Trailing stop loss in forex?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trailing stop loss in forex?
    Trailing stop loss in forex?
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Trailing stoploss pattern forex trading mein aik technique hai, jisay traders istemal kartay hain apni trades ki risk management aur profit booking ke liye. Is technique mein traders apnay stoploss order ko trade ki movement ke sath sath adjust karnay ka tareeqa istemal karte hain. Trailing Stoploss Pattern, Forex Trading mein aik popular risk management tool hai jo traders ko apni investments ko control karne mein madad deta hai. Is pattern ko traders apni trades mein istemaal karke apni positions ko protect kar sakte hain. Agar aap Forex Trading ke liye Trailing Stoploss Pattern ke baare mein janna chahte hain to is article ko zaroor padhen. Trailing Stoploss Pattern ki Definition Trailing Stoploss Pattern, ek aisa risk management tool hai jisse traders apni trades ke liye stop loss level ko set kar sakte hain. Jab trade profit mein chal raha hota hai, to stop loss level ko upar ki taraf move karte rehne se, trader ki position automatically protect hoti rehti hai. Trailing Stoploss Pattern ka Istemaal Trailing Stoploss Pattern, traders ki investments ko protect karne mein madad karta hai. Is pattern ko istemaal karne ke liye, traders apni trades ke liye stop loss level set karte hain. Agar trade profit mein chal raha hai, to stop loss level ko profit ke hisaab se move karte rehna hota hai. Trailing Stoploss Pattern ka Kaam Kaise Karta hai Trailing Stoploss Pattern ka kaam aik simple tareeqe se karta hai. Jab trader ki position profit mein chal rahi hoti hai, to stop loss level ko upar ki taraf move karte rehna hota hai. Agar price, stop loss level se below chala gaya, to position automatically close ho jati hai. Is tarah se, Trailing Stoploss Pattern traders ko apni investments ko protect karne mein madad deta hai. Trailing Stoploss Pattern ke Benefits Trailing Stoploss Pattern ka istemaal karne se traders ko kai benefits hasil ho sakte hain. Ye benefits aksar traders ke liye khaas tor par hotay hain jo apni investments ko protect karna chahte hain. Kuch benefits is tarah se hain: Traders apni trades ko control mein rakh sakte hain Traders apni investments ko protect kar sakte hain Traders ko apni trades ke liye kam risk ka samna karna padta hai Trailing Stoploss Pattern, traders ko trade ko aur zayada profitable banane mein madad deta hai. Trailing Stoploss Pattern ki Examples Trailing Stoploss Pattern ka istemaal karne ke liye kai examples hain. Kuch examples is tarah se hain: Agar trader ki position 50 pips profit mein chal rahi hai, to wo stop loss level ko 20 pips upar move karna chahta hai Agar trader ki position 100 pips profit mein chal rahi hai, to wo stop loss level ko 50 pips upar move karna chahta hai In examples mein trader ki position ko protect karne ke liye stop loss level ko profit ke hisaab se move kiya ja raha hai. Trailing Stoploss Pattern Kaisay Kaam Karta Hai Jab traders trading mein enter kartay hain, tou woh typically stoploss order bhi lagatay hain. Stoploss order aik level hota hai, jahan traders ko trade close karna hota hai, agar price us level tak jaata hai. Is technique mein traders apnay stoploss order ko adjust kartay rahen gay, jab tak price unki favor mein move kar raha hai. Trailing Stoploss Pattern Istemal Karnay Kay Faiday Trailing stoploss pattern istemal karnay kay kayi faiday hain. Ye traders ko allow karta hai apni trades ko open rehne denay ke saath saath, unki profit booking bhi karne ki flexibility deti hai. Agar price apni favor mein move kar raha hai, tou traders apnay stoploss order ko adjust kartay rahen gay, aur agar price against unki position move karta hai, tou stoploss order ko adjust karke apni losses ko control kar saktay hain. Conclusion: Trailing Stoploss Pattern, Forex Trading mein aik important risk management tool hai. Traders apni trades ko control mein rakhne ke liye is pattern ka istemaal kar sakte hain. Is pattern ko istemaal karne se traders apni investments ko protect kar sakte hain aur trade ko aur zayada profitable bana Trailing stoploss pattern forex trading mein aik popular technique hai, jo traders ko allow karta hai apnay trades ki risk management aur profit booking ko improve karnay ke liye. Is technique ko istemal karnay se pehlay, traders ko market conditions aur apni trading strategy ke baray mein thorough analysis karna chahiye.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!

      Trailing Stop Loss


      Click image for larger version

Name:	images - 2024-01-02T125848.482.jpeg
Views:	19
Size:	33.3 کلوبائٹ
ID:	12801264

      Trailing stop loss aik khas qisam ka stop loss order hota hai, jiss main traders k risk ko manage karte howe profit ko mehfoz banaya jata hai. Ye strategy kisi stock par trades k open karne k sath uss se aik khas percentage k hisab se exit karne k leyw set kia jata hai.
      Trailing stop loss profit ki sorat main stock prices k sath sath move karta rehta hai, lekin agar kisi point par stock profit side par movement rook leta hai, ya stock pehle se hi loss main move karna shoro karta hai, to uss sorat main trailing stop loss ruk jata hai. Jab tak k ya to wo loss main hit na ho jaye aur ya market dobara profit main move na karna shoro kar den.

      Trailing Stop Loss (Order) Example:
      Agar aap koi XYZ stock ko $100 par buy karte hen aur trailing srop loss ko 5% par det karte hen, to jab bhi agar in case trade loss main jata hai, to market k 5% loss main jane k par aap ka order khud bakhud 5% k loss par close ho jayega.
      Ab agar aap ki trade ko profit main move karte hen, to uss sorat main trailing stop loss apni position ki bajaye trades k profit k sath sath 5% k difference k sath move karta rahega. Jaisa agar matloba trade proft main $200 par chala jata hai to trailing stop loss 5% k hisab se $190 par automatically set ho jayega.

      Trailing Stop Loss

      Forex trading me hum trailing stop loss ko us waqat istemal karte hen, jab aik share (stock) ki qeemat muqarara stah tak kam ho jaye to mazeed nuqsan ko rokhne k leye position khud bakhud market mojoda market ki qeemat par ferokht ho jayegi. Trailing stop orders ye trailing stop loss hamen bohut faida deti hai q k is se hamen loss ka ziada hadsha nahi hota.
      Jab bhi hum market me kisi pair pe trialing stop lagate hen to ye market ki orders ko apne sath khenchti hai. Us waqat jab qeemate last tak mazeed barhti howi jati hai to us waqat naye stop loss ki qeemat baqi rehti hai. Trailing stop loss khud bakhud traders ki hifazat karta hai aur us se trading ki account ki safety hoti hai.
      Misal k tawar par aik trader 100$ pe buy trade open karta hai aur wo stop loss 90$ pe select karta hai. To agar trade ki qeemat uper 130$ pe chali jati hai to trailing stop loss se wo stop loss ko bhi usi hisab se apne pass khench kar 120$ pe laga dega. Pher bhi hamare pass trading me 20$ ka munafa auto pe a jayega.

      Trailing Stop Loss ka Tareeqay kar
      • Trailing stop loss ko aam tawar do tareeqo se set kia ja sakta hai, aik hai automatically, jiss main brokers apne software par apne traders ko ye sahulat muhaya karte hen, aur jiss k set karne se trailing stop loss khud bakhud trades k profit k sath shift hota rehta hai, jab k loss ki sorat main ye apni jagah par rehta hai, jiss se ziada loss nahi hota. Mt4 platform main trailing stop loss ka option nahi hai, jiss se traders mustafeed hon, ye ya to brokers ko call karke ya agar broker k apps main maojodd ho to iss ka istemal kia ja sakta hai.
      • Dosra tareeqa manually hai, jiss main trader baar baar apne trades ki nigrani karte rehte hen, jab bhi trader ka trade profit main move karta ahi, to uss k sath wo apne stop loss ko ussi munasibat se khud shift karta hai, jab k loss ki sorat main wo apne stop loss ko tabdeel nahi karta hai. Mt4 platform main sirf issi tareeqay se hi trailing stop loss ka istemal kia ja sakta hai.



      Limitation Of Trailing Stop Loss

      Trailing stop loss aik bohut hi behtareen sahulat hai aur ye trading ko profit main hi close karta hai, jab k loss ki sorat main ziada loss se mehfozz banata hai, lekin iss ki bhi kuch limitations hen jiss ka janna bohut zarori hai;
      Trailing stop loss ko short term ki trading ya retracement ki waja se istemal nahi ka skata hai, prices kabhi bhi same aik hi trend main musalsal move nahi karti hai, bulke ye retracement k hisab se higher high aur lower low k mutabiq upward ya downward move karti rehti hai, lekin trailing stop loss ki sahi position ya ziada short percentage par set honne se ye jaldi hit ho sakta hai, jiss se trading ka faida nahi rehta ya bohut kam muangfa melta hai.
      Trailing stop loss aik automatically tareeqay kar k mutabiq set hota hai, yanni selection trader khud se karta hai, lekin iss ki further movement trades k sath khud ba khud hoti rehti hai. Jab bhi app trailing stop loss set karen to uss ki position aur trades se percentage ko sahi position par lagayen takeh ziada jaldi ye hit na ho.

      Trading

      Trailing stop loss har sorat main aik trader k leye ziada behtar hai, aggar traders iss k leye sahi position ka intekhab karta hai. Trailing stop loss ko apne trading risk reward ya trading plan k mutabiq set karen. Yanni jiss atarh se aam stop loss ki position set ki jati hai uss k mutabiq trailing stop loss ka bhi intekhab karen.
      Jiss stock par bhi trade open karne ka irrada ho to uss stock ki pehle se retracement position ka sahi tareeqay se mutalea karen, k retracement stocks k kitne percent par hota hai, aur dosra uss stock ki reversal ko bhi dekh len, trailing stop loss iss position par hamesha faida dega.


      اب آن لائن

      Working...
      X