Upside Gap Three Methods Candlesticks Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Upside Gap Three Methods Candlesticks Pattern
    Upside Gap Three Methods Candlesticks Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Upside Gap Three Methods
    Upside gap three methods price chart main banne wala aik three candles ka bearish trend reversal pattern hai, jo k bullish trend ya high prices area main banta hai. Candlesticks charts aik technical tool hen, jo traders ko bohut aham trend k hawale se information deti hai. Candlestick ka currency pairs k technical analysis k leye bohut aham hen, jiss se traders na sirf in ka istemal dosre indicators k sath mela kar karte hen, bulkeh ye akele bhi aksar aik leading indicators ka kaam karte hen. Upside gap three methods k pattern main pehli aur dosri candles bullish jab k last wali candle aik bearish candle hoti hai, jo k trend reversal ka kaam karti hai. Upside gap three methods k opposite direction main prices k bottom par bullish trend reversal k leye downside gap three methods pattern banta hai.
    Candles Formation
    Upside gap three methods teen candles par mushtamil aik bearish trend reversal pattern hai, jiss jo k top area main banne par assets k prices ko downtrend main tabdeel karta hai. Upside gap three methods do bullish aur aik bearish candles se mel kar banta hai, jiss ki tafseel darjazzel hai; 1. First Candle: Up-Side gap three methods k pattern main pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k long real body main bnati hai. Ye candle prices k maojoda bullish trend ko zahir karti hai, jo k shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai. Pattern ki pehli candle ki closing price open se ooper hona chaheye. 2. Second Candle: Upside gap three methods ki dosri candle bhi same bullish candle hoti hai, jo k pehli candle se upper gap main banti hai. Ye candle bhi shadow ya shadow k bagher ho sakti hai, jab k candle ki close price open price se ziada hona chaheye. Dosri candle ka pehli candle se upper side par gap main hona zarori hai. 3. Third Candle: Upside gap three methods ki teesri candle aik bearish candle hoti hai. Ye candle dosri candle ki real body main open ho kar pehli candle ki real body main close hoti hai. Teesri candle ka close price open price se kam hona chaheye. Ye candle trend reversal ka sabab banti hai.
    Explanation
    Upside gap three methods prices k top main banne wale pattern tasuki gap up se melta julta hai, jiss main prices same bullish trend main tasalsul jari rakhti hai. Upside gap three methods teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jiss ka close price open price se ziada hota hai. Pattern ki dosri candle bhi bullish candle hoti hai, jo k pehli candle se ooper gap main banti hai. Pehli aur dosri candle k darmeyan banne wala gap wazih hona chaheye, yanni dono candles k shadows bhi gap main nahi ana chaheye. Pattern ki teesri candle aik bearish candle hoti hai, jo k dosri candle k real body main open ho kar pehli candle k real body main close hoti hai. Bearish candle pehli aur dosri candle k darmeyan banne wale gap ko cover karti hai.
    Trading
    Upside gap three methods price chart main banne par traders ko bearish signals deta hai, jiss par market main sell ki entry ki ja sakti hai. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ki zarorat hoti hai, jo k real body main bearish honi chaheye aur agar ye candle pehli candle k bottom par close hoti hai, to ye aur bhi reliable pattern hota hai. Pattern k baad bullish candle banne par trade ki entry nahi karni chaheye. Pattern ki trend confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai. CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator par value overbought area main hona chaheye. Pattern k top par Stop Loss ka hona zarori hai, jo k patterns k sab se upper position ya dosri candle ki close point se two pips above set karen.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X