WHAT IS Dark Cloud Cover Pattern?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    WHAT IS Dark Cloud Cover Pattern?
    WHAT IS Dark Cloud Cover Pattern?
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    al pattern hai jo is waqt bantaa hai jab aik lambi blush candle ke baad aik lambi bearish candle aati hai jo pichli candle ki oonchai ke oopar khulti hai aur pichli candle ke wast factor ke neechay band hojati hai. Is pattern ko bearish out side vertical baar ke naam se bhi jana jata hai. Pattern is waqt bantaa hai jab marketplace mein taizi ka rujhan hota hai aur is ki khasusiyat aik lambi blush candle ke baad hoti hai jis ke baad aik lambi bearish candle hoti hai. Bearish candle pichli candle ki oonchai se oopar khulti hai, jo is baat ki nishandahi karti hai ke bail ab bhi market par manipulate mein hain. Taham, jaisay jaisay bearish candle agay barhti hai, yeh ultana shuru ho jati hai, jis se zahir hota hai ke reechh marketplace par manipulate haasil karna shuru kar rahay hain. Understanding Technical Analysis pattern aik bearish reversal pattern hai, jis ka matlab hai ke yeh rujhan ke mumkina ulat jane ki nishandahi karta hai. Jab yeh namona kisi chart par zahir hota hai, to yeh batata hai ke bail marketplace par apna control kho rahay hain, aur reechh is par qabza kar rahay hain. Yeh pattern traders ke liye marketplace mein mandi ki position lainay ka ishara hai. Pattern ko ziyada qabil aetmaad samjha jata hai agar yeh lambay lambay rujhan ke baad hota hai. Is ki wajah yeh hai ke pattern se pehlay wali lambi blush candle batati hai ke bail market par control mein hain, sample ke zahir honay par usay mazeed ahem banata hai.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Dark Cloud Cover Pattern
      Dark cloud cover pattern aik strong Bearish trend reversal pattern hai, jo k prices k uptrend ya high price area main banta hai. Ye pattern dekhne main same "Bearish Belt-Hold Candlestick Pattern" ya "Bullish Thrusting Line Pattern" jaisa dekhaye deta hai, lekin dosri bearish candle ki shape thori si difference honne ki waja se ye uss mukhtalif ban jata hai. Ye pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle bullish aur dosri Bearish candle hoti hai. Bearish candle ki haseyat ye hai k ye candle aik to bullish candle se above gap main banti hai aur dosra ye candle close pehli candle k midpoint se nechay hoti hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai.
      Candles Formation
      Dark cloud cover pattern trend reversal pattern honne ki waja se prices k top par ya bullish trwnd main banta hai, jiss se prices apne trwnd ko badalne main majboor ho jati hai. Pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss ki tafseel darjazzel hai; 1. First Candle: Dark Cloud Cover Candlestick Pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish candle honi chahie, jo k bullish trend ya high prices ko zahir karti hai. Ye candle white ya green color main hoti hai. 2. Second Candle: Dark Cloud Cover Candlestick Pattern ki dosri candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jo k pehli candle k top par open ho kar ussi k midpoint se nechay close hoti hai. Ye candle lazmi 50% se nechay close honi chaheye. Ye candle volor main black ya red hoti hai.
      Explanation
      Dark cloud cover pattern two days candle ka aik Bearish trend reversal pattern hai, jo k bullish trend ya high prices area main banta hai. Dark cloud cover pattern k opening side par aik small wick ya shadow honi chaheye hai, q k issi tarah se ye pattern belt-hold line pattern se mukhtalef ban jata hai. Ye pattern prices k top par do candles se mel kar banta hai, jiss main pehli candle aik bullish candle hoti hai, jiss k baad aik bearish candle above gap main ban kar bullish candle k real body main darmeyan se nechay aur open price se ooper close hoti hai. Bearish candle ka bullish candle k open price se above lazmi close hona zarori hai.
      Trading
      Dark cloud cover pattern ki pehli candle normal bullish trend wali candle hoti hai, jo k prices k bullish trend ki alamat hoti hai, jab k dosri candle pehli candle k upper gap main open honne k bawajood close pehli candle k 50% se below area main hoti hai, jiss se dosri candle ki mazboti zaher hoti hai. Pattern par trading se pehle market ka uptrend ya prices ka high honna zarori hai. Pattern par trading se pehle trend confirmation ka honna zarori hai. Trend confirmation price action se bhi ho sakti hai aur kisi reliable indicator se bhi ho sakti hai. Pattern k dosri candle k bad agar aik real body bearish candle banti hai, to yahan par market main entry ki ja sakti hai. Stop Loss pattern k sab se highest point jo umoman dosree candle ka upper ya open banta hai, se aik ya do pips above par set karen.

      اب آن لائن

      Working...
      X