Bullish Thrusting Line pattern ka Introduction
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish Thrusting Line pattern ka Introduction
    Bullish Thrusting Line pattern ka Introduction
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Bullish Thrusting Line pattern ka Introduction Bullish Thrusting Line pattern taizi ke tasalsul ka pattern hai jo is waqt bantaa hai jab kisi asasay ki qeemat pichlle din ki kam qeemat se neechay khulti hai lekin pichlle din ke mid point ke oopar band hojati hai. Is pattern ki khasusiyat aik lambi bullish candlestick se hai jo pichlle din ki mandi wali candlestick se guzarti hai, jo is baat ki nishandahi karti hai ke kharidaron ne market ka control sambhaal liya hai aur imkaan hai ke woh qeemat ko mazeed agay berhate rahen ge.Bullish Thrusting Line, ya saanp rookh shakal ka aik Candlestick Pattern hai jo baaz auqaat share market ki taraqqi ya uptrend ki tadad ko zahir karta hai. Is pattern ka khasoosi nishana hota hai keh jab kisi share ka price pichlay trend ke muqablay mein barhta hai to iska ek Bullish Thrusting Line ban sakta hai. Bullish Thrusting Line pattern Ki Pehchan Bullish Thrusting Line ki pehchan aur samajhna market analysis mein bohat zaroori hai, kyunkeh yeh pattern kisi uptrend ke shuruat ka sign bhi ban sakta hai. Isi tarah, yeh pattern investors ke liye bhi kafi ahmiyat rakhta hai, kyunkeh is se unko sahi waqt pe apni trading strategy ko modify karne ki salahiyat milti hai.Bullish Thrusting Line pattern ki pehchan jari rehti hai jab kisi share ke price mein kisi downtrend ke baad achanak se kuch izafa ho jaye. Is izafa ke doran Bullish Thrusting Line khususi tor par dikhai deta hai jab aik safaid candlestick (bearish) aur aik gahra gulgula (bullish) apas mein mil kar bana kartay hain. Is surat-e-haal mein bearish candlestick ko bullish candlestick ki taraf dhakail diya jata hai, is tarah kiya jata hai keh bearish candlestick ki shadow, ya upper wali line, bullish candlestick ke upper shadow tak pohonch jaye, aur dono candlestick ki body kay darmiyan ki wakfa kay darmiyan zyada ter farq na ho.Agar is pattern ke sath price mein kisi trend ka izafa bhi ho to yeh pattern mazeed ahamiyat hasil karta hai. Aam tor par, Bullish Thrusting Line ke sath kisi trend ka izafa aik taqatwar bullish signal hai keh share ki keemat mein mazeed izafa ki umeed hai. Bullish Thrusting Line pattern ki Explaination Bullish Thrusting Line pattern ko samajhnay ke liye, hum aik example ke zariye is ka faida utha saktay hain. Maan lijiye keh kisi share ki keemat pehlay kuch dino se kam hoti ja rahi hai aur is trend mein aik bearish candlestick bana hai. Lekin aglay dino ke market ki taraqqi ke bais, share ki keemat sudden tor par barhna shuru ho jati hai. Is surat-e-haal mein, ek Bullish Thrusting Line pattern ban sakta hai. Is pattern mein, bearish candlestick ko dhakail diya jata hai, jo yeh zahir karta hai keh bearish trend ke baad, bullish trend aage barhna shuru ho raha hai. Is surat-e-haal mein, yeh pattern mazeed izafa ki umeed ki taraf ishara karta hai.Yeh pattern ki interpretation aur understanding ke liye, market ke current trend aur is ke related price movement ko dekha jata hai. Agar market downtrend mein hai aur price kam ho rahi hai to Bullish Thrusting Line ka pattern ban sakta hai, jis se investors ko bullish signal milta hai. Lekin, agar market uptrend mein hai aur price barh rahi hai, to Bullish Thrusting Line pattern ki interpretation bearish signal ho sakti
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Bullish Thrusting Line Candlestick Pattern
      Bullish thrusting line candlestick pattern price chart par jab bhi hota hai, to market ka trend same bullish movement karna jari rakhta hai. Ye two days ka aik bullish trend continuation hai, jo prices k top par ya bullish trend main paya jata hai. Ye pattern market main bulls ka control zahir karta hai, jo bullish trend k dowran wo bears ki koshash ko nakam bana dete hen. Price chart par hamesha se aik khas trend k mutabiq move kar rahi hoti hai, lekin high prices par aksar prices ko trend reversal ki jagah trend continuation jari rehta hai, jaise price ko bullish thrusting line candlestick pattern ka samna karna parh jata hai, to uss k baad prices teezi k sath rise karna shoro karti hai, jo k aik bullish trend continuation ki alamat hoti hai.
      Candles Formation
      Bullish thrusting line pattern pehli din ki candle aik bullish candle hoti hai, lekin dosre din ki candle bearish candle k close prices par hone ki bajaye top gap main open ho kar ussi k real body main close hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai: 1. First Candle: Bullish thrusting line candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo prices k top par ya bullish trend ki continuation ka kaam karti hai, q k ye aik real body wali candle hoti hai. Ye candle white ya green color ki candle hoti hai. 2. Second Candle: Bullish thrusting line candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali bearish candle hoti hai. Ye candle open pehli candle k top par gap main hoti hai, jab k close pehli candle k darmeyan se thora sa above hoti hai. Bearish candle k shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai, lekin candle lazmi real body main honi chaheye.
      Explanation
      Bullish thrusting line candlestick pattern market k prices ko same bullish trend main continue karta hai, jo k do candles, bullish aur bearish se mel kar banta hai. Pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices k top ya bullish trend ko zahir karti hai. Ye candle aik normal real body main shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k opposite direction yanni bearish candle hoti hai, jo open pehli candle k top par gap main hoti hai, lekin close pehli candle k darmeyan se thosa sa above hoti hai. Ye candle pehli candle se bane gap ko cover to kar leti hai, lekin bearish trend reversal main na-kaam rehti hai. Ye candle lazmi real body main honi chaheye, jab k close pehli candle k close price aur midpoint k darmeyan main hona chaheye.
      Trading
      Bullish thrusting line candlestick pattern prices k top par traders k leye buy ka signal genrate jarta hai, jiss confirmation candle k baad entry ki ja sakti hai. Pattern k baad confirmation candle ka real body main bullish hona bhi zarori hai, jab k dosri candle k top par close hona bhi aham hai. Pattern k baad bearish candle banne se pattern par buy ki entry nahi karni chaheye, jab k trend confirmation indicator jaise CCI, RSI, MACD aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value fifty percent se above zone main honi chaheye. Pattern par stop loss ka bhi zaror istemal karen. Stop Loss pattern k sab se bottom position ya pehli candle k open price se two pips below set karen.

      اب آن لائن

      Working...
      X