What is Bearish Engulfing Pattern?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Bearish Engulfing Pattern?
    What is Bearish Engulfing Pattern?
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    What is Bearish Engulfing pattern Bearish engulfing pattern wali candle up trend ke ulat jane ka ishara deti hai aur jab yeh opper ke ooper waly hissay mein zahir hoti hai to farokht krny walon ke dabao mein izafay ki nishandahi karti hai . Yeh patteren jari rujhan ko tabdeel karta hai kyunkay ziyada seller market mein daakhil hotay hain aur qeematon ko mazeed nechy jatay hain . Patteren mein do candles shaamil hain, doosri surkh candle ke sath jo pichli sabz candle ke jism ko mukammal tor par ghairay hue hai . .What does Bearish Engulfing Patterns tell you? Engulfing pattern taajiron ko rujhan ke ulat pehroon ko talaash karne mein madad karta hai jo rujhan ke tasalsul ki nishandahi karta hai, aur taajiron ko bahar niklny ke signal mein bhi madad karta hai: 1. Trend Continuation 2. Reversal 3. Exit Strategy 1. Trend Continuation Engulfing patteren jari rujhan ko jari rakhnay ki himayat karte hain, misaal ke tor par, jab down trend mein bearish engulfing walay patteren ko dekhte hain, to yeh ishara karta hai ke jari rujhan jari rahay ga . 2. Reversal Jab up trend ke ooper hissay mein bearish engulfing wala patteren paaya jata hai to yeh up trend reversal ka ishara deta hai. 3. Exit strategy Is patteren ko bahar niklny ke liye signal ke tor par bhi istemaal kya ja sakta hai agar tajir jari rujhan mein khareed o farokht ki position rakhta hai jo khatam ho raha hai. Trading Example . Prior trend: Is me note karna chahiye ke pehlay ka rujhan nechy ka rujhan hai . . Pattern: Doosri candle stick bullish honi chahiye aur pehli candle stick ke jism ko engulfing hue honi chahiye . . Stop Loss: Stop loss ko ooper ki oonchai se nechy rakha ja sakta hai jahan bullish engulfing patteren hota hai . . Confirmation of Pattern: Is ke ilawa, deegar takneeki ke sath is patteren ke zareya diye gaye signals ki tasdeeq karna nah bhulen.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Bearish Engulfing Candlestick Pattern
      Bearish engulfing candlestick pattern price chart k resistance level ya top area main banne wala aik bearish trend reversal pattern hai, jo k two days candles se mel kar banta hai. Pattern main shamil candles market ki situation batati hai, jiss main pehli candle aik real body wali bullish candle hoti hai, jo k prices k uptrend ya bullish trend ki akasi karti hai. Pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k aik long real body main banne ki waja se trend reversal k kaam karti hai. Pattern ki pehli candle aik normal real body main banti hai, jab k dosri candle bhi real body main hoti hai, lekin pehli candle k bar-akas long real body main banti hai, jiss se wo pehli candle ko apne andar lapait leti hai. Ye pattern aik strong bearish trend reversal k leye mashahoor hai.
      Candles Formation
      Bearish engulfing candlestick pattern bhi ziada tar dosre two days candlestick pattern ki tarah trend reversal ka kaam karti hai, jiss main pattern ki location ka bullish ya uptrend main hona zarori hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazel tarah se hoti hai; 1. First Candle: Bearish engulfing candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo prices k top par ya bullish trend ki continuation ka kaam karti hai, q k ye aik real body wali candle hoti hai, jo k green ya white color ki candle hoti hai. 2. Second Candle: Bearish engulfing candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali bearish candle hoti hai. Ye candle long real body candle hoti hai, jo k open pehli candle k top par hoti hai aur close pehli candle k lower side par hoti hai. Bearish candle black ya red color main hoti hai, jo k prices ko bullish jane se rokti hai.
      Explanation
      Bearish engulfing candlestick pattern k price chart par banne ki pechay ki psychology kuch iss tarah se hoti hai, k pattern ki dosri candle pehli candle k real body ko ger leti hai, dosri candle pehli candle se lazmi size main bari honi chaheye. Pehli candle ka high aur low dosri candle k open aur close price k inside par bante hai. Ye pattern prices k top par banne ki waja se bearish trend reversal k leye jana jata hai, jiss main pattern market k current bullish trend ka khatema karti hai. Pattern ki dosri candle ka lazmi long real body main honi chaheye, jo k pehli candle ko enulf karti hai. Pattern ki dosri candle agar pehli candle k close price se ziada lower side par close hoti hai, to ye aik strong bearish trend reversal ka message hota hai.
      Trading
      Bearish engulfing candlestick pattern prices k leye bullish trend main banta hai, jiss par sell ki entry ki ja sakti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k close price se jitni ziada lower side par close hoti hai, utni hi ye pattern ziada strong trend reversal ka message deta hai. Pattern par trading karne se pehle pattern k top ya high price area main hona zarori hai. Jab k trade entry confirmation candle ka baad hoti hai, jo k aik bearish real body wali candle honi chaheye. Confirmation candle k dosri candle k bottom par close hona zarori hai, jab k confirmation candle agar aik bullish candle banti hai to iss par trade entry nahi karni chaheye. Indicator par trend confirmation k leye value ka overbought zone main hona zarori hai. Stop Loss pattern k sab se top position ya pehli candle k high price se two pips above set karen.

      اب آن لائن

      Working...
      X