What is Bullish Counterattack line ?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Bullish Counterattack line ?
    What is Bullish Counterattack line ?
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamualaikum aj is thread me apko me Pakistan forex trading ke ak bhot he important topic Bullish Counterattack line ki importance ke bare me btao ga Or me umeed karta ho ke jo information me apse share karo ga wo apke knowledge or experience me zaror izafa kare ge. What is Bullish Counterattack line? Jawabi hamla linon ka patteren aik do candle reversal patteren hai jo candle stuck charts par zahir hota hai. yeh up trained ya down trained ke douran ho sakta hai. down trained ke douran taizi ke ulat jane ke liye, pehli candle aik lambi kaali ( neechay ) candle hai, aur doosri candle neechay ki taraf jati hai lekin phir onche ho jati hai, pehli mom batii ke qareeb qareeb. is se zahir hota hai ke baichnay walay control mein thay, lekin ho sakta hai ke woh is control ko kho rahay hon kyunkay khredar is farq ko kam karne mein kamyaab ho gaye thay. up trained ke douran mandi ke ulat jane ke liye, pehli candle aik lambi safaid ( oopar ) candle hai, aur doosri mom batii khalaa ziyada hai lekin phir neechay band ho jata hai, pehli mom batii ke qareeb . Key Takeaways Taizi ke jawabi hamlay ki lakerain down trained se up trained mein mumkina ulat jane ka ishara deti hain . bearish kavntr attack lines up trained se down trained mein mumkina ulat jane ka ishara deti hain . patteren mukhalif rang / simt ki do mom btyon par mushtamil hai. patteren ke baad agli qeemat ki simt ki tasdeeq karne wali teesri aur / ya chothi mom batii ke istemaal ki sifarish ki jati hai . Understanding patteren se pata chalta hai ke khredar up trained ke douran control kho rahay hain ya baichnay walay neechay ke rujhan mein control kho rahay hain . Characteristics 1)-market mandi ka shikaar hai . 2)-pehli mom batii siyah hai ( neechay ) lambi asli body ke sath . 3)-doosri mom batii khuli jagah par neechay hai, aik haqeeqi jism ke sath safaid hai jo pehli mom batii ke size se millti jalti hai, aur pehli mom batii ke qareeb ke qareeb band hojati hai . yeh chart patteren doosri mom batii ke khilnay par mojooda rujhan saazi ki simt mein aik khala ki khasusiyat rakhta hai, is ke baad khalaa ko band karne ke liye mukhalif simt mein aik mazboot harkat hoti hai. ibtidayi rujhan ke ghair paidaar honay ke sath, market ka rukh morta hai aur qeematein doosri simt bhijti hain ( doosri mom batii ki simt ) .
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Bullish Counterattack Line Candlestick Pattern
      Bullish counter attack line candlestick pattern main dosre din ki candle previous din ki candle k bottom par gap main open ho kar ussi k closing point par close hoti hai. Bullish counter attack line candlestick pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik bearish candle hoti hai, jab k dosre din ki candle aik bullish candle hoti hai. Pattern ki dosre din ki bullish candle pehli din ki bearish candle k current trend k asarat ko kam karti hai, ynni bullish candle bearish candle k lower side par gap main khulti hai, jab k close ussi k same closing point par hoti hai. Pattern ki bullish candle bearish candle se nechay gap main open hoti hai, lekin ye gap bullish candle ki real body se cover hota hai, jiss ka iss waja se andaza ya clear nazar nahi ata hai.
      Candles Formation
      Bullish counterattack line candlestick pattern main shamil candles bearish aur bullish pattern ki hoti hai, jo k prices k bullish trend reversal k leye istemal hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k lower par open ho kar ussi k closing line par same close hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
      1. First Candle: Bullish counter attack line candlestick pattern ki pehli candle market k current trend k mutabiq aik bearish trend hoti hai, jiss ka close price open price k se nechay hota hai. Bearish candle shadow samet ya uss k bagher ho sakti hai, jo k real body main hoti hai.
      2. Second Candle: Bullish counter attack line candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k bottom par gap main open ho kar ussi k higher par same close price par close hoti hai. Dosri candle lazmi real body main main honi chaheye aur pehli candle k close point se pehle ya baad main close nahi honi chaheye.
      Explanation
      Bullish counterattack line candlestick pattern price chart par uss waqat banti hai, jab bhi sellers market main dilchaspi lena kam kar dete hen. Ye pattern prices k bottom par ya bearish trend main ban kar market ka trend bullish reversal bana deta hai. Pattern main shamil dono candles real body main honi chaheye, jiss main dosri candle pehli candle se se nechay gap main open hoti hai. Pattern ki banne ki psychology kuch iss tarah se hai, jiss main sellers price ko pehle nechay push karte hen, jiss se bullish candle bearish candle se nechay gap main open hoti hai, lekin baad main sellers ki prices k bottom main mazeed dilchaspi nahi rehti hai, aur ussi waqat buyers market main ziada active ho jate hen. Baaz dafa ye pattern koi strong news release hone k baad prices k bottom main banta hai.
      Trading
      Bullish counter attack line candlestick pattern trading k leye aik strong bullish signal deta hai, jiss se buyers market main entry karte hen. Pattern k baad aik Bullish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main honne k sath sath dosri candle k top par close honi chaheye. Lekin bearish candle banne ki sorat main trade entre karne se parhez karen. Trend confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main honi chaheye. Pattern do candles ka hota hai, iss waja se stop loss ka istemal zarori hai. Stop Loss pattern k sab se lower position ya dosri candle k open price se two pips below par set karen.

      اب آن لائن

      Working...
      X