Three Inside Up Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Three Inside Up Candlestick Pattern
    Three Inside Up Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Three Inside Up Pattern
    Three inside up pattern price chart main banne wala aik three candles ka bullish trend reversal pattern hai, jo k bearish trend ya low prices area main banta hai. Candlesticks charts aik technical tool hen, jo traders ko bohut aham trend k hawale se information deti hai. Candlestick ka currency pairs k technical analysis k leye bohut aham hen, jiss se traders na sirf in ka istemal dosre indicators k sath mela kar karte hen, bulkeh ye akele bhi aksar aik leading indicators ka kaam karte hen. Three inside up pattern main pehli candle aik bearish candle jab k dosri aur teesri candles bullish candle hoti hai, jo k trend reversal karne ka kaam karti hai. Three inside up pattern k opposite direction main prices k top par bearish trend reversal k leye Three Inside down pattern pattern banta hai.
    Candles Formation
    Three inside up candlestick pattern teen candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jiss jo k bottom area main banne par assets k prices ko bullish trend k leye upward push karta hai. Three inside up candlestick pattern do bullish aur aik bearish candles se mel kar banta hai, jiss ki tafseel darjazzel hai; 1. First Candle: Three inside up candlestick pattern k pattern main pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k long real body main banti hai. Ye candle prices k maojoda bearish trend ko zahir karti hai, jo k shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai. Pattern ki pehli candle ki closing price open se nechay hona chaheye. 2. Second Candle: Three inside up candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k pehli candle k closing price se upper open aur close hoti hai, ye candle pehli candle k sath bullish harami pattern tashkeel deti hai. Ye candle bhi shadow ya shadow k bagher ho sakti hai. Dosri candle ka pehli candle se lower side par gap ka banna hona zarori hai. 3. Third Candle: Three inside up candlestick pattern ki teesri candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle dosri candle ki real body main open ho kar pehli candle k main close hoti hai. Teesri candle ka close price open price se ziada hona chaheye. Ye candle trend reversal karne ka sabab banti hai.
    Explanation
    Three inside up candlestick pattern prices k bottom main banne wale pattern upside gap three methods se melta julta hai, jiss main prices same bullish trend reversal ka sabab banti hai. Three inside up candlestick pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka close price open price se kam hota hai. Pattern ki dosri candle bhi bullish candle hoti hai, jo k pehli candle k real body main banti hai. Pehli aur dosri candles k closing aur opening price k darmeyan aik gap banta hai, aur ye gap wazih aur clear hona chaheye. Pattern ki teesri candle aik martaba pher bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k real body main ya uss k top par open ho kar high par close hoti hai. Bullish candles ki market main strong wapasi se bearish trend ka khatema ho jata hai, aur trend aik new upward side par move karna shoro karta hai.
    Trading
    Three inside up candlestick pattern price chart main banne par traders ko bullish trend reversal ka signals deta hai, jiss par market main buy ki entry ki ja sakti hai. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ki zarorat hoti hai, jo k real body main bullish honi chaheye aur agar ye candle teesri candle k top par close hoti hai, to ye aur bhi reliable pattern hota hai. Pattern k baad bearish candle banne par trade ki entry nahi karni chaheye. Pattern ki trend confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai. CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator par value oversold area main hona chaheye. Pattern k bottom par Stop Loss ka hona zarori hai, jo k patterns k sab se lower position ya pehli candle ki close point se two pips below set karen.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      three white soldier aik se ziyada candle stuck pattern hai jo neechay ke rujhan ke baad bantaa hai jo taizi ke ulat jane ki nishandahi karta hai. yeh candle stuck charts teen lambay blush bodies se banay hain jin par lambay saaye nahi hotay aur patteren mein pichli mom batii ki asli body ke andar khulay hotay hain .teen safaid sipahi candle stuck pattern chart par qeemat ke amal ko bananay walay stock, commodity ya jore ke lehaaz se market ke jazbaat mein zabardast tabdeeli ka mahswara dete hain. Jab aik mom batii chhootey ya baghair saaye ke sath band ho rahi hai, to is se pata chalta hai ke bail session ke liye qeemat ko range ke oopri hissay par rakhnay mein kamyaab ho gaye hain. bunyadi tor par, bail poooray session mein really ko sambhaal letay hain aur lagataar teen sishnon tak din ki oonchai ke qareeb pahonch jatay hain. is ke ilawa, patteren se pehlay deegar candle stuck patteren ho saktay hain jo ulat jane ki tajweez karte hain, jaisay dogi . How to trade three white soldiers candle stick aisa ke teen safaid sipahi aik taiz basri namona hai, is liye usay dakhlay ya kharji nuqta ke tor par istemaal kya jata hai. jin taajiron ke paas security ki kami hai woh bahar nikaltay nazar atay hain aur woh tajir jo taizi se position lainay ka intzaar kar rahay hain teen safaid faam fojion ko dakhlay ke mauqa ke tor par dekhte hain. teen safaid sipahiyon ke patteren ki tijarat karte waqt, yeh note karna zaroori hai ke ziyada mazboot harkatein earzi had se ziyada kharidari ke halaat peda kar sakti hain. rishta daar taaqat index ( rsi ), misaal ke tor par, ho sakta hai 70. 0 ki satah se oopar chala gaya ho. Kuch mamlaat mein, teen sipahiyon ke patteren ke baad mazbooti ki aik mukhtasir muddat hoti hai, lekin qaleel aur darmiyani muddat ka taasub badastoor taiz rehta hai.
      Like tu banta hay ik🙏

      اب آن لائن

      Working...
      X