What is the main goal in forex trading?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is the main goal in forex trading?
    What is the main goal in forex trading?
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Aslam o alikum dear forex member, Forex trading ka main maqsad hota hai paisy kamana jis mein log currency pairs ko buy or sell kar k faida haasil karty hain Yeh kaam karna asaan nhi hai is k liye humen kaafi mehnat or tajurbay ki zarurat hoti hai Forex market ki qeemat k aik currency ko dosray currency sy muqabla kia jata hai or is mein profit haasil karny k liye sahi waqt par sahi faisla lena zaruri hota hai Is kaam mein kamiyabi haasil karny ke liye traders ko market trends or economic indicators ki samajh honi chahiye ta k ap ko apni trades k liye theek faisla lena aasaan ho saky. Forex trading goals of the professional forex trader Professional forex traders k liye kuch common goals hoty hain jo k kuch es trah sy hain Capital Preservation Sab sy pehly maqsad hota hai capital ki hifazat krna Ye un logon k liye bohat ahem hai jo forex trading ko aik profession k roop mein lety hain or long term tak trading karna chahty hain Is k liye wo apni trading strategies ko risk management k saath implement krty hain esi trah Profitability aik doosra maqsad hai jis k liye professional traders trading karty hain Wo apne trades k through zyada sy zayda profits earn karna chaty hain or apni performance ko improve karna chahty hain Professional traders ki consistency bohat important hai Wo chaty hain ki un ka performance aik dum stable ho aur unki trading strategies long term mein profitable rahen Continuous Learning Forex market ki volatility or constantly changing market conditions k chalty professional traders ko apni knowledge or skills ko continuously update karty rehna chahiye Ye un k liye bohat important hai ta k wo apni trading strategies ko improve kar sakein or market k changes k saath adjust kar sakein trading krty howy Discipline ka b boht khyal rkhna bota hai jo k bahut important quality hai jo har professional trader ko apni trading career mein follow karni chahiye Wo apni trading rules ko follow karty hain or emotions ko control karty hain jesy greed or fear etc. Forex Trading and Lower Expectations Dear members humen forex main trade krny k liye apny emotions or expectations ko boht km rkhna chahiye q k yeh aik aisi market hoti hai jis main humen profit to hota he hai lakin loss k liye b khud ko ready rkhna hota hai Agar humary paas forex trading mein kam experience hai ya kam knowledge hai to humen apni expectations ko kam rakhna chahiye Forex trading aik risky business hai or yahan par loss hony ka bhi khatra hai Agar aap forex trading karna chahte hain to aap ko pahle is k bary mein achi tarah sy jaankari haasil karni chahiye ta k Aap apni expectations ko kam rakhkar apni trades ko carefully plan kar sakty hain Forex trading mein success k liye discipline patience or risk management bohat zaroori hote hai. Try to be comfortable in forex trading Dear friends Forex trading main comfortable hona bohat zaroori hai Is ka matlab ye hai humen trading k duran apni soch ko pur skoon rakhna hai or apny emotions ko control karna hai Agar hum comfortable nahi hain to hum galat faislay kar sakty hain or nuqsaan utha skty hain Forex trading k liye comfortable hona k liye humen market k bary mein bohat information honi chahiye or humen apni trading strategy ko achi tarah sy smjhna chahiye or apni trading plan ko follow karna chahiye apni trading decisions ko logic k saath lena chahiye Agar hum apni trading main jald baazi karte hain to humen he us ka nuqsan uthana prta hai Forex trading mein comfortable hona ke liye humen apny trading system ko achi tarah sy smjhna hota hai. Is k ilawa trading goals ko bhi yaad rakhna hota hai or apni trading ko apny goals k mutabiq adjust karna hota hai Agar aap apne goals ko yaad rakhty hain to aap apni trading decisions ko ache tarike sy ly sakte hai In sab ke ilawa aap ko apni trading ki zaroorat k mutabiq apna risk or reward ko manage karna hoga humen apni trading ko apni financial position k mutabiq adjust karna chahiye or apni trading k duran apny risk ko kam karna chahiye Forex trading mein comfortable hona k liye humen apny knowledge ko bhi improve karna hoga ta k hum market ki movement ko achi trah sy analyse kr sken Aap ko market ki movements ko analyse karna or market k trend ko samj sken Is k ilawa humen apne trading decisions ko evaluate karna or apne mistakes ko improve karna bhi zaroori hota hai Akhar kaar forex trading mein comfortable hona buhat zaroori hai Aap ko apni trading ko apni knowledge or experience k sath approach karna chahiye or apny emotions ko control karna chahiye Is k ilawa aap ko apni trading k dauran apni financial position ko bhi yaad rakhna chahiye.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X