explain evening Doji star candle stick pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    explain evening Doji star candle stick pattern
    explain evening Doji star candle stick pattern
     
    دیتے جائیںThanksحوصلہ افزائی کے لیے
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    what is evening Doji star candle stick pattern evening Doji star candle stick pattern aik bearish trend reversal candle stick pattern hota hey jo keh evening candle stik pattern say melta julta candle stick pattern hota hey evening star candle stick pattern par dosree line par Doji candle stick pattern ke zarorat hote hey Doji candle stick kay price kay gap say pehlay or es kay bad nahe hona chihay ager forex market mein Doji candle stick kay lower hesay par koi shadow nahe hona chihay or dosree line kay shadow kay per rakha jana chihay to hum forex market mein bearish abandoned baby candle stick pattern say nematay gein aisa hota hey jab 2 pehle candle stick Bearish Doji star candle stick pattern bana rehe hote hey yeh pattern bhe har dosray candle stick pattern ke tarah hota hey aglay candle stick ke support zone ya trend line say out ke confirmation ke jane chihay ager confirmation ho jate hey to es ke tesaree line resistance kay area kay tor par kam kar sakte hey tahum aisa hota hey keh price kay resistance mein mazeed ezafay say pattern mein aik short gap hota hey evening Doji star candle stick pattern ke pehchan ap forex market kay chart pattern par es ke pehchan kar saktay hein jes kay ley chand tafselat ko yad rakhna zaroore hota hey sab say pehlay ap ko maloom hona chihay keh pattern serf up trend kay doran banana chihay jo keh Doji evening star candle stick pattern hota hey forex market mein pehle candle stick bullish hte hey jo keh yeh batate hey keh bulls abhi bhe game mein hotay hein agle candle stick Doji evening star candle stick hote hey jo keh forex market mein buyer or seller kay darmean mein jang ko wazah kartay hein end mein tesaree candle stick bearish ka shekar ho jate hey jes say yeh zahair hota hey keh bullish trend tabdel honay wala hota hey GBP/USD chart pair oper deya geya hey keh forex market mein Doji evening star candle stick pattern kay zahair honay kay bad price mein zabardast kame aa sakte hey jaisa keh frex chart mein daikha geya hey pehle candle stick aik long bullish candle stick hote hey es kay bad aik chote Doji evening star candle stick hote hey or last ke candle bearish candle stick hote hey jo keh es bat ko identify karte hey market mein trend tabdel honay walla hey nechay dey gay pints woh points hein jo keh evening star Doji ke pehchan mein madad kartay hein up trend kay doran forex market mein pattern ko talash karna chihay pehle candle stick aik long bullish candle stick hone chihay es kay bad dosree candle stick evening star Doji candle stick hote hey jo keh frex market mein aik chote body or long upper wick kay sath indicate hote hey last candle stick jo keh forex market mein es bat ke confirmation karte hey tesaree bearish candle stick kay bad agle candle kay mokamal honay kay bad forex market mein enter hona chihay trade with Doji evening star candle stick pattern Doji evening star par trade ka chance talash karnay kay ley aik bohut he effective pattern ho sakta hey ager ap es ke saki tarekay say pehchan kar saktay hein tahum dosay candle stick pattern ke tarah ap ko yeh bhe sekhna chihay keh forex market mein es ke trade kaisay ke jay es kay ley ap ko maloom hona chihay keh ap ke entry or exit level kahan par hein evening Doji star ka analysis karnay kay ley ap ko relative strength index ko bhe estamal karna chihay ap ko frex market kay overbought kay hallat par towajah markoz karna chihay kunkeh yeh pattern forex market kay up trend kay end mein zahair hota hey ager RSI overbought zone kay kareeb hota hey to RSI ka overbought 70 or 80 kay belkul kareeb ho jata hey to forex market mein trend reversal honay wala hota hey chonkeh Doji evening star kay zahair honay kay sath ap ko forex market mein enter hona chihay RSI aik or signal frahm karta hey jo keh trend ko tabdel karnay wala hota hey stop loss kay ley ap ko recently swing high or pehle bullish candle stick kay high tareen level par order day saktay hein or take profit kay ley ap recently swing low par order day saktay hein ap os time tak trade kar saktay ho jab tak RSI selling ke 30 level yane keh oversold level tak pohnch na jay ager 30 ke level cross ho jay to trade say out ho jain ager ap ko bohut jald trade mein entry kay ley yaqeen nahe hota hey to ap RSI divergence ko bhe daikh saktay hein jo forex market mein trade talash karnay ka aik or behtareen tareka hota hey jaisa keh ap nechay daikh saktay hein keh price low high bana rehe hey or RSI zyada low ho raha ey or trend mein tabdele ke taraf eshara hota hey
     
    دیتے جائیںThanksحوصلہ افزائی کے لیے
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Evening Doji-Star Candlestick Pattern
      Evening doji-star candlestick pattern aik bearish trend reversal pattern hai, jo k prices k intehaye higher position ya bullish trend k baad bantta hai. Ye pattern aik unique qissam ka pattern hai, jo bohut kam hi prices main nazar atta hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hotta hai. Jiss main pehlee candle aik strong bullish trend ki alammat hotti hai, aur dosree candle aik doji candle (umoman star doji candle hotti hai, lekin zarori nahi hai) hotti hai, jo k bullish candle se gap main open aur close hotti hai. Last candle aik bearish candle hotti hai, jo k doji star candle se below gap main open aur close taqreeban pehlee candle k midpoint se ziada ya bullish candle k open price k barabar hotti hai.
      Candles Formation
      Evening doji-star candlestick pattern eik bearish trend reversal pattern hai, aur high prices area main bhi bannta hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli bullish candle, dosri doji candle aur teesri aik bearish candle hotti hai, aur ye candles darrjazel format main honi chaheye ; 1. First Candle Bearish Evening doji-star candlestick pattern main pehlee candle aik strong aur long real bidy wali white ya green yanni bullish candle hotti hai, jo k market k bullish trend ki mazzboti ki tarraf ishara kartti hai. 2. Second Candle: Evening doji-star candlestick pattern main dosree candle aik doji candle bannti hai, jo umoman ya ziddar tar star doji candle hotti hai. Iss candle ki opening aur closing price same hi hotti hai. Ye candle pehlee candle se gap main open aur close hotti hai. 3. Third Candle: Evening doji-star candlestick pattern ki teesri candle aik strong aur long real body wali bearish candle hotti hai, jo k dosree candle se gap main below open hotti hai, jab k close bullish candle k body ya bottom par hotti hai.
      Explanation
      Evening doji-star candlestick pattern aik strong bearish trend reversal pattern hai, jo k dekhne main bulkul bearish abandoned baby candlestick pattern ki tarah hotta hai, lekin doji candle ki dosre candles se gap k difference ki waja se ye pattern "Bearish Abandoned Baby Candlestick Pattern" se bohut mukhtalif ban jatta hai. Ye pattern prices k uptrend ya high price area main bannta hai, jahan se ye trend reversal ka kaam kartta hia. Evening doji-star candlestick pattern teen candles par mushtamil aik trend reversal pattern hai, jiss main pehlee candle color main white ya green yanni bullish trend wali candle hotti hai, ye candle long real body main banne ki waja se bullish trend ki mazbotti ki alammat hotti hai. Dosre din ki candle aik doji candle hotti hai, jo k prices ko temporary pause kar detti hai aur iss candle ka opening aur closing price same hotti hai. Ye candle pehlee candle se gap main ooper ki tarraf bantti hai. Pattern ki teesri candle aik strong bearish candle hotti hai, jo k dosree candle se gap main open hotti hai aur close bullish candle main ya uss se nechay ja k hotti hai. Ye candle prices k bearish trend reversal ka sabab banti hai.
      Trading
      Evening doji-star candlestick pattern par trading karnne k leye market aap ko sell ki entry karnni paregi, lekin pattern par bagher trend confirmation k trade laggana bohut ziadda riski hai. Ye pattern banntta to bullish trend main hai lekin ye zarrori nahi k prices lazzmi bearish reversal honggi. Pattern par trade se pehle dosre technical indicators se market ki trend confirmation karlen, aggar market ki confirmation price action jaise pattern k baad aggli candle bhi bearish bannti hai to ye trend confirmation ho jatti hai. Confirmation candle k baad market main sell ki entry karen aur Stop Loss k leye market ka sab se upper position, jo k umoman doji candle ka high position banega se two pips above par set karen.

      اب آن لائن

      Working...
      X