Bearish Doji-Star Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Doji-Star Candlestick Pattern
    Bearish Doji-Star Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bearish Doji-Star Pattern
    Bearish doji-star candlestick pattern assets ki iss baat ki taraf ishara karti hai, k ab market main buyers ka control sellers k hatho jane wala hai. Pattern main shamil candlestick aghaz main aik bari bullish candle hoti hai, jo k uptrend ki mazboti ki alamat hoti hai. Lekin dosri candle bagher real body k hone wali aik doji candle hoti hai, jo prices ko mazeed upward jane main rukawat dalti hai. Pattern high price area main uss waqat banta hai, jahan par assets ki demand kam ho chuki hoti hai aur supply bohut ziada increase howi hoti hai. Demand ki kami ki waja se assets ki value main decreasing ki waja se prices bhi gerna shoro karti hai.
    Candles Formation
    Bearish doji-star candlestick pattern prices k top par banne ki waja se aik strong bearish trend ki indication deta hai, jo k do candle ka aik sada sa pattern hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai; 1. First Candle: Bearish doji-star candlestick pattern ki pehli candle aik strong real body wali bullish candle hoti hai, jiss ka color bhi bullish pattern k mutabiq white ya green hoti hai. Ye candle prices k top ya high price main bullish trend ka mazeed izzafe ki koshash hoti hai. 2. Second Candle: Bearish doji-star candlestick pattern main shamil dosri candle bagher real body wali aik doji candle hoti hai, jiss ka open aur close same point par hota hai. Ye candle bagher color ki hoti hai. Jo k umoman aik doji star candle hoti hai. Doji candle pehli candle k top par banti hai.
    Explanation
    Kisi bhi assets ki vlaue bohut ziada high hone par aksar usko trend reversal ka samna karna parta hai, issi tarah same bearish doji-star candlestick pattern main bhi hota hai, jiss main prices low area ya bullish trend k baad bearish trend reversal main tabdeel hoti hai. Bearish doji-star candlestick pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jiss k real body lazmi hoti hai aur iss candle ka open close se nechay hota hai. Pattern ki dosri candle aik doji hoti hai, jo k pehli candle k real body k top par banti hai, doji candle market main bullish trend k asarat ko khatam karne ka zarya banti hai.
    Trading
    Bearish doji-star candlestick pattern trading k leye aik moasar candlestick pattern hai, jiss par market main sell ki entry ki ja sakti hai. Trade k enter karne se pehle market ka high price area ya bullish trend main hona zarori hai, jab k doji candle k baad aik trend confirmation candle ka hona zarori hai. Confirmation candle ka bearish hona lazmi hai, jo dosri candle k bottom par close honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value overbought zone main hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se top position ya doji candle k high price se two pips above set karen.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X