Bearish Belt-Hold Line Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Belt-Hold Line Candlestick Pattern
    Bearish Belt-Hold Line Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bearish Belt-Hold Pattern
    Bearish Belt-Hold line candlestick pattern price chart par bullish trend ya high price k baad banta hai, jiss se prices ka trend reversal hona shoro hota hai. Jab bhi price chart par prices bohut ziada bullish jaye to wahan par iss ko bari satah par resistance ka samna karna parta hai, jiss k natijay main aik strong bearish candle apne se pehle bullish candle par aik strong counterattack kati hai aur attack ki iss shedat ki waja se trend reversal ho jata hai. Prices k iss amal ko Bearish Belt-Hold Line Pattern kaha jata hai. Belt hold line pattern prices k top par banne wala aik bearish trend reversal pattern hai, jiss k bullish trend ka hona zarori hota hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik bullish hoti aur baad wali candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo bullish candle se above gap main open ho kar bullish candle k midpoint se nechay close hoti hai.
    Candles Formation
    Bearish Belt-Hold line pattern par analyst ki analysis mukhtalif qisam ki hoti hai, koi iss ko two days candle ka pattern kehte hen, to koi iss ko single day pattern shumar karte hen. Ye pattern bullish aur bearish candles par mushtamil hota hai, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
    1. First Candle: Belt-Hold line pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k bullish market ki taraf ishara karti hai, ye candle color main white ya green hoti hai.
    2. Second Candle: Belt-Hold line pattern ki dosri candle bearish hoti hai, jo k bearish trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle bullish candle se above gap main open ho kar uss k midpoint se nechay close hoti hai. Ye bagher upper wick ki aik bozu candle hoti hai. Ye candle color main red ya black hoti hai.
    Explaination Bearish belt hold pattern k top prices ya bullish trend hona zarori hai, jiss ko bearish trend reversal k leye istemal kia jata hai. Ye pattern two days candles ka pattern hai, jo ko ziada tar analyst single candle pattern bhi shumar karte hen. Pehli candle aik bullish hoti hai, jo k bullish trend ki akasi karti hai. Dosri bearish candle pehli candle se above gap main open ho kar pehli candle k midpoint se nechay ja k close hoti hai, jiss se bullish trend ka khatma ho jata hai. Dosri bearish candle k up side par koi wick ya shadow nahi hona chaheye, jiss se candle k bearish mazboti ka andaza jo jata hai. Ye candle aik bearish bozu candle hoti hai, jo k bagher upper wick ya shadow ki bearish candle hoti hai. Bearish Belt-Hold line pattern dekhne main to bearish counterattack / meeting line pattern se mushabehat rakhti hai, lekin dosri candle k bearish formation k mukhtalif hone ki waja se ye uss se different ban jati hai. Trading
    Bearish belt-hold line candlestick pattern price chart k top par do candles se mel kar banta hai. Pattern me banni wali dosri candle aik strong bearish candle hoti hai. Ye candle prices k top par bullish trend ka khatma karti hai, jiss se prices bearish trend main badal jati hai. Pattern par trading se pehle confirmation indicator aur bearish candle se hona zarori hai. Indicator par value jab overbought zone me ya kam az kam 50 point se upper side par trade hona chaheye. Pattern k baad aik confirmation candle ka hona chaheye jo k aik strong bearish candle honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se top par ya dosri candle k upper side above two pips par laga deya karen.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X