bullish mat hold candle stick pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    bullish mat hold candle stick pattern
    bullish mat hold candle stick pattern
     
    bhali kay badlay bhali
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Bullish Mat Hold candle stick pattern Bullish Mat Hold candle stick pattern aik jare candle stick pattern hota hey jes mein 5 candle stick hote hein yeh es bat ko zahair karta hey keh pechla trend jare rahay ga yeh forex market mein rising teen candle stick ke tarah hote hey laken dono candle stick mein gap hota hey bullish mat hold candle stick pattern basic tor par stock r index mein banta hey yeh aik mamole candle stick pattern hey es ley es ko forex or day trader swing trading mein estamal nahi kar saktay hein Identification Bullish mat hold candle stick pattern pehle candle stick aik bullish candle stick ho ge jes ke body to wick ka ratio zyada ho ga or forex market mein aik gap kay sath open ho ge start mein price nechay open ho ge dosree candle stick aik gap kay sath open ho ge jes ke start mein price nechay ke taraf close ho jay ge or es ka size pehle candle stick kay mokabalay mein chota ho ga tesaree or chothe candle stick bhe bearish candle stick hon ge en candle stick ka size bhe dosree candle stick jaisa same he ho ga panchven candle stick bhe bullish ke ho ge r yeh es candle stick pattern pechle tamam candle stick par close ho jay ge trading strategy with bullish mat hold candle stick pattern bohut say candle stick pattern jo keh mkhtalef kesam kay candle stick pattern ko introduce kartay hein ap ko serf aik bar forex market mein enter honay paray ga jab ap aik bar forex market ko talash kar lein to forex trader bananay kay ley profitable trade hasell kar saktay hein tahum cheezen itni asan nahi hote hein candle stick pattern jaisay bullish mat hold candle stick pattern shazo nadar he pay jatay hein jes ke mazeed tarmeem key baghair estamal keya ja sakta hey jes mein ap ko apni sharait ko filter karnay hon gay or market mein os time enter karna hon gay jab koi reality kanara majod ho es pattern mein trading strategy sahi time par lago karna zaroore hota hey jahan par yeh kam karta hey back testing kay sath kam ka best tayon keya ja sakta hey
     
    bhali kay badlay bhali
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Bullish Mat-Hold Candlestick Pattern
      Bullish mat-hold candlestick pattern price chart k top par ya uptrend k dowran bullish trend continuation pattern ka kaam karta hai, jiss k banne k baad prices same apne sabeqa trend ko hi follow karte hen. Candlesticks charts pattern main jitne ziada candles ka istemal kia jata hai, unte hi wo pattern ziada complex bante hen, aur iss ki trading ki techniques dosre sada pattern ki nisbat complex hote hen, lekin ye pattern hamesha sada pattern ki nisbat ziada kamyab rehte hen. Bullish mat-hold candlestick pattern bhi ussi munasibat sada pattern ki nisbat ziada complex pattern hai, jiss main aik waqat panch ya uss se bhi ziada candles hote hen, lekin ye aik kamyab pattern tasawar hota hai.
      Candles Formation
      Bullish mat-hold candlestick pattern bullish aur bearish candlestick se mel kar banne wala aik bullish trend continuation pattern hai, jo prices ko prices ko upward side par push karti hai, pattern main shamil pehli aur akhari candle bullish jab k darmeyan wali candles bearish hoti hai. Ye pattern aik strong signal deta hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai; 1. First Candle: Bullish mat-hold candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo prices ko upward side par push karti hai. Bullish candle candle aik real body main banti hai, jiss ka close point open price ki nisbat high hota hai. 2. Second Candle: Bullish mat-hold candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, ye candle aik small real body main banti hai. Ye candle open pehli candle k baad hoti hai, jab k close ussi ki real body main hoti hai. Ye candle real body main to banti hai, lekin ziada strong reaction nahi deti hai. 3. Third Candle: Bullish mat-hold candlestick pattern ki teesri candle bhi aik bearish candle hoti hai, jo k same dosri bearish candle ki tarah small real body main hoti hai. Ye candle prices ko nechay push karti hai, lekin ziada strong real body na hone ki waja se ye bhi pehli candle ki real body main hi banti hai. 4. Fourth Candle: Bullish mat-hold candlestick pattern ki fourth candle bhi same dosri aur teesri candle ki tarah aik bearish candle hoti hai, aur same small real body main hoti hai. Ye candle bhi ziada mazboti se prices ko nechay ki taraf push nahi karti hai, jiss se candle ki small real body same other bearish candles ki tarah pehli candle k andar hoti hai. 5. Fifth Candle: Bullish mat-hold candlestick pattern ki last ya fifth candle aik strong bullish candle hoti hai, jo k real body main bearish candle se bari aur bullish candle k taqreeban barabar hoti hai. Ye candle bearish trend reversal ki koshash ko nakam bana kar prices ko same sabeqa bullish trend main jari karti hai, jo k bullish trend continuation ka sabab banti hai.
      Explanation
      Bullish mat-hold candlestick pattern price chart par aik strong continuation ka signal deta hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k strong real body wali aik bullish candle banti hai. Pattern ki baad main teen small candles hoti hai, jo k pehli candle k real body main banti hai. Ye candles prices ko nechay ki taraf to push karti hai, lekin sellers ki adam-tawajah k bahis prices ko ziada strong nechay nahi le kar jati hai. Pattern ki teeno small candles prices k bullish trend k dowran aik waqfa peda karti hai, jiss k baad aik strong bullish candle banne par prices wapis apne sabeqa bullish trend ko hi follow karna shoro karti hai.
      Trading
      Bullish mat-hold candlestick pattern aik bullish trend continuation pattern hone ki waja se bullish trend reversal pattern ki nisbat ziada successful rehta hai. Ye pattern newly bullish breakout main banne par prices ko bohut ziada teezi k sath upward le kar jati hai. Pattern par trading karne se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jo k bullish candle k top par bullish real body se honi chaheye. Jab k indicator se confirmation lene par ussi ki value midpoint ya darmeyan se above trade kar na zarori hai. Pattern k end par stop loss ka istemal zarori hai. Stop Loss pattern k sab se lower position jo pattern ka support level hota hai, se two pips below set karen.

      اب آن لائن

      Working...
      X