Analysis the forex market:

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Analysis the forex market:
    Analysis the forex market:
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalam alaikum dear members! aj ki post main hum kch basic discussion krn gy market analysis ki k wo konsi cheezen hain k jisko phly mark kr k market ko analyse karen or konsa time frame use karen. Market trend: Dear members phly hamen chahye k hum market ka trend lazmi dkh ln k price kis direction kr trend mai chl ri hain. or ye b zrori ha k market trend ko kisi bary time frame main dekh jyg jesa k Daily ya Weekly. q k bary time frame main longerm trend dkhai deta ga or jb k choty time frame main short term hota ha. bary time frame main market ka trend dkhny k lye hamen kch trendlines use karni parti hain agr to market upward trend main ha to higher highs or higher lows bnati ha js main hm market k opr ki trf or nechy ki trf / trend lines lga skty hain highs ko highs k sth mila k or low ko lows k sth mila jsa k nechy picture main dkhaya gia ha. agr market downtrend main ha to market lower lows or lower highs bnati ha agr in lows ko lows k sth or highs ko highs k sth milaya jy to opr nechy 2 trend kines bnti hain. opr wali trend line ko resisting jb k nechy wali trend line ko supportive trend line kaha jata h. baz okat ho skta ha market main srf aik hi trend kine bny or nechy ya opr koe support ya resistance ho jo k nechy hm discuss karen gy. Support and resistance: Dear members market ka trend jan'ny k bad hamen pata chl jata ha k ab prices ki direction kia ha or phr hm usi direction main entry talash karty hain. or es k lye hm markey k wo areas mark karty hain jahan market ko opr ya neechy jany main rikawat ai ho. agr koe price ya price range markek ko opr jany se rokti ha or market wahan se kai bar reject ho k wapis ati ha to us price ko resistance kaha jata ha jo k pic main dikhai gai ha. or jo price ya price zone market ko nechy girny se roky rkhta ha or wahan se market kafi bar reject ho kr wapis opr aa jati ha to us price zone ko support kaha jata ha jesa k necy picture main dekhaya gia ha. agr market uptrend main ho to hm strong support or resistance area mark karty hain or support se rejection k bad buy ki trade legy hain or profit target resistance hota ha.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Forex Market Analysis
      Analysis kisi cheez ko janchne aur uss k bare main information hasil karne ka amal hai, aur ziada tar analysis main humesha trader behtar result hasil karte hen. Forex trading market k analysis main traders kisi currency jora ki aggli harkat ko maloom karne karnne ki koshash kartte hen, jo wo mustaqil main lene wala hotta hai. Is waja se kisi bhi trader k leye technical aur fundamental bunyyad par daily k hissab se achahay decision lenna aik zarrori awamel mai se aik hai. Forex trading market main technical analysis pechli price action, chart k behtareen aur mashahoor patterns aur is k sath deggar factors shamil hotte hen. Fundamental analysis main mumalik ki economic soratehal, mustaqbil k social imkannat aur markazzi bank k sharah sood k sharah shamil hai. Technical analysis aur fundamental analysis ki bar akass Sentimental analysis main trader market ki current situation k sath sath technical aur fundamental analysis ka combination banna kar aik nayye strategy bannate hen.
      Forex Trading Analysis Types
      Forex trading market main analysis darjazzel teen tarah se ki jati hai ;
      1. Technical Analysis 2. Fundamental Analysis 3. Sentimental Analysis
      1. Technical Analysis
      Technical analysis forex market ki basic analysis hai, jo thori si difficult bhi hoti hai, q k ye analysis forex k bohut sare knowledge aur experience par mushtamil hoti hai. Forex trading k technical analysis main kisi bhi currency jore ka historical data ka tajzeyya us k mustaqil k prices ko maloom karnne k leye kia jatta hai. Forex trading market main traders ya analyst technical indicators, price action chart patterns, harmonic chart patterns waghera ki maddad se currency jore ya stock ki aggli harkat maloom kartte hen. Support aur resistance levels ko bhi technical analysis ka aik aham juzz mana jatta hai. Kuch technical oscillators bullish divergence aur bearish divergence dekha kar market ki buy aur sell ki signals bannate hen. Technical analysis main toools lazzmi nahi hai k wo bulkul accurate ho aur hundred percent sahi kaam karengay, kabhi kabhi technical indicators fundamental events ki mazzboti ki wajja se nakam ho jatte hen.
      2. Fundamental Analysis
      Fundamental analysis halate hazera aur kisi bhi currency k hawale se hone wale uss ki economic situation k bare main knowledge rakhna k bare main hota hai. Fundamental analysis economical, social aur political awamel ka tazeya hotta hai, jo currency ki economy ya value main bohut aham kirdaar adda kartte hen. Fundamental analysis main monetary policy, economical karkarrdagi aur deggar gher yaqeen khabro ki analysis shamil hai, jo economy ki halat ya semat ko tabdeel kar saktte hen. Currency ki qeemat ka tayyun market main currency ki supply aur demand se hotta hai. Fundamental analysis main basically kisi bhi currency ki supply aur demand par analysis ki jatti hai. Currency ki talab yanni demand ziadda honne ki waja se us ki value main izzaffa hotta hai, jab k supply ziadda honne ki waja se us ki value main khatere khwa kammi waqea hotti hai. Kisi bhi currency ki up down hone ka inhisar market main supply aur demand par munhasir hota hai.
      3. Sentimental Analysis
      Sentimental analysis ka tareeqay kar baqi analysis se mukhtalif hota hai, jiss main traders apne mind setup se market main entry exit aur position ki changing karti hai. traders ki emotions par muhasir hotti hai, jis se market main qeematen kisi semat chaltti hai. Forex trading market main chotte, darmeyyane aur bare level ki traders kaam kartte hen. Hum forex trading main kaam karrne wale chotte pemane k traders main shummar hotte hen, hum ko aam ko "Retail Trader" kaha jatta hai. Big aur medium size k trader jaise; markazi banks, maleyyati idarre, brokerage firms, small banks aur deggar iddara jatti traders forex trading market k bare plyers kehlate hen. Retail traders sirf market main shoor macha saktte hen, lekin prices ko kisi bhi semat mai le k nahi ja saktte hen.

      اب آن لائن

      Working...
      X