Bearish Doji-Star Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Doji-Star Candlestick Pattern
    Bearish Doji-Star Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bearish Doji-Star Candlestick Pattern
    Bearish doji-star candlestick pattern price chart k resistance level ya top area main banne wala aik bearish trend reversal pattern hai, jo k two days candles se mel kar banta hai. Pattern main shamil candles market ki situation batati hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k prices k uptrend ya bullish trend ki akasi karti hai. Pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jo k bagher real body main banne ki waja se trend reversal k kaam karti hai. Pattern ki pehli candle aik normal long real body main banti hai, jab k dosri candle aik doji-star candle hoti hai, jissbmain candle ka open aur close same point par hota hai. Ye pattern aik strong bearish trend reversal k leye mashahoor hai.
    Candles Formation
    Bearish doji-star candlestick pattern bhi ziada tar dosre two days candlestick pattern ki tarah trend reversal ka kaam karti hai, jiss main pattern ki location ka bullish ya uptrend main hona zarori hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazel tarah se hoti hai; 1. First Candle: Bearish doji-star candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo prices k top par ya bullish trend ki continuation ka kaam karti hai, q k ye aik long real body wali candle hoti hai. Ye candle aik green ya white color ki candle hoti hai. 2. Second Candle: Bearish doji-star Candlestick pattern ki dosri candle aik bagher real body wali doji candle hoti hai. Ye candle pehli candle k top par banti hai, jo k umoman aik doji star candle hoti hai, jiss main candle ka open aur close same price par hote hen jab k candle ka high aur low ziada tar same size k ote hen.
    Explanation
    Bearish doji-star candlestick pattern k price chart par banne ki pechay ki psychology kuch iss tarah se hoti hai, k pattern ki dosri doji candle pehli candle k close price se above top par banti hai, jo k umoman aik doji star candle hoti hai. Dosri candle ka high aur low apas main taqreeban same size ka hota hai. Ye pattern prices k top par banne ki waja se bearish trend reversal k leye jana jata hai, jiss main pattern market k current bullish trend ka khatema karti hai. Pattern ki pehli candle ka lazmi bullish real body main honi chaheye, jo k prices ko upward side par push karti hai. Ye pattern dekhne main half evening star candlestick pattern jaisa dekhaye deta hai, jiss main aik bearish confirmation candle extra banti hai.
    Trading
    Bearish doji-star candlestick pattern prices k leye bullish trend main banta hai, jiss par sell ki entry ki ja sakti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k close price se aksar top gap main banti hai, jiss ka kaam prices ko mazeed bullish jane se rokna hota hai. Pattern par trading karne se pehle pattern k top ya high price area main hona zarori hai. Jab k trade entry confirmation candle ka baad hoti hai, jo k aik bearish real body wali candle honi chaheye. Confirmation candle k dosri candle k bottom par close hona zarori hai, jab k confirmation candle ki jagah bullish candle banne par trade entry nahi karni chaheye. Indicator par trend confirmation k leye value ka overbought zone main hona zarori hai. Stop Loss pattern k sab se top position ya dosri doji candle k high price se two pips above set karen.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X