Forex Trading Candlestick Reveals Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading Candlestick Reveals Pattern
    Forex Trading Candlestick Reveals Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Candlestick Reversal Patterns
    Reversal Japanese candlesticks patterns market k maojooda trend k reversal janne ki indication detti hai. Bullish trend main reversal pattern sell ka signal detta hai, jabb bhi qeematen resistance levels main ruk chukki hon, aur iss ko mazzeed upper janne main dushwaree a rahee ho aur dosra ya qeematen bohut ziadda high par cahli gayye ho. Jab k iss k bar-akss bearish trend main reversal pattern buy ka signal detta hai, jab bhi qeematen support level main ruk chukki hon, jese mazzeed nechay janne main dushwaree hon aur ya ye bohut ziadda lower par trade kar rahee ho. Yahan par ye baat note karen k ye reversal pattern market main 50% tak hi kamyyab rehtte hen. Jab k bohut sarre trend reversal pattern ko to neutral (indecision) pattern bhi shummar kia jatta hai. Yahan tak k "Steve Neson" ne appni kattab "Japanese Candlestick Charting Techniques" main reversal pattern par trading ko bohut ziadda riski bataya hai. Issi sabbab ki wajja se Japanese candlesticks main trend reversal pattern par trading se pehle mukamal tareeqay se technical analysis karen, aur stop loss ka sahi position aur zarror estemal karren. Reversal pattern ki trend identification karnna k baad confirmation k leye mukhtalif tools jaise; chart pattern, candlestick, technical indicators aur price action ka lazzmi estemal karen, ye market main sab se ziadda safety k leye zarrori hai. Japanese candlesticks k reversal pattern main wrong ya fake signal se bach kar aur appni input point yanni entry position ko behtar banna kar aap k signal mayyar ko behtar bannane ka pehla aur aham tareeqa hai. Forex trading main aam tawar par istemal honne wale kuch trend reversal pattern darjazzel hen;
    Bullish Engulfing Pattern
    Bullish Engulfing Candlestick Pattern prices k bottom par vanne wala aik strong two days candlestick pattern hai, jo k prices ko bullish trend reversal main badal detta hai. Bullish engulfing pattern main shmail pehlee candle aik real body wali bearish candle hotti hai, jo k prices k downtrend ki mazbotti ki alammat hotti hai, lekin dosre din ki candle aik long real body wali bullish candle hotti hai, jo open to pehlee candle se lower par hotti hai, lekin close uss se above hotti hai. Pehlee bearish candle dosree bullish candle k real body k lapait main a jatti hai, jis ko "Engulfing" kaha jatta hai.
    Bullish Belt-Hold Pattern
    Bullish Belt-Hold pattern two days candle par mushtamil hai aik bullish trend reversal pattern hai, jisbko aam tawar par single pattern bhi tasawar kia jatta hai, q k pattern ki pehlee candle aik bearish trend ki strong real body wali long black ya bearish candle hotti hai. Pattern ki dosree candle aik strong bullish candle hotti hai, jo k open pehlee candle k below gap main hotti hai, lekin open bearish candle k real body main hotti hai. Bullish candle aik Marubozu ya Bozu candle hotti hai, q k is k down side par koi bhi shadow ya wock nahi hotti, jab k upward side par shafow acceptable hai.
    Tri Star Candlestick Pattern
    Bearish Tri star candlestick pattern baqqi normal candlestick pattern se bohut mukhtalif pattern hai, jo teen musalsal doji candles par mushtamil hota hai. Pattern k teeno doji candles aik dosre se up air down gap main open aur close hotte hen. Ye pattern prices k top trend main to bannta hai lekin sath hi sath bullish trend ki kazzorri aur bearish trend main prices ka reversal honne ka bhi sath ishrra detta hai. Pattern k darmeyyan main banne wali doji candle ziadda tar star doji candle hotti hai, jo pattern k sab se top par bannti hai.
    Piercing Line Pattern
    Piercing two days candlestick pattern hai, jo prices k downtrend k baad bantta hai. Pattern ki pehlee candle aik bearish trend k tasalsul ko zahir karne wali candle hotti hai. Jo k aik long real body main bantti hai. Dosrre number par banne wali candle bhi aik real body wali strong candle hotti hai, lekin ye candle aik bullish candle hotti hai. Piercing line pattern dekhne main "Meeting Line Pattern" jaisa hibdekhaye detta hai, lekin bullish candle k bearish candle k midpoint se upper close honne par us se mukhtalif ho jatta hai.
    Decending Hawk Candlestick Pattern
    Decending Hawk Candlestick Pattern aik bearish trend reversal pattern hai, jo k prices k uptrend main bantta hai. Ye pattern aam tawar par two days candles par mushtamil hota hai, jo k "Homing Pigeon Pattern" ka opposite hai. Decending Hawk Candlestick Pattern shap main "Bearish Harami Pattern" se meltta jullta hai, lekin last candle bullish hone ki waja se ye bearish harami pattern se mukhtalef ho jatta hai. Ye pattern bhi bearish harami pattern ki tarrah bearish reversal k leye estemal hotta hai, jab bhi ye bullish trend main bantta hai.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X