Bearish Doji-Star Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Doji-Star Candlestick Pattern
    Bearish Doji-Star Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bearish Doji-Star Candlestick Pattern
    Bearish doji-star candlestick pattern aik bearish trend reversal pattern hai, jo price chart par do candles se mel kar banta hai. Pattern main shamil pehli candles bullish hoti hai, issi waja se pattern k leye prices ka pehle se high area ya bullish trend main hona zarori hai. Two days candles ki accuracy single day pattern se behtar hota hai, q k iss main aik candle thori bohut confirmation bhi deti hai. Jab bhi market main buyers prices ko aik khas level tak ooper push karte hen, to yahan par trend reversal k imkanat ziada hote hen, ye trend confirmation aksar kuch pattern se confirm ho jati hai, jiss main bearish doji-star pattern bhi shamil hai.
    Candles Formation
    Bearish doji-star candlestick pattern prices k uptrend ya higher par low demand ki waja se banta hai, jahan par trend reversal k ziada imkanat hote hen. Pattern main shamil candles mukhtalif pattern ki yanni bullish aur doji candle hoti hen, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai; 1. First Candle: Bearish doji-star candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices ko uptrend ya bullish trend ki akasi karti hai. Ye candle bullish trend ko mazeed ooper ki taraf push karti hai, aur market main high demand ko zahir karti hai. Ye candle aik normal real body wali candle hoti hai. 2. Second Candle: Bearish doji-star candlestick pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jo k ziada tar aik doji star candle hoti hai. Ye candle pehli candle k upper side par banti hai, ye candle pehli candle se upper side par gap main bhi ban sakti hai, lekin candle ka open aur close same point par hona chaheye. Ye candle bullish trend k khatme ka bahis banti hai.
    Explanation
    Bearish doji-star candlestick pattern prices main bullish trend k dowran ban kar prices ko mazeed ooper jane se rok leti hai. Ye pattern aik strong trend reversal ka signal deti hai. Pattern two days candles par mushtamil hai, jiss ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jo k prices k bullish ya upward trend ki alamat hoti hai. Pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, aur ya candle ziada tar aik doji star candle hoti hai aur ye pehli candle ki real body ki ooper outer side main bhi banti hai, jiss se prices ka mazeed upside rise ruk jata hai. Ye pattern dekhne main same to same half evening doji-star pattern jaisa lagta hai, lekin evening doji-star candlestick pattern teen candles ka hone ki waja se iss pattern se mukhtalef hota hai.
    Trading
    Bearish doji-star candlestick pattern prices k top main banne ki waja se aik bearish signal genrate karta hai, jiss par market main sell ki entry ki ja sakti hai. Pattern par trade enter karne se pattern ki dosri candle k baad aik confirmation candle ki zarorat parti hai, jo k real body main aik bearish candle honi chaheye, aur ye candle doji candle k bottom par close bhi honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss ki value overbought zone main honi chaheye. Pattern k baad bullish candle se pattern invalid tasawar kia jayega. Pattern ka Stop Loss sab se upper ya dosri candle k higher price se two pips above set karen.
     

    اب آن لائن

    Working...
    X