How to perform profitable trading using bullish engulfing candlestick pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How to perform profitable trading using bullish engulfing candlestick pattern
    How to perform profitable trading using bullish engulfing candlestick pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    BULLISH ENGULFING CANDLESTICK PATTERN
    INTRODUCTION Bullish Engulfing Candlestick Pattern ek aisa candlestick pattern hai jo market analysis mein use hota hai. Is pattern ko jab dekha jata hai to yeh bullish trend ka indication deta hai. Is pattern mein do candles hotay hain, pehla candle bearish hota hai jo market mein selling ka indication deta hai. Dusra candle, jo pehle se zyada bara hota hai, bullish hota hai aur pehle candle ko poori tarah se engulf kar leta hai. Is tarah se, doosra candle pehlay candle ki poori body ko cover kar leta hai, jisse bullish trend ki indication milti hai. DESCRIPTION Yeh pattern bullish trend ki tarah kaam karta hai aur traders ko market mein buying ka signal deta hai. Is pattern ki madad se traders market trend ko analyze kar saktay hain aur apni trading strategies ko bana saktay hain. TRADING STRATEGY Bullish engulfing candlestick pattern trading strategy ka matlab hota hai ke jab kisi stock ke price chart mein ek bullish engulfing candlestick pattern nazar aye, toh uss stock ko long positions mein le jaana. Is pattern mein, pehle ek chota sa red candlestick hota hai jo price ko niche le jata hai, aur phir ek bara sa green candlestick ata hai jo pehle candlestick ko puri tarah se engulf kar leta hai. Agar aap is pattern ko dekhain tou ye bullish trend ka indication deta hai, aur iska matlab hota hai ke stock ke buyers zyada active hain aur stock ki price increase honay wali hai. Agar aapne pehle se hi iss stock ko follow kar rakha hai aur uski fundamentals strong hain tou aap iss pattern ko follow kar ke uss stock ko buy kar sakte hain. Summary Iss strategy mein, aap ko ek stop loss order bhi lagana chahiye ta ke agar price unexpectedly neechay jaaye tou aap ki investment safe rahe. Ye strategy bahut sahi tareeqa hai stock market mein investment karne ka, lekin hamesha apni research karein aur apni financial goals ko yaad rakhein. hamesha yad raken k multiple indicator ka use apky trading risk ko achi tarah manage krta hy. umed hy apko is post sy useful knowledge mila ho ga.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X