Rising Three Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Rising Three Candlestick Pattern
    Rising Three Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Rising Three Candlestick Pattern Rising Three Candlestick Pattern aik taizi ke tasalsul ka namona hai jo aik lambi blush candle par mushtamil hai, is ke baad teen choti bearish candles, aur phir aik aur lambi blush candle. yeh patteren aam tor par mazboot izafay ke baad hota hai aur yeh batata hai ke bail ab bhi market par control mein hain . Pattern mein pehli candle aik lambi blush candle hai, jo khareed ke mazboot dabao ki numaindagi karti hai. agli teen mom batian choti bearish candles hain jo traders ki taraf se oopar ke rujhan ya munafe lainay mein waqfay ki numaindagi kar sakti hain. taham, yeh mom batian pehli mom batii ke neechay band nahi honi chahiye. panchwin candle aik aur lambi blush candle hai jo up trained ke tasalsul ki tasdeeq karti hai . Rising Three Candlestick Patternaik qabil aetmaad signal hai, khaas tor par jab yeh mazboot up trained ke baad zahir hota hai. tajir taweel pozishnon mein daakhil honay ya mojooda long positions mein izafah karne ke liye is patteren ka istemaal kar satke hain. taham, taajiron ko tijarti faislay karne se pehlay patteren ki tasdeeq ke liye deegar takneeki isharay aur tajzia bhi istemaal karna chahiye . Identification of Rising Three Candlestick Pattern Rising Three Candlestick Pattern ki nishandahi karne ke liye, un iqdamaat par amal karen : Look for a strong uptrend : Rising Three Candlestick Pattern aam tor par mazboot up trained ke baad hota hai . Identify the first long bullish candle : Pattern mein pehli mom batii aik lambi blush candle hai jo mazboot khareed dabao ki numaindagi karti hai . Look for the three small bearish candles : Agli teen mom batian choti bearish candles honi chahiye jo traders ki taraf se oopar ke rujhan ya munafe lainay mein waqfay ki numaindagi kar sakti hain. taham, yeh mom batian pehli mom batii ke neechay band nahi honi chahiye . Identify the fifth long bullish candle : Panchwin candle aik aur lambi blush candle hai jo up trained ke tasalsul ki tasdeeq karti hai . Confirm the pattern : Aik baar jab aap patteren ki shanakht kar letay hain, to is ki tasdeeq deegar takneeki isharay ya tajzia se karna zaroori hai . Make a trading decision : Agar aap pattern ki tasdeeq karte hain, to aap long position mein daakhil honay ya mojooda long position mein izafah karne par ghhor kar satke hain . Yeh note karna zaroori hai ke barhatay hue teen candle stuck patteren hamesha qabil bharosa nahi hota hai aur is ki tasdeeq deegar takneeki isharay aur tajzia se ki jani chahiye .
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Rising Three Methods Pattern
      Rising three candlestick pattern price chart k bullish trend ya high prices main uss waqat banta hai, jab market par bears aik nakam koshash karte howe prices ko bearish trend reversal karne ki koshash karte hen, jiss k nateejay main prices bulls market ka control dobara hasil karte hen aur bears k jo thore bohut imkanat they, trend reversal k wo sare khatam ho jate hen. Iss qisam ka pattern aksar aik jaal ka kaam karta hai aur jo bears market mein enter hona chahtay hen, inhen is baat ko yakeeni banana chahiye ke aik long bearish candle, jis ki close price pehli bullish candle ki height ya open price se kam ho, banni chaheye, tab hi market main bearish trend reversal hoga, nahi to small bearish candles k asarat last bullish candle ki waja se khatam ho jate hen.
      Candles Formation
      Rising three candles pattern panch ya uss se ziada candles par mushtamil aik bullish trend continuation pattern hai, jiss main pehli aur akhari candle aik long real body wali bullish candles hoti hai, jab k darmeyan main banne wali candles taqreeban tamam small real body main hoti hai, jiss ki tafseel darjazzel hai; 1. First Candle: Rising three candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, aur iss ki main reason ye hoti hai, q k ye pattern aik bullish trend main banta hai. Ye candle aik long real body main hoti hai, jiss se prices k bullish trend ki mazboti ka andaza hota hai. 2. Second Candle: Rising three candlestick pattern ki dosri candle aik small real body wali bearish candle hoti hai, jo pehli candle k baad open ho kar low price par close hori hai. Ye candle selling pressure ki waja se to banti hai, lekin ziada strong reaction nahi deti hai, q k candle ki real body bohut small hoti hai. 3. Third Candle: Rising three candlestick pattern ki teesri candle bhi same dosri candle ki tarah aik small real body main banti hai. Ye candle dosri candle k bottom par to banti hai, lekin pehli bearish candle k close price se lower par close hoti hai, jiss se andaza hota hai, k ye candle bhi ziada strong reaction nahi deti hai. 4. Fourth Candle: Rising three candlestick pattern ki fourth candle bhi same small bearish candles ki tarah small real body main aik bearish candle hoti hai, jiss ka close price open price se lower par hota hai. Ye candle bhi sellers ki market main maojodgi ka ihsas delati hai, lekin ziada strong real body na hone ki waja se prices par ziada asar andaz nahi hoti hai. Ye candle bhi pehli bullish candle ki real body main banti hai. 5. Fifth Candle: Rising three candlestick pattern ki last candle aik bullish candle hoti hai, jo last bearish candle k baad open ho kar, aik bari bullish real body banane k baad higher side par close hoti hai. Ye candle market main aik mamoli waqfe k baad buyers ki wapasi zahir karti hai, jiss se wo prices ko teezi k sath ooper ki taraf push karte hen.
      Explanation
      Rising three candlestick pattern banne se pehle market mein bullish trend ka hona zarori hai, iss waja se patteren mein pehli candle aik lambi bullish candle hoti hai, jo is baat ki nishan-dahi karti hai, k pattern k aghaz main bulls market par hawi hai. Bullish trend k dowran kuch investors koshash karte hen, k humen bullish market se exit karna chaheye, iss waja se pattern ki agli candle aik small real body wali bearish candle banti hai. Pattern ki dosri bullish candle ko dekh kar mazeed sellers market main entry kar jate hen, jiss se agli do candles bhi small real body wali bearish candles banti hai, lekin ye candles pehli candle k open prices se nechay nahi jati hen, yanni pattern ki teeno small bearish candles pehli bullish candle k inside main open aur close ho jati hai. Pattern ki akhari candle aik strong bullish candle banti hai, jo teeno small bearish candles k top par close hoti hai jiss se market k bearish trend reversal k imkanat ko khatam karke prices ko same bullish trend main continue kar deya jata hai.
      Trading
      Rising three candlestick pattern price chart par bohut kam bante hen, lekin iss k asarat bohut strong hote hen, jiss se market main buy ki entry ki ja sakti hai. Ye pattern market k bullish trend main aik mamoli sa waqfa banane k baad prices ko same bullish trend main tasalsul jari rakhta hai. Pattern par trading karne se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main aik bullish candle honi chaheye aur last candle k top par close bhi honi chaheye. Pattern uss waqat invalid hoga, jab bhi iss ka baad aik bearish candle banegi, ya bullish candle last candle k bottom par close hogi. Indicator jaise RSI, CCI, MACD ya stochastic oscillator se confirmation lene k leye inn ki trading value darmeyan se above hona chaheye. Jab k pattern ka Stop Loss sab se bottom price ya pehli candle k open position se two pips below set karen.

      اب آن لائن

      Working...
      X