Complete guide to Coppock curve indicator for profitable trading
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Complete guide to Coppock curve indicator for profitable trading
    Complete guide to Coppock curve indicator for profitable trading
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Coppock Curve Indicator
    Introduction Coppock Curve Indicator technical analysis ka indicator hai jo market kay momentum aur trend ko measure karne ke liye istemal kiya jata hai. Ye indicator trend following indicator ke category me ata hai. Coppock Curve Indicator ko 1965 mein Edwin Sedgwick Coppock ne develop kiya tha. Is indicator ko unhone un investors ke liye banaya tha jo stock market ke long term trends par focus karte hain. Coppock Curve Indicator Calculation Formula Coppock Curve Indicator ka calculation bohot hi simple hai. Iska formula yeh hai: Coppock Curve = 10-period Weighted Moving Average of (14-period ROC + 11-period ROC) Yahan "ROC" ka matlab hai "Rate of Change". ROC ko Current Price se pehle ki Price ka farq percentage mein nikala jata hai. Trading Strategy 1. Coppock Curve ko calculate karnay ke liye aapko pehlay 10 maheenon ke price changes ka sum karna hota hai aur isko phir 14 maheenon ke EMA (Exponential Moving Average) se divide karna hota hai. Is process ke baad ek bar graph banta hai jisay Coppock Curve ke naam se jana jata hai. 2. Coppock Curve ke signals ko interpret karnay ke liye traders iski signal line ko dekhtay hain jo ki zero line ke uper aur neechay chalti hai. Jab Coppock Curve signal line ko cross karta hai aur zero line ke uper chala jata hai to yeh ek bullish signal hota hai. Jab Coppock Curve signal line ko cross karta hai aur zero line ke neechay chala jata hai to yeh ek bearish signal hota hai. 3. Coppock Curve Indicator ka use kar ke trading strategy mein aap long term trend ki confirmation kar saktay hain aur stock ki entry aur exit points ko identify kar saktay hain. Agar aap bullish signal ko receive karte hain to aap buy kar saktay hain aur agar bearish signal ko receive karte hain to aap sell kar saktay hain. Conclusion yeh important hai ke aap Coppock Curve Indicator ko dusri technical analysis tools ke saath istemal karain jaise ki moving averages, price patterns, aur momentum indicators. Is tarah se aapko zyada accurate signals receive hongay aur aap apni trading strategy ko improve kar saktay hain.yeh indicator bohot hi popular hai long term investors ke beech mein, kyun ki ye unko market ke major trends ke baare mein bata deta hai.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X