How to Bearish evening dogi candlestick pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How to Bearish evening dogi candlestick pattern
    How to Bearish evening dogi candlestick pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Bearish evening dogi candlestick pattern Bearish evening doji candlestick ek bearish reversal candlestick pattern hai, jise technical analysis mein istemal kiya jata hai. Is pattern ko dekh kar traders yah samajh sakte hain ki market ka trend bearish hone ja raha hai aur buyers ke power kam ho rahe hain. Bearish evening dogi kia hy, Is candlestick pattern mein 3 candlesticks hote hain. Pehle candlestick ek uptrend ke dauran banaya jata hai, jismein buyers ki dominance hoti hai. Dusra candlestick doji hota hai, yani ki opening aur closing price ek dusre se milte-julte hote hain. Is doji candlestick ke jariye market ke direction mein confusion ho jata hai. Teesre candlestick mein, sellers ka dominance dikhta hai aur market bearish trend mein convert hone lagta hai. Overall, bearish evening doji candlestick traders ke liye ek bearish signal hai, jo unhe market trend ke bare mein information provide karta hai aur trading decisions ke liye help karta hai, Bearish evening dogi knowledge, Bearish evening dogi candlestick knowledge works, Bearish Evening Doji Candlestick ek bearish reversal candlestick pattern hai. Yeh pattern 3 candlesticks se banta hai, jismein pehla candlestick ek uptrend ke dauran form hota hai aur bullish hai. Dusra candlestick doji hota hai, jo ek sideways price action ko represent karta hai, jismein opening price aur closing price ek doosre se bahut kam farak par rehte hain. Teesra candlestick, jo bearish hota hai, doji candlestick ke neeche kee taraf close hota hai, jise bearish confirmation ke roop mein interpret kiya jata hai. Trade Precautionary, Yeh pattern bearish reversal ke signal ko indicate karta hai, jismein bulls ka momentum kam ho jata hai aur bears ka dominance badh jata hai. Is pattern ke appearance ke baad, traders ko sell karne ke liye signal milta hai aur unhein price ki further down move ka expectation hota hai.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Evening Star Candlestick Pattern
      Evening star candlestick pattern aik strong bearish trend reversal pattern hai, jo teen candles par mushtamil hotta hai. Evening star candlestick pattern main pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jiss ka baad aik Spinning top candle hoti hai, jiss k baad aik long real body main bearish candle banti hai. Ye pattern dekhne main same bulkul "Bearish abandoned baby candlestick pattern" aur "Evening Doji-Star candlestick pattern" jaisa hi hai, lekin bullish aur bearish candle k darmeyan main banne wali candle aik Spinning top candle hoti hai, jo k pehli candle se gap main below banti hai, aur dosre candlestick ka high Spinning top candle k low ko touch karti hai.
      Candles Formation
      Evening star candlestick pattern main shamil teeno candles aik dosre se mukhtalif color aur formate main banti hai, ye candle apas main gap banati hai, jiss se market bullish trend se bearish trend main badal jata hai. Evening star candlestick pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai; 1. First Candle: Evening star candlestick pattern main shamil pehli candle bullish trend wali hoti hai, jiss ka color white ya green hotta hai, ye candle normal real body ki candle hoti hai. Jis ka close price open price se ziada hota hai. 2. Second Candle: Evening star candlestick pattern ki dosree candle aik Spinning top candle hoti hai, ziada tar ye candle aik small real body main hoti hai, jo k pehli bearish candle se above gap main banti hai. 3. Third Candle: Evening star candlestick pattern ki teesri aur last candle aik real body long size ki bearish candle hoti hai, jo k dosree candle se below banti hai. Ye candle size main taqreeban pehli bullish candle k barabar ya uss k size k 50% se ziada bari ho sakti hai.
      Explanation
      Evening star candlestick pattern trading k dowran strong bearish trend reversal ka signal deta hai, agar ye pattern high prices ya uptrend main banta hai. Pattern teen mukhtalif qisam k candles par mushtamil hota hai, jo k bullish trend k baad paya jata hai. Ye pattern dekhne main bulkul " Bearish Abandoned Baby candlestick pattern" ya "Evening Doji-Star candlestick pattern" jaisa hota hai, lekin darmeyan main Spinning top candle ka pehle candle se gap main banne ki waja se ye unn pattern se mukhtalif ho jata hai. Pattern ki pehli candle bullish hoti hai, jo k bullish trend ki alamat hoti hai, jab k baad main aik Spinning top candle banti hai, jis ka open aur close bullish candle se above gap main hota hai. Last par aik bearish candle hoti hai, jo k bullish candle k parallel aur Spinning top candle se below main banti hai. Ye candle prices k trend reversal main aham kiradar ada karti hai.
      Trading
      Evening star candlestick pattern market main bullish trend main banne ki waja se strong bearish trend reversal ka signal deta hai, jo k trader k leye market main sell ki entry ki opportunity peda karti hai. Pattern k leye zarori hai k prices high price ya uptrend main ho. Pattern par market main entry karnne se pehle trend confirmation candle ya kisi reliable indicator ka istemal zarror karen. Aggar teesri candle k baad aik aur bearish candle banti hai to ye area market main sell ki entry ka signal deta hai. Stop Loss pattern k sab se highest position ya Spinning top candle k high price se aik do point above par set karen.

      اب آن لائن

      Working...
      X