High Wave Candlesticks Pattren:

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    High Wave Candlesticks Pattren:
    High Wave Candlesticks Pattren:
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalam Walekum dear Forex member I hope aap sab khairiyat se Honge aur Apna Achcha kam kar rahe Honge Jab aap is market Mein Apni working ko complete karna chahte hain to aapko different factors per study karna hoti hai aur Market Mein different analysis Karke trading karna hoti hai agar aap market Mein demo account ko use Karke trading karte hain aur acche experience aur acche knowledge ke sath kam karte hain to aapko is market mein bahut hi fayda Milta hai aapko Hamesha Koshish Karna Hogi ki aap ismein daily ka target complete Karen aur acchi strategies ke sath kam Karen Jab aap is market Mein Roj regulation ko follow karke trading karte hain to aapko ismein bahut hi jyada fayda Milta hai main aaj aapse Kaise patterns ke related information share karungi jo aapki trading ko Achcha result de sakti hai to Mera topic hai high Wave Candlesticks Pattren kya hai hum es par kesy kaam kar k trading main kamyabi hasil kar sakhty hain. Definition of High Wave Candlesticks Pattren: Dear forex member Japanese candlestick bar chart ki nisbat is wajah se jyada Pasand ki Jaati Hai Kyunki yah candles Unki nisbat bahut jyada information rakhti Hain bar chart ek time frame Ka open, close , High , low price dikhate Hain Jab cake candlestick open close Beeresh aur bullish natural value bhi dikhate hain candles take Chahe single ho ya tadad mein jyada ho Inki information Jyada reliable Hoti Hai Jisko analyst Jyada Pasand Karte Hain highway candlestick pattern Bhi Ek single candle hoti hai jo ki amuman ek natural candle tasawar ki Jaati Hai yah candle Sambhal real body Mein Hoti Hai Jiska Apar aur Lower aur side per long Shadow Hota Hai. Identification: Dear forex member High Wave candles a woman price Mein jyadatar Dikhai deti Hain Kyunki yah Ek natural candle shumar Hoti Hai yah candle ek hi time mein market Mein buyers aur sellers ki equal takat ki aakashi Karti Hai Jo price ko ek Khas position per motuhik rakhti hai candles ki formation darjja zail Tarah Se Hoti Hai. Explanation And Chart In Analysis: Dear forex member High Wave candles price Ke Darmiyan Mein jyadatar natural Hoti Hai jabki bottom aur top price per trend reversal Ki salahiyat rakhti Hai yah candle Ek Saman real body Mein Hoti Hai Jab Ke yah candle single hone ki vajah se Bullish aur bearish donon Tarah Se ho sakti hai candles ke upper aur lower side per long Shadow hota hai jo ki donon side per size mein equal Hota Hai. Conclusion: Dear forex member High Wave candles take small real body Mein upper aur lower side per long Shadow ki Hoti Hai yah candles bulls aur bearish donon Tarah Se ho sakti hai jabki candles ki real body se upper aur lower side per equally long Shadow Hote Hain Jab Bhi stock ki price per selected time frame ke mutabik pahle ek side Se Jyada pressure pad jata hai aur bad Mein dusri taraf se sem pressure padta hai to use condition Mein high wave candle banti hai lekin market mein jyada pressure ki vajah se candles ki donon taraf Lamba Shadow ban jata hai Highway candles Dekhne Mein same spinning top candle Jaisi hoti hai lekin Iske upper aur lower side ka Shadow length mein bahut jyada hota hai jisse donon candles Ke Darmiyan bhot waziha difference a jata hai.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      High Wave Candlestick
      Single candles pattern jiss main buyers aur sellers ka market main control aksar barabar rehta hai, aik neutral candles tasawar ki jati hai. High wave candle bhi market main buyers aur sellers ki yaksan hone par wajood main ati hai. High wave candle ki ooper aur nechay long shadow ya wick hota hai, jiss ka darmeyan main aik small si real body hoti hai, jiss main prices ka open aur close aik dosre k qareeb hota hai. Ye aik neutral candle shumar hoti hai, jo k aik strong trend k dowran trend reversal ka signal de sakti hai. High wave candle k ooper aur nechay shadow aik to size main equal hona chaheye aur dosra ya length main long hona chaheye, q k small shadow hone par ye Spinning top candle ban sakti hai.
      Candles Formation
      High wave candle prices k top aur bottom dono main ban sakti hai. Sideways markets main ye candle aik neutral candle hoti hai, jo k prices k ziada tar maojoda trend main continuation ka sabab banti hai. Price chart par High wave candle ki formation darjazzel tarah se ho sakti hai; High Wave Candle: High wave candle chart pattern par aksar market main aik small si candle nazar ati hai, jiss ka ooper aur nechay aik lamba shadow hota hai. Ye candle small real body ki hoti hai, jiss main prices ka open aur close aik dosre k qareeb hota hai. Ye candle bullish aur bearish dono tarah se market ki position k mutabiq apna situation tabdeel karti hai.
      Explanation
      High wave candle aik single day small candle hai, jiss main prices din k aghaz main open hone k baad aik small real body main up ya down close hoti hai. Price chart par buyers aur sellers market main same quat (power) main hote hen, ya un ki assets main dilchaspi kam hoti hai, jiss se prices aik timeframe k dowran ooper aur nechay jane ka baad wapis apne aghaz wali position k qareeb close ho jati hai. Ye aik small real body wali bullish ya bearish candle hoti hai, jo k trend k mutabiq apni hodohal ko tabdeel karti hai. Ye candle prices k top ya bottom par strong trend reversal ka sabab banti hai.
      Trading
      High wave candle sideways market main ya newly breakout trend main trend continuation ka kaam karti hai, jab k price k top ya bottom main ye candle aksar trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle prices k bottom main bullish trend reversal aur prices k top par bearish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Candle k baad trend ki confirmation ka candle ka hona zarori hai jo k real body main hona chaheye. Ye single candle pattern hone ki waja se trend ki confirmation CCI indicator ya stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss main value overbought aur oversold zone main honi chaheye. Stop Loss candle k sab se top ya bottom se trend reversal k mutabiq two pips below ya above set kia ja sakta hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X