hai to uss se trend confirmation main aur bhi izafa hota hai, q k iss k baad prices bohut teezi k sath bullish jati hai. Pattern ka Stop Loss pattern k sab se lowest point se two pips below set karen jo umoman dosre candle ka open ya low price area hota hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X