Explanation of Day Trading?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Explanation of Day Trading?
    Explanation of Day Trading?
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    What is Day Trading: Hello Friends Day trading normally aik tarah ki short term trading count ki jati hy jab market me hum trade enter karin or phir usy aik hi din me close kar dain mean aik din k trend ko follow karty huay trading karain usy day trading kehty hain Jo junior traders hain wo zyada tara day trading hi karty hain market ka aik trend jab chalta hy to us ke according trade karty hain jab market apna trend change kry to next trade karty hain yeh day trading hoti hy jab k long term trading me choti choti movements say koi frak ni parta or day trading me market ki choti choti movements say hi hum profit hasil karty Hain start par sb ko day trading hi karni chahyie. Working of Day Trading: Job forex market mein aap working kar rahe hote hain. To Day trading mein bhi scalping strategy ya long term trading ki tarah market ki analysis kiye Jaaty Hai. jismein market ke liye use hone wala important awamil Jaise indicators, oscillators, Industries pattern chart pattern ya dusre news events Ka istemal hota hai.yeh sari chizeen long time ya scalping strategy ke comparison mein day trading mein zyada benefits deti hain. aur Yahan tak ke yah iska zaruri juzz bhi tasawar ki Jaati hain Kuch important Sare hain iski detail apko bataunga. Importance of Day Trading: Mery Aziz Dosto Day trading se murad aisi trading hai Jis per trader mukhtalif patterns ko istemal karte hue invite karta hai ki accurate aur perfect entry point per trading karta hea aur same day main enter ho kar profit hasil karny kay ,same day main exit ho jata hea friends he tarha kuch trader 1 day time frame ko use karty hain. Expert trader hamesha ye baat kehty hain k time frame jetna big ho ga trader ko market ma itna he reliable signal mil jay ga.Trader jitna small time frame ko use karain gy wo itna he casual signal hasil kar payn gy jis ko use kar ke profit hasil karna bohot mushkil ho jata hai.
     
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Day Trading
      Day trading forex trading main aik bohut teezi k sath barhta howa rujhan hai, jiss main traders market k daily base par apne trades open aur close karte hen. Day trading long term ya scalping strategy se thora sa mukhtalif hai, q k ye na to bohut ziada short trading yanni seconds ya minutes par mushtamil hota hai aur na hi long term ki tarah weeks ya months par muheet hota hai. Day trading main traders market ki daily base par analysis karte hen aur koshash karte hen k wo apne trades ko same day main close bhi karen, q k ye strategy indicators ya candlestick pattern par munhasir hoti hai, jo long term ki bajaye short term ki technical analysis k base par hote hen.
      Day Trading k Zarori Awamel
      Day trading main bhi scalping strategy ya long term trading ki tarah market ki analysis ki jati hai, jiss main market k leye istemal honne wale zarori awamel jaise indicators, oscillators candlestick pattern, charts patterns ya dosre news events ka istemal hota hai. Ye sari chizen long term ya scalping strategy k muqabele main day trading main ziada faida deti hai, aur yahan tak k ye iss ka zarori juzz bhi tasawar ki jati hai. Day trading k kuch zarori awamel darjazzel hen: Timeframe Day trading main mukhtalif time frame ka mukhtalif situation k analysis k leye istemal kia jata hai. Jaisa k daily demand and supply ya daily high aur low k leye "Daily" ya "D1" timeframe ka istemal kia jata hai. Trend analysis aur take profit ya apne hadaf k hosol k leye 60 minutes, hourly ya "H1" timeframe ka istemal kia jata hai. Jab k trade entry k leye "five minutes (M5)" ya "fifteen minutes (M15)" ka timeframe ka istemal hota hai. Currencies Pairs EUR/USD, GBP/USD aur AUD/USD currencies pairs main se sirf aik waqat main sirf aik currency pair, q k inn sab ka behaviour American dollar k muqabele main same hota hai, ya ye keh lo k ye pairs apas main positive correlated hote hen. Jab k USD/JPY, EUR/JPY aur GBP/JPY pairs main aik waqat main sirf aik hi pair ka intekhab hai, in ka behaviour bhi JPY k muqabele main same positive correlation wala hota hai. Main Strategy Currencies pairs k supply zone main sell ki entry kia karen jab k demand zone main buy karen, ye sirf five se fifteen minutes candlestick chart pattern k timeframe main aisa karen. Ye zone sirf uss waqat valid hongay jab bhi ye 40 pips se kam hongay. Entry Types
      1. Pending order uss waqat lagayen jab market main daily demand aur hourly demand aik jaisa ho.
      2. Lekin Stop entry uss waqat karen jab market ki demand aur supply zone sirf hourly timeframe k mutabiq hon.
      3. Agar ye zone sirf 5 minuts k timeframe main ho to buy ya sell ki confirm entry karen.
      News Trading News k dowran koi trading na karen, agar pending order hen to uss ko close na karen agar cheh prices uss k bohut qareeb q na ho. News k 15 minutes k baad trade entry karen q k iss k baad market main trend ka side confirm ho jata hai. Pips Number Prices k levels 00 aur 50 k darmeyan kam ya ziada hongay, lekin ye 40 pips se kisi aik side par ziada nahi hone chaheye. Lot Size Daily ya day trading main maximum aur minimum lots ki tadad do hongay, iss ko increase to hargez na karen, decrease kar sakte hen. Stop Loss Day trading main stop loss technical nahi hoga, bas iss ko pips k mutabiq ya risk k mutabiq set karen. maximum stop loss ko 50 pips par select karen, jab k minimum 20 pips par set karen. Pending Orders Pending orders ki maximum positions ki tadad 5 se ziada nahi hone chaheye, q k agar ye sare aik hi dafa hit ho gaye to ye over-trading ho jayegi. Removal Of Pending Order Pending orders agar one week tak ya maximum 10 days tak hit na ho jaye to uss ko remove kard3n, issi tarah se agar prices pending orders se 300 pips door ho jayen to bhi pending orders ko khatam karen. Risk Trading Account k mutabiq ziada se ziada 3% tak agar pehle se koi order open ho to uss sorat main maximum balance k 3% mazeed risk le sakte hen. Reward to Risk Ratio Pehle target k leye 1:1 ka ratio set karen jab k dosre target k leye 1:3 ratio set karen. Money Management Jaisa hi pehla target hasil ho jayen yanni TP1 hit ho jayen to uss sorat main stop loss ko entry point par shift karen, issi tarah se ya to ziada profit hasil ho jayega, warna loss ka chances nahi hongay. Trading History Jab bhi trade open karen to uss waqat iss ka note apne pass mehfoz karlen, iss k sath sath profit aur loss ko bhi maintain karen, aur weekly ya monthly base par iss ko apne strategy k mutabiq dekhen, k ye kitna fiadamand ya nuqsandeh sabit hota hai, ys strategy ko kahan kahan se tabdeel karne ki zarorat hai.
      • #4 Collapse

        Introduction of Day Trading. Day trading yani rozana ki khareed-o-farokht karne ka tareeqa hai. Is mein aap ek hi din mein khareed-o-farokht karte hain aur iska maqsad rozana fayda hasil karna hota hai. Is mein samay ke nazariye se bahut ahmiyat hai aur traders is ka istemaal kar ke chote se chote mehngai ke nishaan bhi hata sakte hain.Day trading, aik aesa tariqa hai jis main traders, stock market mein aik din ke andar andar apni shares kharid-o-farokht karte hain. Yeh trading, jisay din bhar mein karna hota hai, asaan nahi hai aur is main kaafi sahih tajurba aur samajh ka hona zaroori hai. Day Trading ke Liye Zaroori Cheezein. Day trading karne ke liye zaroori cheezein hain, jaise ke computer, internet connection, aur trading account. Aapko ek achi trading platform ki zaroorat bhi hogi, jis mein aap market ki movement ko track kar sakte hain aur khareed-o-farokht ke faislon ko bhi jaldi se jaldi lena aur dena ho. Day Trading ke Tareeqe. Day trading ke tareeqe mein aapko kisi bhi ek stock ya commodity mein ek din ke liye invest karna hota hai. Is mein aap ko rozana market ki movement par nazar rakhni hoti hai aur jald se jald faisla lena hota hai. Day traders apne trading plan ko ek hafte ya ek maheene ke liye bana sakte hain, jis mein unhain apne target aur stop-loss bhi tay karna hota hai. Day Trading ke Fayde. Day trading ke fayde mein sab se bada fayda yeh hai ke aap rozana fayda hasil kar sakte hain. Agar aap sahi tareeqe se day trading karte hain to aapke paas rozana ki kamai ki ek nayi source ho sakti hai. Is ke alawa, day trading aapki khud ki skills aur experience ko bhi badhata hai aur aapko market ke upar mazboot control deta hai. Day Trading ke Nuqsanat. Day trading ke nuqsanat mein sab se bada nuqsan yeh hai ke yeh bahut risky hota hai. Agar aap market ki movement ke sahi na ho to aapko nuksaan bhi ho sakta hai. Day trading ke liye skills aur experience hona zaroori hai, jo ki naye traders ke liye mushkil ho sakta hai. Iske alawa, day trading ke liye bahut zyada samay aur focus ki zaroorat hoti hai, jis mein traders ko aur bhi mushkilat ka saamna karna padta hai.munafa fori tor par hasil kiya ja sakta hai. Lekin is ke nuqsan bhi hain, jaisay ke share ki qeemat ki fori tabdeeliyon ke baais kisi trader ki maali halat bigad sakti hain. Additional information. Day trading ek bahut hi tezi se badhte hue trading ka tareeqa hai. Is mein traders ko rozana market ki movement par nazar rakhni hoti hai aur jald se jald faisla lena hota hai. Day trading bahut hi faydemand bhi ho sakta hai, lekin iske nuqsanat bhi hain. Agar aap day trading karne ka soch rahe hain to aapko is ke fayde aur nuqsanat dono ke bare mein pata hona zaroori hai aur aapko ismein lagne se pehle apne trading plan aur strategy ko tay karna chahiye.Day trading ke liye kayi strategies istemal kiye jate hain, jaise technical analysis, fundamental analysis, aur chart analysis. In strategies ke istemal se traders market ke trends aur shares ki movement ko samajhne mein kamyab hote hain aur behtar faislon par pohanch sakte hain.
        • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
        • #5 Collapse

          What is Day Trading: Hello, everyone. Day trading often entails aik tarah ki short-term trading count ki jati hy when the market is opened or phir usy aik hi din me close kar dain, which means aik din k trend ko follow karty huay trading karain usy day trading kehty hain. Jo junior traders hain wo zyada tara day trading hi karty hain market ka aik trend jab chalta hy to us ke according trade karty hain jab market apna trend change kry to next trade karty hain yeh day trading hoti hy jab k long term trading me choti choti movements say koi frak ni parta or day trading me market ki choti choti movements say hi hum profit hasil karty Hain start par sb ko day trading hi karni chahyie. Additional information. Trading ka tareeqa hai, day trading ek bahut hi tezi se badhte hue. Is mein traders ko rozana market ki movement par nazar rakhni hoti hai aur jald se jald faisla hoti hai. In contrast, iske nuqsanat bhi hain, day trading bahut hi faydemand bhi ho sakta hai. If you want to start day trading, you should have a trading plan and strategy in place. If you want to start investing, you should also have these two things in place.Day trading ke liye kayi tactics are based on technical, fundamental, and chart analysis, among other things. Trading market trends and share price movement are taken into consideration in the methods, along with behtar faislon par pohanch sakte hain.Day Trading ke Nuqsanat. Day trading is very dangerous, as stated in the nuqsanat (concept). If the market's movement is not as expected, then our nuksaan will not be as expected. Day traders should have both the necessary knowledge and experience, according to research. Day trading, according to Iske Alawa, requires a great deal of attention and samay from the traders involved.Hasil kiya ja sakta hai munafa fori tor. Jaisay ke share ki qeemat ki fori tabdeeliyon ke baais kisi trader ki maali halat bigad sakti hain, lekin is ke nuqsan bhi hain Importance of Day Trading:\ Aziz Mery Dosto Day trading se murad aisi trading hai Jis per trader mukhatalif patterns ko istemal karte hue invite karta hea aur same day main enter ho kar profit hasil karny kay, same day main exit ho jata hea friends he tarha kuch trader 1 day time frame ko use karty hain. Expert trader hamesha ye baat kehty hain ko market ma itna he dependable signal mil jay ga trader ko time frame jetna huge ho ga.Itna he casual signal hasil kar payn gy jitna little time frame ko use karain gy wo itna he use kar ke profit hasil karna bohot mushkil ho jata hai.

          اب آن لائن

          Working...
          X