Three inside down candlestick patterns:
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Three inside down candlestick patterns:
    Three inside down candlestick patterns:
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Three inside down pattern aik bearish reversal pattern hai composed karta hai aik large up candle, aik smaller down candle jo contained hoti hai within prior candle, aur pher another down candle jo close below , close ki second candle hoti hai. Three inside up pattern aik bullish reversal pattern hota hai jo composed karta hai aik large down candle, aur smaller up candle contained hoti hai prior candle mein, aur phir aik another up candle jo close above hoti , close second candle sa. Three inside down pattern aik bearish reversal pattern hota hai jo composed karta hai aik large up candle, aik smaller down candle contained karti hai prior candle, aur phir another down candle jo close below the close of the second candle hoti hai. Yeh patterns short-term in nature hotay hain, aur always result significant ya even minor trend change hoti hai. Consider kro using yeh patterns within context mein aik overall trend. For example, use kro three inside up during aik pullback aik overall uptrend mein.
    • Es ki pehli Candlestick, aik bullish candlestick hoti hai, jo keh aik strong up trend mein banti hai.
    • Es ki dosri Candlestick, aik bearish candlestick hoti hai jo first candlestick (bullish candle), sa bari hoti hai aur first candle ka half sa below close hoti hai.
    • Es ki tesri Candlestick bhi aik bullish candlestick hoti hai, es ki body itni bari hoti hai keh first candle ko pori tarah cover krti hai, yani us ki body aur low point sa neechy close krti hai.
    Three inside down candle formation: Three inside down candlestick, aik baahut hi powerful signal sabit hota hai. JoH kah apko aik strong selling ki opportunity daita hai. Lakin es ka sath sath apko money management ka sath ko zaror focus karna chahiy. So ager ap ko yah pattern aik strong uptrend ka bad mil jata hai, to ap ko aik achi buying opportunity hai. Lakin ap ko kabhi bhi trend ka darmiyan mein trade ni shuru krni chaiy, Hamesha trend k khtum hony ka wait krna chaiy.
     
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Three Inside Up Candlestick Pattern
      Three inside up candlestick pattern main dosre din ki small real body wali bullish candle previous din ki bearish candle k real body main open ho kar ussi k same real body main close hoti hai, aur teesre din ki aik bullish candle pehle din ki bearish candle se top par close hoti hai. Three inside up candlestick pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik bearish candle hoti hai, jab k dosre din ki candle aik small real body wali bullish candle hoti hai. Pattern ki dosre din ki bullish candle pehli din ki bearish candle k andar banti hai, jiss tarah se bullish harami candlestick pattern main hota hai, yanni bearish candle bearish candle k high aur low k inside main open aur close hoti hai. Pattern ki last candle aik bullish candle hoti hai, jo k real body main bari banti hai, jo pehli candle k top par close hoti hai.
      Candles Formation
      Three inside up candlestick pattern main shamil candles bearish aur bullish pattern ki hoti hai, jo k prices k bullish trend reversal k leye istemal hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k andar banti hai, jab k last wali candle pehli candle k top par close hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai; 1. First Candle: Three inside up candlestick pattern ki pehli candle market k current trend k mutabiq aik bearish trend hoti hai, jiss ka close price open price k se ooper hota hai. Bearish candle shadow samet ya uss k bagher ho sakti hai, jo k real body main hoti hai. 2. Second Candle: Three inside up candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k muqabele main small real body main hoti hai, jo pehli candle k bottom se se above open ho kar ussi k top se nechay close hoti hai. Dosri candle lazmi real body main main honi chaheye aur pehli candle ki real body k andar banni chaheye. 3. Third Candle: Three inside up candlestick pattern ki last ya teesri candle bhi aik bullish candle hoti hai, jo k small bullish candle k upside par open ho kar, aik bari real body banane k baad pehli candle k top par close hoti hai. Ye candle trend reversal ka kaam karti hai, jo k dosri candle se lazmi size main bari honi chaheye.
      Explanation
      Three inside up candlestick pattern price chart par uss waqat banti hai, jab bhi sellers market main dilchaspi lena kam kar dete hen. Ye pattern prices k bottom par ya bearish trend main ban kar market ka trend bullish reversal bana deta hai. Pattern main shamil teeno candles real body main honi chaheye, jiss main dosri candle pehli candle se size main kam honi chaheye. Pattern ki banne ki psychology kuch iss tarah se hai, jiss main sellers ki prices k bottom main mazeed dilchaspi nahi rehti hai, aur ussi waqat buyers market main ziada active ho jate hen. Baaz dafa ye pattern koi strong news release hone k baad prices k bottom main banta hai.
      Trading
      Three inside up candlestick pattern trading k leye aik strong bullish signal deta hai, jiss se buyers market main entry karte hen. Pattern ki k baad aik bullish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main honne k sath sath teesri candle k top par close honi chaheye. Lekin bearish candle banne ki sorat main trade entry karne se parhez karen. Trend confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main honi chaheye. Pattern par stop loss ka istemal zarori hai. Stop Loss pattern k sab se lower position ya pehli candle k close price se two pips below set karen.
       
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Assalamu Alaikum Dosto!
        Three Inside Down Pattern
        Three inside down pattern price chart main banne wala aik three candles ka bearish trend reversal pattern hai, jo k bullish trend ya high prices area main banta hai. Candlesticks charts aik technical tool hen, jo traders ko bohut aham trend k hawale se information deti hai. Candlestick ka currency pairs k technical analysis k leye bohut aham hen, jiss se traders na sirf in ka istemal dosre indicators k sath mela kar karte hen, bulkeh ye akele bhi aksar aik leading indicators ka kaam karte hen. Three inside down pattern main pehli candle aik bullish candle jab k dosri aur teesri candles bearish candle hoti hai, jo k trend reversal karne ka kaam karti hai. Three inside down pattern k opposite direction main prices k bottom par bullish trend reversal k leye Three Inside up pattern pattern banta hai.
        Candles Formation
        Three inside down candlestick pattern teen candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jiss jo k top area main banne par assets k prices ko bullish trend k leye upward push karta hai. Three inside down candlestick pattern do bearish aur aik bullish candles se mel kar banta hai, jiss ki tafseel darjazzel hai; 1. First Candle: Three inside down candlestick pattern k pattern main pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k long real body main banti hai. Ye candle prices k maojoda bullish trend ko zahir karti hai, jo k shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai. Pattern ki pehli candle ki closing price open se ooper hona chaheye. 2. Second Candle: Three inside down candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k pehli candle k closing price se lower open aur close hoti hai, ye candle pehli candle k sath bearish harami pattern tashkeel deti hai. Ye candle bhi shadow ya shadow k bagher ho sakti hai. Dosri candle ka pehli candle se upper side par gap ka banna hona zarori hai. 3. Third Candle: Three inside down candlestick pattern ki teesri candle aik bearish candle hoti hai. Ye candle dosri candle ki real body main open ho kar pehli candle k main close hoti hai. Teesri candle ka close price open price se ziada hona chaheye. Ye candle trend reversal karne ka sabab banti hai.
        Explanation
        Three inside down candlestick pattern prices k top main banne wale pattern downside gap three methods se melta julta hai, jiss main prices same bearish trend reversal ka sabab banti hai. Three inside down candlestick pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jiss ka close price open price se ziada hota hai. Pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k pehli candle k real body main banti hai. Pehli aur dosri candles k closing aur opening price k darmeyan aik gap banta hai, aur ye gap wazih aur clear hona chaheye. Pattern ki teesri candle aik martaba pher bearish candle hoti hai, jo k dosri candle k real body main ya uss k top par open ho kar low par close hoti hai. Bearish candles ki market main strong wapasi se bullish trend ka khatema ho jata hai, aur trend aik new downward side par move karna shoro karta hai.
        Trading
        Three inside down candlestick pattern price chart main banne par traders ko bearish trend reversal ka signals deta hai, jiss par market main sell ki entry ki ja sakti hai. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ki zarorat hoti hai, jo k real body main bearish honi chaheye aur agar ye candle teesri candle k top par close hoti hai, to ye aur bhi reliable pattern hota hai. Pattern k baad bullish candle banne par trade ki entry nahi karni chaheye. Pattern ki trend confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai. CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator par value overbought area main hona chaheye. Pattern k bottom par Stop Loss ka hona zarori hai, jo k patterns k sab se upper position ya pehli candle ki close point se two pips above set karen.
         

        اب آن لائن

        Working...
        X