Bullish Railway Track Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish Railway Track Candlestick Pattern
    Bullish Railway Track Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalam o Alikum Dears Pakistan Forex Members Umeed karta hun ap sab loog khair Khariyat sy hungy or enjoy kr rhy hungy apni training life ko dosto Japanese candlestick pattern baar chart aur line charts pattern ki nisbat ziada aur accurate information deti hai. Ye candles price chart par mukhtalif pattern k bante hen, jiss se analyst apne analysis k mutabiq results hasil karte hen.Candlesticks pattern ko traders analysis main as leading indicators k istemal karte hen, jo low ya high area se trend reversal ka sabab bante hen. Bullish railway track candlestick pattern two days candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jiss main shamil dono candles opposite formate ya trend k hote hen. Ye pattern prices k bottom ya bearish trend main bearish uar bullish candles se mel kar banta hai, jo uptrend ki indications deta hai. Candlestick Formation Doato Prices charts main shamil trend reversal pattern aksar candle ziada opposite direction main hote hen, jo k apne se pehle candle k asarat ko zayel karte hen, issi tarah se bullish railway track candlestick pattern bhi do opposite color k candles par mushtamil hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai. 1.First Candle: Dosto Bullish railway track candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, ye candle long real body, small body, shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai. Ye candle color main black ya red hoti hai jo k prices k downtrend ya low prices ka ishara deti hai. 2.Second Candle: Dosto Bullish railway track candlestick pattern ki dosri candle pehli candle k opposite yani bullish candle hoti hai, jo k kisi bhi formate main ho sakti hai.Dosri candle ka low price same pehli candle k low price se match hona lazmi hai jo k candle ka shadow bhi ho sakta hai. Ye candle white ya green color main hoti hai. More Explanations Dosto Bullish railway track candlestick pattern ki two days ka aik opposite candles wala bullish trend reversal pattern hai, jis main candles ka low same point ya price par hota hai. Pattern main shamil candles ki real body kisi khas pattern ya shap main hona zarori nahi hai, jo k long real body, small real body, long shadow ya bagher shadow ki bhi ho sakti hai. Ye candles same lower point par banne wale Matching low candlestick pattern ki tarah dekhta hai, jo same bullish trend reversal pattern hai lekin uss main shamil dosri candle bhi same bearish hoti hai. Bullish railway track pattern main candles prices ka double low pattern banati hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai. How to get Trade Doato Price chart par jab prices baar baar same price se baar baar reject ho jati hai ye position support ya resistance level ban jata hai. Bullish railway track pattern main bhi candles same bottom point ko double time touch karti hai, jo k prices k leye aik strong support level ban jata hai.Pattern par trading se pehle pattern ka long timeframes main hona zarori hai.Jab k trend confirmation white candle ka real body main bhi banna chaheye. Pattern k confirmation k leye CCI indicator aur Stochastic oscillator ka istemal karna chaheye, jiss par value oversold zone main hona chaheye, jo k low prices ka indication hoga. Stop Loss pattern k sab se lower side ya dono candles k support level se two pips below set karen.
     
    • #3 Collapse

      Bullish Abandoned Baby Candlestick Pattern aik technical analysis ka concept hai jo stock market ya forex trading mein use hota hai. Is pattern ko dekh kar traders stock ki price ki future direction predict karte hain.Bullish Abandoned Baby Candlestick Pattern 3 candlesticks se banta hai. Pehle candlestick bearish hoti hai jis ki body bara hota hai. Dusra candlestick bearish hoti hai jis ki body pehli candlestick ki body ke andar hoti hai. Teesri candlestick bullish hoti hai jis ki body doosri candlestick ki body se bahar nikalti hai. Agar teesri candlestick ki body pehli candlestick ki body ke ooper close karti hai tou yeh Bullish Abandoned Baby Candlestick Pattern hai.FURTHER DETAILSIs pattern ki identification market trend ke opposite trend ke liye hoti hai. Yani agar market mein bearish trend chal raha hai aur Bullish Abandoned Baby Candlestick Pattern appear hojata hai tou traders ka yeh samajhna hota hai ke bearish trend khatam hojane ka chance hai aur bullish trend shuru hone ka chance hai.TRADING STRATEGYBullish Abandoned Baby Candlestick Pattern ek candlestick chart pattern hai jo aam taur par downtrend market mein dekha jata hai. Yeh pattern generally long-term investors aur swing traders ke liye beneficial hota hai.Is pattern ko pehchanne ke liye, aap ko 3 candlesticks ki zaroorat hoti hai:STEP 1Ek long red candlestick jo downtrend ko reflect karta hai.STEP 2AIk doji candlestick jis mein opening aur closing price almost same hoti hai. Yeh doji candlestick pehle ki trend ki uncertainty ko reflect karta hai.STEP 3Aik long green candlestick jo doji candlestick ke upar open karta hai aur bullish trend ko confirm karta hai.jab yeh pattern pura hota hai, toh traders ko buy signal milta hai aur woh is bullish trend ko follow karte hue buy karte hain. Stop loss ko lagana bhi zaroori hai, kyunki market mein koi bhi change aa sakti hai.
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        BULLISH RAILWAY TRACK CANDLESTICK PATTERN DEFINITION Railway track pattern Ek reversal signals hai jo Aane Wale Trends Mein tabdili ki maloomat karta hai ya tweezer pattern se mushabhat Rakhta hai aur two candles par mushtamil Hota Hai railway track pattern ki characteristic Yeh Hai Ke candles ke bodies shadow ya tails Se zyada numaya Hone chahie track pattern aur tweezer pattern Ke Darmiyan buniyadi Fark yah hai ke pahle candle small aur dusri candle long hoti hai aur yah donon candles same hai in difference ke bavajud donon patterns reversal ka signal Dete Hain railway track pattern ke sath aksar price ki longer movements ya ranges say munsalik hote hai apple chart railway track pattern ko formation dikhata hai jismein bullish ke pattern support level mein standing Hote Hain aur Bearish pattern resistance level ko touching Hain donon example Mein topi bahut important hoti hai TIPS FOR SUCCESSFUL RAILWAY TRACK PATTERN TRADING Day ki range mein pattern ko zyada chart ko adjust kare reversal ke ezafi confirmation ke liye chart ka volume hai buyers sellers Walon per galib aa rahe hain railway track pattern ko real trading Mein apply karna Kafi Aasan hai candlestick pattern ke mukabale mein kam risks Shamil Hai pattern ki tashkeel ke foran Baad candles ki confirmation par focus Karen railway track pattern Mein expert Banna Aasan nahin hai isliye Forex trading Mein sabse pahle experience Hasil Karen aur zyada Se zyada Apne work per focus Karen different strategy ,market Ke indicators aur technical analysis per musalsal sikhen aur Market ki news se bakabar Rahe Apne Sharma ki hifazat aur losses ko kam karne ke liye solid risk management plan taiyar Karen is mein stop loss order ko tarteb dena position ke size ka determine karna Shamil Hai RAILWAY TRACK OF UNDERSTAND Railway track pattern ko understand karna bahut important hai aur ise support and resistance mein istemal kiya jata hai bull and bear market Mein control Mein Rehte Hain aur experience traders Market ko understand karne mein help Karte Hain isliye aap log zyada Se zyada expert traders ko follow Karen Uske bad aap loss se Bach sakte hain

        اب آن لائن

        Working...
        X