Rising Window Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Rising Window Candlestick Pattern
    Rising Window Candlestick Pattern
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Rising Window Candlestick Pattern
    Rising window patteren aik bullish trend continuation pattern hai, lekin baaz dafa ye double market sentiment analysis k leye bhi jani jati hai, pehli aik bullish impulsive lehar hai, aur doosri bearish price ki trend reversal hai. Yeh pattern aam tawar par supply and demand mein bullish trend ka tasalsul pattern hai. Rising window patteren main do bullish candlestick is baat ki numaindagi karte hen k buyers walay market k ooper mukammal control mein hen, jiss se price ki qader mein musalsal izzafa waqea hota rehta hai. Prices ka wese bhi bhi basic trend bullish ka hota hai, jo higher high levels ko tashkeel deta hai. Rising window patteren k leye prices ka bullish trend ka hona aham hai, q k ye prices ko mazeed ooper ki taraf push karta hen.
    Candles Formation
    Rising window pattern k leye prices ko upward semat ka hona zarori hai. Ye pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main dono candles bullish hoti hai, jo k bullish trend ya high prices ki alamat hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai; 1. First Candle: Rising window pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k normal real body main banti hai. Ye candle prices ka bullish trend ko zahir karti hai. Ye candle shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, lekin lazmi bullish candle honi chaheye. 2. Second Candle: Rising window pattern ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah aik bullish candle hoti hai, jo k pehli candle se ooper gap main banti hai. Candle ka close open price se lazmi ooper hona chaheye, jab k iss ka gap bhi pehli candle se wazih aur clear hona chaheye. Yani dono candles k wicks ya shadows candles k darmeyan main banne wale gap main ana chaheye.
    Explanation
    Rising window pattern prices main buyers ki market main strong hold ki sorat main banta hai, jiss main prices bullish trend k tasalsul ko barqarar rakhti hai. Pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main shamil dono candles bullish hoti hai. Bullish candles k darmeyan upnside par aik wazih gap hota hai, jo k aik qisam ka bullish candles ka kicking pattern dekhaye deta hai. Pattern ki dono bullish candles real body main lazmi honi chaheye, jab k candles k darmeyan banne waley gap ko koi candle (bashamole shadow) cover na kare. Bullish candles aksar market k darmeyan banne wale waqfay main banta hai, jiss me fundamental asarat ki waja se prices mazeed bullish jane ki koshash main hoti hai.
    Trading
    Rising window pattern prices ko mazeed ooper push karne k leye jana jata hai, q k ye aik bullish trend continuation pattern hai, jo trend reversal pattern se ziada reliable aur accurate signals deta hai. Pattern ki dosri bullish candle ziada strong aur gap main banti hai, jiss se market main trend continuation ziada strong hoti hai. Pattern par trade entry karne se pehle aik bullish confirmation candle ki zarorat hoti hai, jo k real body honi chaheye. Jab k pattern k baad bearish candle banne par pattern ka tasur khatam hoga. CCI indicator aur stochastic oscillator par reading 50% se above honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se lower position ya pehli candle k bottom se two pips below set karen.
    • #3 Collapse

      Rising Window Candlestick Patterns ;- Window Candlestick Pattern, Forex mein aik graphical technique hai jisay traders istemal kartay hain trend aur price action ki analysis karne ke liye. Is technique mein, candlestick charts ko use kiya jata hai jo kay trend ki movement ko darshatey hain. Window Candlestick Pattern Details ;- Window Candlestick Pattern aik continuation pattern hai jisay dojis, marubozus aur spinning tops ke saath sambandhit kiya jata hai. Window Candlestick Pattern ko aksar "rising window" ya "falling window" ke naam se jana jata hai. Window Candlestick Pattern Uses ;- Window Candlestick Pattern ko istemal karnay ke peeche ka maqsad hota hai trend ki continuation ki prediction karna hai. Agar ek rising trend mein, aik Window Candlestick Pattern nazar aata hai toh yeh trader ko yeh batata hai ke price agay barhney ka irada hai. Aik aisi tarah se, agar aik falling trend mein Window Candlestick Pattern nazar aata hai, toh yeh trader ko yeh batata hai ke price aglay support level tak jaa sakta hai. Window Candlestick Pattern Benefits ;- Window Candlestick Pattern ko istemal karne ke liye, traders ko candlestick charts par nazar rakhni hoti hai. Agar price ek aik upward trend mein hai, toh ek Window Candlestick Pattern ko dekhney ke liye traders ko candlestick charts ke upar nazar dalni hoti hai. Agar aik downward trend hai, toh traders ko candlestick charts ke neechey nazar dalni hoti hai. Key Points ;- Window Candlestick Pattern ka istemal karne ke baad, traders ko stop-loss aur take-profit levels ko bhi set karna hota hai.Window Candlestick Pattern forex trading mein aik important technical indicator hai. Iska istemal karke traders trend ki continuation ki prediction kar sakte hain aur trading strategy ko improve kar sakte hain.
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Aslamoalekum members. Mujhy umeed hay ap sab kheryt say hon gay. Apka trading session acha ja raha hoga. Aj ka topic hamara discussion Rising Window Candlestick pattern k bary hay. Dekhty hain k yeh kia hay r kesy information deta hay Rising Window Candlestick pattern Rising Window Candlestick pattern k support r resistance zones intehai sakht hain. Lehaza girti hoi window Candlestick pattern ke sorat mn sakht mazahmati khita peda hota hay. Jo mazahmati elaqy k lagatar dobara testo pr tejarat k imkanat ka behtr imkan faraham karta hy. Isi tarah rising window Candlestick pattern ki sorat main aik sakht sport region tayar hota hy jo sport area k lagatar dobara testo pr Tejarat k imkanat ka behtr imkan faraham karta hay. trading with rising Window Candlestick pattern Window bnanay k liye 2 candles k asli jsmo k drmyan jaga honi chaye .chahy wh uthti hoi ya girti hoi candle ho. Darhaqeqat in k saye bhe overlapp ni hony che. Up trend k doran ak rising Window keemT ka farq hay jo banta hay . Candles ka darmyan ke jaga pichli candle ki onchai or mojoda candle ki km k darmyan faslay ke numaindgi karti hay. Yeh rujhanat is bat ke neshandahi karty hain k bell control main hain or ham tawaqa kar sakty hain kay wh keemat ko buland karty rahengy. Pattern k paigham ki behtr tafheem hasil karnay k liye. Khala ka size k jaiza lain. Mesal k tor pr ak oncha farq keemat main numayan izafy ko zahir krta hay jabky ak chota sa farq keemat main mamoli or ger ehm tabdelio ko zahir krta hay .

        اب آن لائن

        Working...
        X