What is Bullish Engulfing Pattern?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Bullish Engulfing Pattern?
    What is Bullish Engulfing Pattern?
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    What is Bullish Engulfing pattern Bullish engulfing pattern wali candle down trend ke ulat jane ka ishara deti hai aur jab yeh neechay ke nichale hissay mein zahir hoti hai to kharidari ke dabao mein izafay ki nishandahi karti hai . Yeh patteren jari rujhan ko tabdeel karta hai kyunkay ziyada khredar market mein daakhil hotay hain aur qeematon ko mazeed oopar le jatay hain . Patteren mein do candles shaamil hain, doosri sabz candle ke sath jo pichli surkh candle ke jism ko mukammal tor par ghairay hue hai . .What does Bullish Engulfing Patterns tell you? Engulfing pattern taajiron ko rujhan ke ulat pehroon ko talaash karne mein madad karta hai jo rujhan ke tasalsul ki nishandahi karta hai, aur taajiron ko bahar niklny ke signal mein bhi madad karta hai: 1. Trend Continuation 2. Reversal 3. Exit Strategy 1. Trend Continuation Engulfing patteren jari rujhan ko jari rakhnay ki himayat karte hain, misaal ke tor par, jab up trend mein bullish engulfing walay patteren ko dekhte hain, to yeh ishara karta hai ke jari rujhan jari rahay ga . 2. Reversal Jab down trend ke nichale hissay mein bullish engulfing wala patteren paaya jata hai to yeh up trend reversal ka ishara deta hai. 3. Exit strategy Is patteren ko bahar niklny ke liye signal ke tor par bhi istemaal kya ja sakta hai agar tajir jari rujhan mein khareed o farokht ki position rakhta hai jo khatam ho raha hai. Trading Example . Prior trend: Is me note karna chahiye ke pehlay ka rujhan oopri rujhan hai . . Pattern: Doosri candle stick bearish honi chahiye aur pehli candle stick ke jism ko engulfing hue honi chahiye . . Stop Loss: Stop loss ko neechay ki oonchai par rakha ja sakta hai jahan bearish engulfing patteren hota hai . . Confirmation of Pattern: Is ke ilawa, deegar takneeki ke sath is patteren ke zareya diye gaye signals ki tasdeeq karna nah bhulen .
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Bullish Engulfing Candlestick Pattern
      Bullish engulfing candlestick pattern main dosre din ki candle previous din ki candle k bottom par gap main open ho kar ussi k top par above close hoti hai. Bullish engulfing candlestick pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik bearish candle hoti hai, jab k dosre din ki candle aik long real body wali bullish candle hoti hai. Pattern ki dosre din ki bullish candle pehli din ki bearish candle ko apne andar engulf kar leti hai, ynni bullish candle bearish candle k lower side par gap main khulti hai, jab k close ussi se above top par hoti hai. Pattern ki bullish candle bearish candle se ziada hoti hai, jo k market main current bearish trend ka khatema karti hai.
      Candles Formation
      Bullish engulfing candlestick pattern main shamil candles bearish aur bullish pattern ki hoti hai, jo k prices k bullish trend reversal k leye istemal hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle ko apne andar ger leti hai, jiss ko engulfing kaha jata hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
      1. First Candle: Bullish engulfing candlestick pattern ki pehli candle market k current trend k mutabiq aik bearish trend hoti hai, jiss ka close price open price k se nechay hota hai. Bearish candle shadow samet ya uss k bagher ho sakti hai, jo k real body main hoti hai.
      2. Second Candle: Bullish engulfing candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k muqabele main long real body main hoti hai, jo pehli candle k bottom par open ho kar ussi k top par close hoti hai. Dosri candle lazmi real body main main honi chaheye aur pehli candle ussi k real body k andar honi chaheye.
      Explaination
      Bullish engulfing candlestick pattern price chart par uss waqat banti hai, jab bhi sellers market main dilchaspi lena kam kar dete hen. Ye pattern prices k top par ya bearish trend main ban kar market ka trend bullish reversal bana deta hai. Pattern main shamil dono candles real body main honi chaheye, jiss main dosri candle pehli candle se size main bari honi chaheye. Pattern ki banne ki psychology kuch iss tarah se hai, jiss main sellers ki prices k bottom main mazeed dilchaspi nahi rehti hai, aur ussi waqat buyers market main ziada active ho jate hen. Baaz dafa ye pattern koi strong news release hone k baad prices k bottom main banta hai.
      Trading
      Bullish engulfing candlestick pattern trading k leye aik strong bullish signal deta hai, jiss se buyers market main entry karte hen. Pattern ki k baad aik bullish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main honne k sath sath dosri candle k top par close honi chaheye. Lekin bearish candle banne ki sorat main trade entre karne se parhez karen. Trend confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main honi chaheye. Pattern do candles ka hota hai, iss waja se stop loss ka istemal zarori hai. Stop Loss pattern k sab se lower position ya dosri candle k open price se two pips below set karen.

      اب آن لائن

      Working...
      X