Forex chart me "DOJI CANDLES" ka Istemal
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex chart me "DOJI CANDLES" ka Istemal
    Forex chart me "DOJI CANDLES" ka Istemal
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Doji Candlestick
    Doji candlestick patterns ki tashkeel uss waqat hoti hai, jab market ki open price aur close price taqreeban aik jaisi hoti hai. Doji candles pattern k mukhtalif qismen hen, yani neutral doji, gravestone doji, dragonfly doji, long-legged doji aur four price doji. Doji candles ki vertical line ko wick kaha jata hai, jabkay horizontal line iss ki real body hoti hai. Doji candles ki wick ki lambai mukhtalif ho sakti hai, kyunkay oopar wala sab se ziyada qeemat ko zahir karta hai, aur neechay wala kam qeemat ko zahir karta hai. Candle ki real body aghaz aur band qeemat ke darmiyan farq ki numaindagi karti hai. Doji candles ki unchaye mukhtalif ho sakti hai, jab k churaye sari doji candles ki same hoti hai.
    Doji Candles Formation
    Doji candlestick uss waqat banti hai, jab market open hote hi bullish traders qeematon ko oopar ki taraf push karte hen, jab k ussi dowran bearish traders high prices ko mustard karte hain aur usay wapas neechay push kar dete hen. Aur jab bhi bearish traders qeematon ko har mumkin had tak kam karne ki koshish main hote hen, jab k iss k bar-akas bullish trader qeematon ko wapis upside le jati hai. Doji candles market ki uss psychology ki taraf ishara karti hai, k prices market k dono sematon ko delhne k baad wapis apni position par band ho gaye, yanni prices ka market main kisi khas semat pasand nahi aya hai.
    Doji Candles Types
    Doji candles ki shadow ya wick ki waja se panch qismen hen, jab k iss ki real body sare doji candles main same hoti hai. Doji candles ki real body na hone ki barabar hoti hai, q k candle ka open aur close same point par hota hai, albata candles k shadow kam ya ziada ho sakta hai. Doji candles ki aam tawar par price chart par banne wali darjazzel aqsaam hen;
    1. Neutral Doji (Star Doji)
    2. Gravestone Doji
    3. Dragonfly Doji
    4. Long-legged Doji
    5. Four Price Doji
    1. Neutral Doji Candle: Neutral doji candle ko aam tawar par star doji candle bhi kaha jata hai, jiss ki upward aur lowered side par banne wala shadow small size ka hota hai. Ye candle bagher real body k hone ki waja se aik star jaise nazar ati hai. Ye candle dore candles k sath mel kar morning doji-star pattern, evening doji-star pattern, bullish abandoned baby pattern, bearish abandoned baby pattern waghera banati hai. 2. Gravestone Doji Candle: Gravestone doji candle aik long upper shadow ki candle hoti hai, jiss k open aur close price k sath sath candle ki low prices bhi same point par hota hai. Ye candle prices k top par banne par bearish trend reversal ka role play karti hai. Ye candle qabar k pathar jaise dekhne par iss ko gravestone doji candle kaha jata hai. 3. Dragonfly Doji Candle: Dragonfly doji candle price chart par gravestone doji candle k opposite direction main banti hai, jiss ka shakal aik dragonfly se melta julta banta hai. Iss candle main prices k open aur lose k sath sath high price bhi same point par hote hen. Ye candle price chart par low prices main banne par bullish trend reversal k leye istemal ki jati hai. 4. Long-legged Doji Candle: Long-legged doji candle price chart par neutral candle se melti julti aik candle hai, lekin iss candle k upper aur lower sides par long shadow hota hai. Candle main buyers aur sellers dono taraf extreme level par jane k baad wapis apne aghaz wali position par akar candle ko close karwati hai. 5. Four Price Doji Candle: Four price doji candle aik unique qisam ki doji candle hai, jo k price chart par bohut kam banti hai, ye candle bagher real body k sath sath bagher shadow ki bhi hoti hai. Candle k open, close, high aur low prices same position par hoti hai. Ye candle buyers aur sellers ki market main adam-dilchaspi zahir karti hai. Aam tawar par ye candle bohut kam banti hai, lekin kam volitilety currency pair main ziada dekhi jati hai.
    Trading
    Doji candles market main traders ko neutral situation ka batata hai, k market main na to buyers ko faida mel raha hai aur na hi sellers ko– candles ki ye adam faisla ya ghair janib-dari ki alamat hai. Ziada tar analyst ka khayaal hai ke jab doji candle ko deegar patterns ya candles k sath dekha jaye to doji anay wali qeemat ke ulat jane ki nishan-dahi karta hai, lekin yeh hamesha aisa nahi ho sakta. Yeh iss baat ki alamat ho sakti hai ke buyers ya sellers market k trend continuation ke liye tayari kar rahay hote hen. Yeh yaad rakhna zaroori hai ke doji candlestick itni ziada maloomat faraham nahi karti jitni kisi trader ko faisla karne ke liye darkaar hoti hai. Doji candlestick chart patteren samait kisi bhi signal par amal karne se pehlay, hamesha dosray patteren aur indicators par ghhor karen, aur iss k sath sath stop loss ka zaror ihtemam karen, q k single candle par trading karna bohut riski kaam hai.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X