Details Of Tasuki Gap Candlestick Pattren.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Details Of Tasuki Gap Candlestick Pattren.
    Details Of Tasuki Gap Candlestick Pattren.
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum dear friend Umeed hai kya aap sab khairiyat se Honge aur Achcha kam kar rahe Honge Jab aap is market Mein Apni working ko complete karna chahte hain to aapko bahut hi careful hokar kam karna hota hai aur Market Ka Chitra Kaise judgement karna hota hai agar aap is market Mein Apni working ko complete karna chahte hain to aapko different factor per study karna Hogi aur acche experience ke sath kam karna hoga tab hi aap is market Mein Achcha profit banaa sakte hain isliye aapko Jyada Se Jyada Mani management ke sath kam karna chahie aur acchi strateg ko follow karke trading Karni chahye Jab aap market Mein acchi planning karte hain aur different important analysis per completely study karte hain to aapko is market mein bahut hi fayda Milta hai aur aap is market mein jyada Se Jyada Apna profit banaa sakte hain isliye aapko demo account use karna chahie aur acchi strategies ke sath kam karna chahie tab bhi aap is market Mein Achcha result Hasil Karenge market Mein different patterns Ban Rahe Hote Hain Har patterns ki ek separate shape Hoti Hai Isko Samajh Kar trading karna hoti hai aaj main aapse Kaise patterns ke related information share karungi jo aapki trading ko Achcha result de sakti hai to Mera topic hai Downside Tasuki Gap Candlestick Pattren kya hai hum es par kesy kaam kar k trading main kamyabi hasil kar sakhty hain. Definition Of Downside Tasuki Gap Candlestick Pattren: Dear forex member Downside Tasuki gap candlestick pattern continuation pattern ki aik qisam hai jiss teen candles shamil hoti hai. Pattern ki pehli do candles bearish hoti hai. Pattern ki pehli aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka baad aik dosri bearish candle uss se dowside par gap main banti hai. Dosri bearish candle k baad aik bullish candle banti hai, jo ziadda tar small real body main hotti hai. Bullish candle dosree bearish candle k real body main open hoti hai aur pehli aur dosri candle k gap main close hoti hai. Pattern ki teesri bullish candle k ziada mazboti na hone ki waja se pattern tasalsal ka trend nechay ki taraf dobara chal parta hai. Identification: Dear forex member Downside Tasuki gap candlestick pattern k teen candles main pehle do candles black ya red color k yanni bearish candles hoti hai, jab k last ya teesri candle white ya green color ki yanni bullish candle hoti hai. Candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai. 1st Candle: Dear forex member Downside Tasuki gap candlestick pattern ki pehli candle bearish candle hotti hai, jo k black ya red color main banti hai, ye candle normal bearish size ki candle hoti hai, jo k bearish trend ko show kar rahi hoti hai. 2nd Candle: Dear forex member Downside Tasuki gap candlestick pattern ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se gap main downside par banta hai. Dono candles k darmeyan ye gap wazih honna chaheye, yanni dono candles ki wick bhi gap ko cover nahi karna chaheye. Third Candle: Dear forex member Downside Tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle aik white ya green color main yanni bullish candle hoti hai, jo k small size main banti hai. Teesri bullish candle dosri candle k real body main open aur gap main close hoti hai. Ye white candle bullish trend reversal pattern ki nakam koshash karti hai. Importance Of Downside Tasuki Gap Candlestick Pattren: Dear forex member Downside Tasuki Gap Pattern pattern market k bearish pattern k mazboti ko brahati hai aur prices aur bhi lower level par jane ki koshash karti hai. Ye pattern ziada tar bearish trend ya haleya bullish ya sideways trend se bearish breakout k baad banta hai. Downside Tasuki gap candlestick pattern teen candles par mushtamil pattern hai jo k bearish trend continuation ka kaam karta hai. Downside Tasuki gap candlestick pattern ki pehli aur dosri candles bearish candles hoti hai, jin k darmeyan downside par aik wazih gap banta hai. Pattern ki teesri candle aik bullish candle hoti hai, jiss ka open bearish candle ki real body main hoti hai, jab k close pehli aur dosri candle k gap main hoti hai. Continuation patterns trend reversal pattern ki nisbat ziada payedar hen, jiss k kamyabi ka tanasub bhi ziada hai. Trading Strategy: Dear forex member Downside Tasuki gap candlestick pattern ka pattern pehli do candles main hi Gap down pattern ki tarah lagta hai, jab k teesri candle ki nakam koshash se pattern k lower side par jana ziada mazbot ishara deta hai. Pattern main pehle do candles k darmeyan nechay ki taraf ka gap banna bearish trend ki hi mazboti hoti hai, lekin ye pattern small bullish candle se thora riaki ho jata hai. Downside Tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle ki closing point gap k darmeyan ya gap se pehle hona chaheye. Pattern ki bullish candle k baad confirmation k leye aik bearish candle ka hona zarori hai, ya kisi reliable indicator se bhi trend confirmation ki ja sakti hai. Confirmation bearish candle pat market main sell ki entry ki ja sakti hai, jab k Stop Loss k upper side par ya pehli candle k top par se aik ya do pips above hona chaheye.
     
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Downside Tasuki Gap Candlestick Pattern Downside tasuki gap patteren aik bearish trend continuation pattern hai, lekin baaz dafa iss ko double market sentiment analysis k leye jani jati hai, pehli aik bearish impulsive lehar hai, aur doosri bullish price ki trend reversal hai. Yeh pattern aam tawar par supply and demand mein bearish trend ka tasalsul pattern hai. Downside tasuki gap patteren main do bearish candlestick is baat ki numaindagi karte hen k sellers walay market k ooper mukammal control mein hen, jiss se price ki qader mein musalsal kami waqea ho rahi hai. Prices ka wese bhi bhi basic trend bearish ka hota hai, jo lower low levels ko tashkeel deta hai. Downside tasuki gap patteren k leye prices ka bearish trend ka hona aham hai, q k ye prices ko mazeed nechay ki taraf push karte hen. Upside Tasuki Gap Pattern kia hota hy Up side tasuki gap pattern teen mom btyon par mushtamil hai. Pehli candlestick aik lambi safaid mom batii hai, jo aik mazboot taizi ke iqdaam ki numindagi karti hai. Doosri candlestick aik gap up hai, jis ka matlab hai ke doosri candlestick ki ibtidayi qeemat pehli candlestick ki band honay wali qeemat se ziyada hai. Teesra candlestick aik siyah mom batii hai, jo doosri candlestick ke body ke andar khulti hai aur is ke wast point ke neechay band ho jati hai. pattern ko" Upside tasuki gap" Kaha jata hai kyunkay doosri candlestick, jo ke gap up hai, japani tasuki se mushabihat rakhti hai, jo ke aik riwayati sash hai jo kamar ke gird bandha sun-hwa hai. Teesra candlestick jo ke siyah mom batii hai, pehli aur doosri mom batii ke darmiyan farq ko band kar deti hai, jaisay tasuki mein aik girah. Upside Tasuki Gap Candlestick Pattern ki Formation Upside tasuki gap ak candlestick pattern ha or ya upside tasuki gap ak trend continuation candlestick pattern ha jo ka market ke price ko upwards ke traf continues karna ka kam karta ha ya upside tasuki gap pattern jab banay ga to is sa phalay market ma ak small uptrend chal raha ho ga or ya pattern ban kar is uptrend ko continues karay ga or ya upside tasuki gap pattern market ka downtrend ma bhi ban sakta ha or jab ya downtrend ma banay ga yo is time par bhi market ko higher ke traf la kar jay ga yani ka ya upside tasuki gap pattern jab bhi banay ga to ya market ko higher ke janab la kar jay ga. Ya upside tasuki gap pattern market ma three candles or ak small gap ka sath ak specific sequence ma banay ga or ya stock ke price ko higher ke janab la kar jay ga is pattern ke jo ya candles ho ge ya ak real body ho ge

      اب آن لائن

      Working...
      X