Forex trading me Pips aur Calculation ki Ahmeyat

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex trading me Pips aur Calculation ki Ahmeyat
    Forex trading me Pips aur Calculation ki Ahmeyat
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu alaikum dear. Forex trading me Pips aur Calculation ki Ahmeyat Price in percentage (pips) Pips forex trading ka aik base value hai, jo k kisi currency jore ki vule main hone wali sab se kam tabdeeli hai. Forex trading me currency pairs me golden hen. Ye currency pairs kabhi bhi kisi aik position par sakin nahi rehte hen yani kabhi up jate hen, kabhi down. Currency pairs me shamil pehli currency ko "Base" currency ka naam deya jata hai, jab k dosre currency ko "Quote" currency kaha jata hai. Currency pair ki base ya qoute currency dono ki value me radubadal currency pairs ki movement par asar andaz hoti hai. Jiss se ye pairs up and down pikes main card move hen. Calculation Pips ki calculation sab se asan hai. Yanni kisi currency pair ka (sewaye jinn pairs main JPY shamil ho) k value ka point k baad 4th digit ko pios kaha jata hai. Jo k 0 se le kar 9 tak ho sakta hai. Currency jore k value k right side par pecky pehla digit hota hai, jab k left side se 4rth. Agar aik currency pair USD/CAD ki maojoda value 1.1025 hai to is ka matlab hoga, k iss currency jore ka single pip 5 hai. Currency pairs main right side se second aur left side se bod k baad 3rd digit 10pips ya 1pip × 10 ka hota hai. Jab k point k baad 2nd digit 100pips ya 1pip × 100 ka hota hai, jab k point k baad 1st digit 1000pips ka ya 1pip × 1000 ka hota hai. Note: Jin currency pairs main Japanese yen (JPY) shamil hota hai, uss ka pips point k baad two pips ka hota hai, jaise USDJPY ki current value agar 113.34 hai to iss me point k baad left side with 2nd digit jab k right side se 1st local currency jore ka single pip hoga. Jab k bod k baad left side with 1st digit 10pips ya 1pip × 10 k barabar hoga. Spreads Bid price aur ask price k darmeyan faraq ko Spread kaha jata hai. Spreads ko financial market mi pipsbme count kia jata hai. Agar aik currency jore USD/JPY ki bid qeemat 110.50 aur ask qeemat 110.76 hai to ye 50 aur 76 k darmeyan faraq (pips) ko spread kehte hen. Spreads dar-asal brokers ki commission hoti hai, jo wo apne clients se trading k sahulat k badle le rahe hote hen. Aam tawar par broker apne clients ko pehle teen digits me radu-badal nahi karte. Bulke wo sirf last 2 digits ka hi hawala pesh karte hen k 50 aur 75, yani bid price 50 hai aur ask price 75. Aaj kal forex market me 5 digits ki sahulat bhi muhaya ki jati hai. Je waja se market me bid aur ask ki trade lagane se pehle is ko baghawar tajzeya zarori hai. Trading Pips ko Made Nazar Rakhna Baaz dafa traders aik bod par dokha kha jate hens, wo ye k ziana tar forex brokers currency pairs ko 5th digit me bhi pesh karte hens, jo k 1pip ya single pip ka daswan ya 1/10 pip hota hai. Iss ko aam tawar par "Pipette" kaha jata hai. Ye hargez aik pip nahi hota hai, jiss ko traders riak reward ratio to dowaran calculation main ghalti kar jate hen. Trading k leye 5th digit ki bajaye 4th digit ko hi count karen. 5th digit ka faida ye hai k iss ki waja se brokers ne apna spread kam kar deya hai, jiss se traders ko zaiyaa faida hasil howa hai.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Forex Trading Pips
      "Pips foreign exchange (Forex) market me measurement ki sab se choti unit hai. Yeh currency pair ke price ka chaar decimal place represent karta hai. Jaise ke agar EUR/USD exchange rate 1.1234 hai, to phir ek pip 0.0001 ke barabar hota hai. Aik pip ki qeemat currency pair aur lot size par munhasar hoti hai. Misal ke tor par, EUR/USD mei aik pip ki qeemat 100,000 units ki standard lot size ke liye aam taur par $10 hoti hai. Lekin, dusre currency pairs ya lot sizes ke liye aik pip ki qeemat choti ya bari bhi ho sakti hai. Pips ka qeemat currency pair aur lot size ke mutabiq farq karti hai. Jaise ke EUR/USD ke pips ki qeemat 100,000 units ke standard lot size ke liye aam taur par $10 hoti hai. Lekin, dusre currency pairs ya lot sizes ke liye pips ki qeemat choti ya bari ho sakti hai.
      Calculation
      Forex traders ke liye pips ka bohat ahem role hai, kyunki inko profits aur losses calculate karne ke liye use kiya ja sakta hai. Maslan, agar ek trader 100,000 EUR ki qeemat USD par 1.1234 per khareedta hai aur ise 1.1235 par bechta hai, to uska profit 1 pip ya $10 hoga. Pips aik Forex trade ka risk calculate karne ke liye bhi ahem hote hain. Aik trade ka risk trader ki trading mei kisi bhi waqt hone wale nuqsan ki raqam hoti hai. Aik trade ka risk pip value ko trade ki size se multiply karke calculate kya ja sakta hai. Misal ke tor par, agar koi trader 100,000 EUR ki qeemat par USD 1.1234 par khareedta hai aur trade ka risk 10 pips hai, toh trade par zyada se zyada nuqsan $100 ho sakta hai.
      PIPs Important Tips
      Pips Forex trading ka aham hissa hai aur inka tareeqa samajhna kamiyabi ke liye zaroori hai. Pips ke bare mein kuch aur baton ko zehan mein rakhna zaroori hai:
      • Pips hamesha long positions ke liye positive aur short positions ke liye negative hote hain.
      • Pips current price of the currency pair se calculate kiye jate hain jab trade khola jata hai.
      • Pips trade par profit aur loss ke ilawa trade ki risk calculate karne ke liye bhi istemal kiye ja sakte hain.
      • Pips ke qeemat currency pair aur lot size ke mutabiq farq karti hai.
      PIPs & Risk Management
      Pips ka tareeqa samajhna zaroori hai taa ke aap informed trading decisions le sakein. Yahan kuch tips pesh kiye gaye hain jin ka istemal aap pips ko apni fawaid ke liye istemal karne mein kar sakte hain:
      • Apni profit aur loss targets tay karne ke liye pips ka istemal karen. Maslan, agar aap EUR/USD trade kar rahe hain aur aapka profit target 10 pips hai, to aap apni trade ko 1.1244 par band kar denge.
      • Apni har trade ki risk ko calculate karne ke liye pips ka istemal karen. Maslan, agar aap standard lot size ke saath EUR/USD trade kar rahe hain aur aapki har trade ki risk 10 pips hai, to aap har trade par sirf $100 risk lenge.
      • "Pips" ka istemal kar ke alag-alag trading strategies ki munafa bakhshiyat ko tulna karne ke liye istemal kiya ja sakta hai. Maslan, agar aap do alag-alag trading strategies ka jayeza kar rahe hain, to aap har strategy ke trade par paida hone wale average number of pips ko tulna kar sakte hain.
      Pips ka istemal samajh kar, aap behtar trading faislon ko le sakte hain aur apne kamyabi ke imkanon ko behtar kar sakte hain.

      اب آن لائن

      Working...
      X