Concealing Baby Swallow Candlesticks Pattern (Bullish Pattern)

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Concealing Baby Swallow Candlesticks Pattern (Bullish Pattern)
    Concealing Baby Swallow Candlesticks Pattern (Bullish Pattern)
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bullish Concealing Baby Swallow Pattern
    Concealing baby swallow candlestick pattern main bhi ziada candles hone ki waja se aik behtar result dene wala pattern hai. Bullish concealing baby swallow candlestick pattern chaar candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai. Pattern ki sari candles bearish hoti hai, jiss main shamil pehli aur dosri candles real body wali bearish candle hoti hai, jiss k baad aik small real body aur long upper shadow wali shooting star candle banti hai. Shooting star candle ki real body bhi bearish honi chaheye. Pattern ki akhari candle aik bhi aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k fourth bearish candle k top par close hoti hai. Japanese candlesticks patterns main candles ki tadad jitni ziada hoti hai aur jitna ziada timeframe hota hai, utna hi ye aik reliable aur achah leading indicators sabit hote hen.
    Candles Formation
    Bullish concealing baby swallow candlestick pattern chaar candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli do candles normal bearish candles hoti hai. Pattern ki teesri candle inverted hammer hoti hai, jab k akhari candle aik strong bearish candle banti hai, jo inverted hammer candle k top par close hoti hai, pattern main shamil candles ki formation darjazel tarah se hoti hai; 1. First Candle: Bullish concealing baby swallow candlestick pattern ki pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, ye candle prices k sabeqa bearish trend ki mazboti dekhati hai. Ye candle color main black ya red hoti hai, jo k shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai. 2. Second Candle: Bullish concealing baby swallow candlestick pattern ki dosri candle bhi same bearish hoti hai. Ye candle pehli candle se lower side par banti hai, jo k taqreeban same pehli candle ki real body k barbar hoti hai. Ye candle pehli candle se below black ya red color main banti hai. 3. Inverted Hammer Candle: Bullish concealing baby swallow candlestick pattern ki teesri candle aik inverted hammer candle hoti hai, jiss ki small real body aur upper side par aik long shadow hota hai, jo k color main aik bearish candle hoti hai. Ye candle waqti tawar par prices k upper side par jane ka indication deti hai. 4. Fourth Candle: Bullish concealing baby swallow candlestick pattern ki fifth ya akhari candle aik aik long real body wali bearish candle hoti hai. Ye candle teesri bearish candle k baad top gap main open ho kar ussi k close point par close hoti hai. Ye candle bhi color main black ya red hoti hai. Ye candle prices ko mazeed bearish push karne main nakam rehti hai, jo k inverted hammer candle k sath aik double bottom banati hai.
    Explaination Bullish concealing baby swallow candlestick pattern prices k bottom main banta hai, jo k Ladder Bottom aur Bullish Breakaway Pattern se melta julta hai, lekin candles ki formation main thora sa difference hai. Iss pattern main panch candles hote hen, jiss main pehli candle aur dosri candles long real body k bearish candle hoti hai. Pattern ki teesri candle aik inverted hammer candle hoti hai, jiss ki small real body k upper side par aik long shadow hota hai. Inverted hammer candle prices ko aik to waqti tawar par mazeed bearish jane se rokti dosri ye candle bullish trend reversal ki indication bhi deti hai. Pattern ki akhari candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k inverted hammer candle k top par gap main open ho kar ussi k same closing point par close hoti hai. Trading
    Bullish concealing baby swallow candlestick pattern k aghaz main sellers market main bohut ziada strong hote hen, q k pehli aur dosri candles long real body wali bearish candles hoti hai. Pattern ki teesri candle aik inverted hammer candle hoti hai, jiss ki small real body k upper side par aik long shadow hota hai. Pattern ki last candle bhi aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k inverted hammer k top par gap main ho kar ussi k close point par close hoti hai. Pattern k akhari candle k baad aik trend confirmation wali bullish candle ki zarorat hoti hai, jo k real body main honi chaheye. Trend confirmation CCI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss ka value oversold zone main indication hona chaheye. Jab k confirmation candle ka ka trend k mutabiq na banne par ye pattern invalid ho jayega. Pattern ka Stop Loss pattern k sab se lower point par se two pips below set karen.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      .Forex trading mein "Bullish Concealing Baby Swallow Pattern" ek bullish trend reversal pattern hai. Is pattern mein do candles ki zaroorat hoti hai. Ye pattern price action analysis ke zariye pehchana jata hai. Bullish Concealing Baby Swallow Pattern Forex Trading Mein Introduction: .Bullish Concealing Baby Swallow Pattern ek trading pattern hai jo forex mein use kiya jata hai. Is pattern ko dekh kar traders bullish trend ka pata laga sakte hain aur uss trend mein invest kar sakte hain. Is pattern ka naam ise banane wale "Steve Neeson" ne diya hai. Is pattern ka matlab hai ke market mein bearish trend khatam ho gaya hai aur ab bullish trend shuru hone wala hai. Jab pehle candle down trend mein hota hai to traders selling karte hain. Lekin dusra candle bullish hota hai aur pehle candle ko cover kar deta hai, iski wajah se traders buying start karte hain aur bullish trend shuru ho jata hai. Pattern ki formation: Bullish Concealing Baby Swallow Pattern jab banta hai, to ye do candlesticks se banta hai. Pehla candle bearish hota hai aur doosra candle bullish hota hai. Bullish candle pehle candle ki body ko poora cover karta hai aur is tarah se bearish candle ko conceal kar deta hai. Interpretation: Jab traders ko Bullish Concealing Baby Swallow Pattern dikhai deta hai, to wo samajh lete hain ke bearish trend ka end hone wala hai aur bullish trend shuru hone wala hai. Is pattern ko dekh kar traders long position lete hain aur market mein invest karte hain. Conclusion: Bullish Concealing Baby Swallow Pattern ek useful trading pattern hai jo traders ko bullish trend ka pata lagane mein madad karta hai. Is pattern ko samajhne ke liye traders ko candlestick chart ki knowledge hona zaruri hai. Pattern ko dekh kar traders apne trading strategy ko improve kar sakte hain aur market mein achha return earn kar sakte hain.

      اب آن لائن

      Working...
      X