Bullish Pin Bar Candlestick

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish Pin Bar Candlestick
    Bullish Pin Bar Candlestick
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bullish Pin Bar Candlestick
    Bullish pin bar candlestick aik long lower tail k sath short body ki candle stick pattern banti hai. Candle ki open aur close price aik dosre k qareeb hone chaheye. Ye candle dekhne main doji candles ki tarah lagti hai, lekin doji candlestick se mukhtalif hoti hai, q k doji candlesticks me body banti hi nahi hai aur is me short body hoti hai. Bullish pin bar ki aik long lower tail is baat ka ishara karti hai, k ab yahan se price reject ho gaye hai. Is waja se wo dosre(reversal) semat me apne trend ko continue karti hai. Is me trend ki semat (reversal) change nahi hoti hai bulke jo candlestick pin bar banti hai us k tail ki reversal trend shoro hoti hai. Bullish pin bar candlestick pattern bullish aur bearish dono tarah ki candle main ho sakti hai, lekin market aur prices k ziada lower area main hone ki waja se ye bullish trend reversal k leye ziada mashahoor candles hai.
    Candles Formation
    Bullish pin bar candle prices k bottom main ziada supply aur kam demand k natijay main wajood main ati hai. Ye candle aik strong reversal k leye jani jati hai, jo k downward side main kisi bhi color ki real body main ho sakti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se ho sakti hai; Bullish Pin [COLOR="#006400] Bar Candle:[/COLOR] Bullish pin bar candlestick agar prices k bottom main banti hai, to ye bullish ya bearish dono main se jiss color main bhi ban jaye, ye bullish candle hi tasawar ki jati hai, q k ye point trend reversal ki position ho sakti hai. Candle k leye prices k position zarori hai, color nahi hai.
    Explanation
    Bullish pin bar candlestick price chart par aksar bottom ya top prices par nazar ati hai aur aksar issi position prices reversal ho jati hai. Ye candle aik spike ki sorat main nazar ati hai, jab bhi kisi strong news ki waja se prices teezi k sath downward fall karne k baad wapis apne upper open price k qareeb ja kar close hoti hai. Ye candle aik long lower shadow k sath hoti hai, jiss k upper side psr aik small real body hoti hai. Candle k upper side par small wick banne se candle ki performance par koi asar nahi parta hai, lekin ziada lamba shadow banne se candle ki hososeyat neutral ho jayi hai. Real body ka color kisi khas pattern ka hona zarori nahi hai, lekin iss candle ki lower prices main hona ziada aham hai. Dekhne main ye candle bottom prices par banne wali hammer candle ki hi tarah lagti hai.
    Trading
    Bullish pin bar candle prices k bottom main ziada bearish pressure parne par banti hai, jiss se aik small real body ki candle k lower side par aik lamba saya hota hai, jo k candle k real body se taqreeban dugna ya uss se bhi ziada banta hai. Ye candle aik strong bullish signal genrate karti hai, jiss par confirmation k baad buy ki entry ki ja sakti hai. Confirmation candle ka bullish real body main hona zarori hai, jab k bearish candle banne se ye candle invalid ho jati hai. CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main trade karni chaheye, jis se confirmation aur bhi ziada mustehkam hoti hai. Stop Loss pattern k sab se lower position ya candle k shadow k lower side par jo k prices k leye support level hoti hai, se two pips below set karen.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Introduction. Bullish Pin Bar Candlestick trading strategy ek technical analysis strategy hai jis mein traders apne trades ko enter or exit karne ke liye use karte hain. Is strategy mein, Bullish Pin Bar Candlestick ka istemal kiya jata hai. Explanation of Pattern. Bullish Pin Bar Candlestick ek candlestick pattern hai jo market ki bullish trend ko indicate karta hai. Yeh pattern ek aam candlestick se alag hota hai kyun ke is mein, ek chhota sa body aur bada sa tail hota hai. Body candlestick ki opening price aur closing price ke darmiyan hota hai jabki tail market ke upar jata hai. Formation of Pattern. Jab Bullish Pin Bar Candlestick pattern market mein form ho jata hai, to yeh indicate karta hai ke market ke buyers market ke control mein hain aur price upar jayega. Is situation mein, traders long position ko enter kar sakte hain aur apne stop loss ko tail ke neeche set kar sakte hain. How to use this Strategy. Is strategy ko istemal karne se pehle, traders ko market trend ko samajhna zaroori hai aur Bullish Pin Bar Candlestick pattern ko sahi tarike se pehchanna zaroori hai. Agar traders sahi tarike se is strategy ko istemal karte hain to woh apne trades mein zyada se zyada profit hasil kar sakte hain bullish Pin Bar Candlestick trading strategy ek technical analysis tool hai jo traders use karte hain apni trades ki entry aur exit points ke liye. Yeh strategy Bullish Pin Bar Candlestick pattern ko dekh kar trades ki entry points ko identify karta hai. Bullish Pin Bar candlestick pattern bearish trend ke baad aata hai aur bullish trend ka indication deta hai. Is strategy ke kuch benefits hain:
      • Bullish Pin Bar Candlestick trading strategy aapko trend reversal ka signal deta hai. Agar aap trend ke opposite direction mein trade karte hain aur Bullish Pin Bar Candlestick pattern dekhte hain toh aapko pata chal jayega ke trend reverse hone wala hai aur aapka trade profitable ho sakta hai.
      • Yeh strategy aapko high probability trades ki entry points dhoondne mein help karta hai. Jab aap Bullish Pin Bar pattern dekhenge toh aapko pata chalega ke buyers sellers se dominate kar rahe hain aur market mein bullish trend hai.
      • Bullish Pin Bar Candlestick trading strategy aapko stop loss placement ke liye help karta hai. Jab aap Bullish Pin Bar pattern ko dekhte hain toh aapko pata chalta hai ke market ke bullish trend ka continuation possible hai. Isse aap apni stop loss order ko adjust kar sakte hain aur apni trade ko maximize kar sakte hain.
      • Yeh strategy aapko risk management ke liye help karta hai. Bullish Pin Bar Candlestick pattern ki recognition se aap apni trades ko monitor kar sakte hain aur risky trades ko avoid kar sakte hain.
      • Is tarah se Bullish Pin Bar Candlestick trading strategy traders ke liye ek powerful tool hai jo unhein high probability trades ki entry points provide karta hai aur risk management mein help karta hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X