Advance block chart pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Advance block chart pattern
    Advance block chart pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    AOA Introduction Friends kya haal hai aapke Main ummid Karta Hun ki aap sab khairiyat se Honge Aaj Jis topic ko Ham discuss Karenge vah hai advance block chart pattern is pattern ko Ham understand karne ki koshish Karenge ke estate pattern kisi trah trading chart per identify Kiya Ja sakta hai aur Kis Tarah is pattern per trading karte hue Hamen Achcha profit Hasil Ho isko understand Karte Hain Details of advance block chart pattern Is pattern ko bearish reversal ka naam bhi diya Ja sakta hai jisse yah andaza Lagaya Ja sakta hai ki market Ki Ab next moment Kya Hogi aur Market kahan tak move Karegi agar aap is Baat Ko mind mein rakh ke trade Karte Hain To aap aasani ke sath best profit Hasil kar lete hain advance block chart pattern Ek bearish reversal pattern hai jo ki bullish Trend ke samne Dikhai Deta Hai yah pattern chart per Doji candles aur FIR unke pass Kuchh small bullish candle se banaa hota hai is pattern Mein do ji candles ki body bahut kam hoti hai aur unke upper aur lower Shadow Lambe Hote Hain Jab do ji candles ke bad ke bullish candles ki body bahut Chhoti hoti hai aur unke upper Shadow Badi Hoti Hai To yah Ek indication hai to bullish movement kam ho rahi hai aur bearish reversal ka chance Hai yah pattern aamtaur per long term chart pattern Hota Hai ismein Dikhai deta hai aur iski confirmation ke liye traders ko Kuchh aur technical integrators ka use karna Hota Hai  How to understand advance block pattern Agar yah pattern sahi tarah se confirm ho jata hai to traders short position inter kar sakte hain aur bearish Trend ke sath chal sakte hain Iske alava traders ko is pattern ki confirmation ke liye apni risk management strategy ko bhi use karna chahie Taki unke trades ki risk kam ho confirmation ke liye yah pattern Kafi sahi hai lekin is ko Sahi confirmation ke liye traders ko technical indicators ka use karna chahie traders RSI MACD ya phere moving average Jaise integrator ka use Karke confirm kar sakte hain ki trend reversal ho raha hai ya nahin Risk management Trading Mein risk management bahut important hota hai advance block chart pattern ke confirmation ke sath traders ko apni trades ke risk ko kam karne ke liye stop loss order ka use karna chahie Patience Yah pattern Kafi reliable hai lekin traders ko Patience bhi Rakhna chahie yah pattern ko confirm hone mein Thora time lag sakta hai isliye traders ko jaldi se jaldi trades enter Karne Se Bachana chahie Time frame Advance block chart pattern aamtaur per long Term chart Mein Dikhai deta hai isliye traders ko iski confirmation ke liye Kuchh aur technical integrator ka use karna chahie Multiple time frames Traders ko is pattern ko multiple time frames per bhi check karna chahie Taki vah Iske confirmation ka sath sath trading decision Le Saken ine Sab factors ko consider Karke traders advance block chart pattern ke sath Sahi trading decision Le sakte hain Iske alava traders ko market ke current condition ke sath apni trades ko regularly monitor karna chahie Trading technique Advance block trading strategy Mein trading ko samajhna bhi bahut important hai agar aap trading ko samajhte Hain To aap aasani ke sath best success Hasil kar sakte hain jaise ki advance block chart pattern bullish trend ke samne bearish reversal ka signal deta hai aur yah traders ko is technic ko bhi effect Karta Hai Jab traders market Mein Bullish trend ke sath Chalte Hain To Unka confidence level high hota hai aur vah long position inter karte hain lekin Jab advance block chart pattern Dikhai Deta Hai To yah traders ke liye warning signal Hota Hai bullish moment kam ho raha hai aur bearish reversal ka chance Hai is situation Mein traders ke mind mein waswasy Aane Lagte Hain Agar Apne exiting long position ko close Nahin Karte Hain To vah losses ka Samna karte hain lekin Agar traders short position inter Karte Hain To unke bearish trend ke sath profit ke chances hote hain traders ko is pattern ki confirmation ke liye technical indicator ko bhi use karna chahie Iske alava traders Apne trades ke risk management ko kam karne ke liye stop loss order ko bhi use karna chahie
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Advance Block Candlestick Pattern
      Advance block candlestick pattern price chart k top par banne k bad market inverse movement shoro karta hai, aur ye pattern teen bullish candles par mushtamil hota hai. Pattern ki pehli candle candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jab k middle wali candlestick pehli candle se size main choti lekin long upper shadow wali hoti hai. Pattern ki last candle aik shooting star ya Spinning top candle se melti julti candle hoti hai, jiss k upper side par lamba saya hota hai. Price chart par aapko hirani hogi k jab aap bearish stalled pattern ko bhi same issi pattern se melta julta dekhengay, lekin bearish stalled pattern ki last candle aik small bullish marubozu candle hoti hai.
      Candles Formation
      Advance block candlestick pattern prices k top main assets k resistance level par banta hai, jahan se prices ne bearish trend reversal main tabdeel hona hota hai. Ye pattern teen lagatar bullish candles ka aik majmoa hai, jiss main teeno candles higher high par close hoti hai, jin ki tafseel darjazel hai; 1. First Candle: Advance block candlestick patteren ki pehli candle aik bullish candles hoti hai, jo k real body main strong candle banti hai, aur ye candle prices k uptrend ki tasalsul ki alamat hoti hai. Pattern ki pehli candle aik bagher upper aur lower shadow ki hoti hai, jiss ka open price close price se ooper hota hai. 2. Second Candle: Advance block candlestick patteren ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah aik bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k real body ya uss k close price k baad open hoti hai, jo k upper par close hoti hai. Iss ka candle ki real body pehli candle k muqabele main kam hoti hai, jab k upper side par aik lamba shadow hota hai. 3. Third Candle: Advance block candlestick patteren ki teesri candle bhi same pechli do candles ki tarah aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k real body ya uss k close price par open ho kar upper par close hoti hai. Ye candle ziada tar pechli dono candles se size main kam hoti hai, jab k upper side par aik lamba shadow hota hai, jo k umoman real body se size main ziada hota hai.
      Explanation
      Advance block candlestick pattern price chart par banne wale un pattern main shamil hen, k jiss main shamil tamam candles same pattern k hone k bawajood bhi ye trend reversal ka kaam karti hai. Pattern price chart par bullish trend ya high price area main banta hai, jo k matloba timeframe main ye position prices k leye resistance zone sabi hota hai. Pattern teen bullish candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k prices k higher side par strongness show karti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle se real body main kam hoti hai, lekin long upper shadow k sath pehli candle k upper par close hoti hai. Pattern ki last candle Spinning top ya shooting star candle se melti julti candle hoti hai, jiss ki small real body k upper side par aik lamba shadow banta hai.
      Trading
      Advance block candlestick pattern par trading bhi dosri bearish trend reversal ki tarah ki jati hai, lekin market main entry se pehle confirmation candle ka hona zarori hai, q k pattern ki teeno candles bullish hoti hai. Confirmation candle real body main bearish honi chaheye, jo k teesri bullish candle k below close honi chaheye. Lekin agar pattern k baad bullish candle banti hai, to ye trend continuation pattern ka kaam karegi. Jiss par sell ki entry ki bajaye buy ki entry ki ja sakti hai. Stop Loss pattern k sab se upper side par ya last shooting star candle k upper prices se two pips above set karen.

      اب آن لائن

      Working...
      X