Introduction to "BAR Chart vs CANDLESTICK Chart".
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Introduction to "BAR Chart vs CANDLESTICK Chart".
    Introduction to "BAR Chart vs CANDLESTICK Chart".
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Introduction of BAR Chart. Bar chart trading ka aik bohat aham tool hai jo kisi share ya stock ka price movement ko graphical tareeqay se zahir karta hai. Is chart mein price movement ko bars ki shakal mein darj kya jata hai, jahan har bar price range ko zahir karta hai aur Agar bar ka top line bar ke bottom line se bhi ooper hota hai, to isko up bar kehtay hain, jo k price increase ko zahir karta hai. Jab bar ka bottom line bar ke top line se ooper hota hai, to isko down bar kehtay hain, jo k price decrease ko zahir karta hai. How to Recognise BAR Chart. Bar chart trading mein her bar ko y-axis par price range ki nisbat darj kya jata hai, jabkay x-axis par time period hota hai. Her bar ke dono taraf horizontal lines hoti hain jo opening aur closing prices ko zahir karti hain. Upper aur lower vertical lines bar ke top aur bottom prices ko zahir karte hain. Traders trading Strategy at BAR Chart. Bar chart trading aik popular tareeqa hai jisay traders apni trading strategies ko develop karne ke liye use karte hain. Is chart se traders price trend, support aur resistance levels aur trading signals ko identify kar sakte hain aur apni trading decisions ko better tareeqay se make kar sakte hain. Introduction of Candlestick Chart. Candlestick chart trading ka aik aham hissa hai. Yeh ek graph hota hai jis mein kisi muddat ke dauran securities, jaise stocks, futures, ya currencies, ka price movement show kia jata hai candlestick chart mein har candlestick ek time period ko represent karta hai, jis mein price ki movement hui hai. Har candlestick ko ek rectangle jisay body kaha jata hai, aur ek doosri line jisay shadow ya wick kaha jata hai, se banaya jata hai. Body, price range ko show karta hai jis mein security trade kia gaya hai, jabki shadow ya wick, maximum aur minimum price levels ko show karta hai jahan security trade hua hai. How to Recognise Candlestick Chart. Har candlestick ka color bhi important hota hai. Normally, agar candlestick ka color green hai to yeh indicate karta hai ke security ka price us time period mein increase hua hai, jabke agar red hai to yeh indicate karta hai ke security ka price decrease hua hai. Candlestick chart ki madad se traders kaam kar saktay hain, jis mein woh price trends, support aur resistance levels, aur trading opportunities ko identify kar saktay hain.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X