Tasuki Gap Down Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Tasuki Gap Down Pattern
    Tasuki Gap Down Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    What is Tasuki Gap Down Pattern Tasuki gap aik candle stuck chart patteren hai jo stock market mein mumkina rujhan ki tabdeeli ki nishandahi karsaktha hai. patteren is waqt bantaa hai jab koi stock aik farq neechay karta hai, aur phir simt ko tabdeel karne aur oopar jane se pehlay, kuch dinon tak neechay tijarat karta rehta hai. gape down is waqt hota hai jab stock –apne pichlle band se kam khilta hai, jis se qeemat ke chart mein bara farq peda hota hai . Tasuki gap patteren ko bearish reversal patteren samjha jata hai, kyunkay yeh batata hai ke stock ka neechay ki taraf rujhan jari reh sakta hai. taham, yeh note karna zaroori hai ke yeh patteren rujhan ke ulat jane ki zamanat nahi hai, aur sarmaya kaari ka koi bhi faisla karne se pehlay is ki tasdeeq deegar takneeki isharay aur tajziye se honi chahiye . Is baat ko zehen mein rakhna bhi zaroori hai ke khala ko kabhi kabhi pur kya ja sakta hai, yani is khalaa ko pur karne ke liye stock ki qeemat wapas oopar ja sakti hai. is liye, mumkina rujhan ke ulat jane ki tasdeeq ke liye waqfay ke baad stock ki qeemat ki karwai ki ahthyat se nigrani karna zaroori hai . Tasuki Gap Down Pattern Importance In Trading Tasuki gap down patteren ko takneeki tajzia aur tijarat mein aik ahem patteren samjha jata hai, kyunkay yeh taajiron ko stock market mein mumkina rujhan ki tabdeeli ki nishandahi karne mein madad karsaktha hai. is patteren ko pehchan kar, traders mumkina tor par stak ko khareed kar rujhan ke ulat jane ka faida utha satke hain jab yeh oopar jana shuru kar deta hai . Taham, yeh zehen mein rakhna zaroori hai ke tasuki gap down patteren rujhan ko tabdeel karne ki zamanat nahi hai aur sarmaya kaari ka koi bhi faisla karne se pehlay is ki tasdeeq deegar takneeki isharay aur tajzia se honi chahiye . Taajiron ko is khalaa ko pur karne ke imkanaat se bhi aagah hona chahiye, yani mutawaqqa simt mein agay bherne se pehlay, is khalaa ko pur karne ke liye stock ki qeemat wapas oopar ja sakti hai. yeh is soorat mein ho sakta hai jab market ke halaat mein tabdeeli ho ya agar sarmaya car stock ke baray mein mukhtalif nazriya ikhtiyar karna shuru kar den . Lehaza, taajiron ke liye yeh zaroori hai ke woh tasuki gap down patteren ko –apne takneeki tajzia aur tijarti nuqta nazar mein mutadid tools mein se aik ke tor par istemaal karen, aur mumkina rujhan ke ulat jane ki tasdeeq karne ke liye is farq ke baad stock ki qeemat ki karwai ki ahthyat se nigrani karen . Trading Strategy with Tasuki Down Pattern Traders ko is tasuki gap down pattern ma market ka lower ke traf continues ho kar jana ka signal mil raha ho ga jab ya tasuki gao down pattern banay ga to is sa phalay market ma bear ka control ho ga jo ka market ko lower la ja raha ho ga or is tasuki gap down pattern ke jo first candle banay ge ya bhi market ma is bear ka control sa banay ge or ya jo first candle ho ge is ma stock ke price lower ke janab jay ge or is pattern ke first candle ka bad jo gap ay ga ya bhi bear ka pressure sa lower ka gap ay ga jes ma stock lower ke janab jay ga or jo second candle banay ge is tasuki gap down pattern ke ya bhi market ma isi bear ka control sa banay ge or ya bhi market ko lower la jata hua market ka lower jana ka signal da ge magar jo is pattern ke tbird or last candle ho ge ya jab banay ge to is time par jo bear ho ga ya lost ho jay ga or ya third candle market ma bull ka control ss banay ge or ya jo bull ho ga ya is pattern ke third candel sa a kar market ko higher ke traf reversal karna ka kam karay ga magar ya bull market ko zada higher ma ni la ja saka ga kr ya pattern huma market ka lower ke traf continues hona ka signal da ga or traders is tasuki gap down pattern ma sell ke trade ko is ke third candel ka lower sa enter karay ga or stop loss ko isi tbird candle ka higher point par place karay ga.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Downside Tasuki Gap Pattern
      Downside Tasuki gap candlestick pattern teen candles par mushtamil aik mazbot trend continuation pattern hai, jo k prices k low level ya bearish trend main banta hai. Pattern k pehle do candles jo k bearish candles hotti hai, jin k darmeyan main downside par gap banta hai, jiss se pattern ki mazboti main mazzeed izzafa ho jata hai. Dosri bearish candle k baad aik bullish candle banti hai, jo ziadda tar small real body main hotti hai. Bullish candle dosree bearish candle k real body main open hoti hai aur pehli aur dosri candle k gap main close hoti hai. Ye pattern market k bearish pattern k mazboti ko brahati hai aur prices aur bhi lower level par jane ki koshash karti hai.
      Candles Formation
      Downside Tasuki gap candlestick pattern teen candles ka aik bearish continuation pattern hai, jis main pehle do candles black ya red color k yanni bearish candles hoti hai, jab k last ya teesri candle white ya green color ki yanni bullish candle hoti hai. Candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai; 1. First Candle: Downside Tasuki gap candlestick pattern ki pehli candle bearish candle hotti hai, jo k black ya red color main banti hai, ye candle normal bearish size ki candle hoti hai, jo k bearish trend ko show kar rahi hoti hai. 2. Second Candle: Downside Tasuki gap candlestick pattern ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se gap main downside par banta hai. Dono candles k darmeyan ye gap wazih honna chaheye, yanni dono candles ki wick bhi gap ko cover nahi karna chaheye. 3. Third Candle: Downside Tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle aik white ya green color main yanni bullish candle hoti hai, jo k small size main banti hai. Teesri bullish candle dosri candle k real body main open aur gap main close hoti hai. Ye white candle bullish trend reversal pattern ki nakam koshash karti hai.
      Explaination
      Continuation patterns trend reversal pattern ki nisbat ziada payedar hen, jiss k kamyabi ka tanasub bhi ziada hai. Downside Tasuki gap candlestick pattern teen candles par mushtamil pattern hai jo k bearish trend continuation ka kaam karta hai. Ye pattern bearish trend ya haleya bullish ya sideways trend se bearish breakout k baad banta hai. Downside Tasuki gap candlestick pattern ki pehli aur dosri candles bearish candles hoti hai, jin k darmeyan downside par aik wazih gap banta hai. Pattern ki teesri candle aik bullish candle hoti hai, jiss ka open bearish candle ki real body main hoti hai, jab k close pehli aur dosri candle k gap main hoti hai.
      Trading
      Downside Tasuki gap candlestick pattern aapko market main sell ka signal faraham karta hai, ye pattern dosre trend reversal pattern se ziadda reliable hota hai, jab k candles k darmeyan banne wala gap bearish trend continuation pattern ka signal hotta hai. Downside Tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle ki closing point gap k darmeyan ya gap se pehle hona chaheye. Pattern ki bullish candle k baad confirmation k leye aik bearish candle ka hona zarori hai, ya kisi reliable indicator se bhi trend confirmation ki ja sakti hai. Confirmation bearish candle pat market main sell ki entry ki ja sakti hai, jab k Stop Loss pattern k sab se top side ya pehli candle k open position par set karen.

      اب آن لائن

      Working...
      X